Topic # 4 : Rooh aur Larrne ki power (Day : 4 )

“Rooh aur Larrne ki power”

Asal mein hum rooh ki power se larrtay hain. Agar rooh taaqat mein nahin hai, kamzor hai to phir ye larr nahin sakay gi aur shar ghaalib aa jaye ga… Jab jang karnay k qabil hi na hogi to wahan saara qabza shar ka hoga.. Jahan emaan yaqeen k hathiyaar hi naa hon wahan rooh jang kesay karay gi.. Jahan zaraa bhi rooh taaqat mein hoti hai to wo shar k khilaaf kang karti hai..Dar asal rooh ki taaqat se jang ki jaati hai magar wo itni nahin hoti k mukamal taur per har qisam k shar ka muqabla kar sakay.. Lekin kisi bhi level per shar k sath larrtay rehna humein power deta hai aur batdareej is power ko hum shar se jang kartay huay barhaatay jaa rahay hotay hain kyun k jang k bagher power nahin milti..
Is k liay nafs k hawalay se har bareek se bareek aur chotay se chotay nuktay per kaam karna hota hai. Aur jab in per kaam kartay hain to beshak ALLAH❤ k karam aur meharbaani se taaqat milti jaati hai aur isi power k milnay ki wajah se shar hamla nahin karta hai..
Jesay k kehtay bhi hain k ALLAH❤ waalon k qareeb shaitaan nahin aata.. Un k andar ALLAH❤ ka ehsas e aashnai aur yaqeen itna mazboot hota hai k wo nafs ho , shaitaan ho ya dunia, wo ALLAH❤ walon k qareeb nahin bhatak paatay. Albata nafs ki jang marnay tak ya’ani aakhri saans tak jaari rehti hai..
?”حق بات”
شاہ جی❤


 

Exercise

MCQ’s (3 marks)

1.Ham ______ ki power se larrtay hain.

a) Nafs
b) Rooh
c) Dil

2. Allah walo kay andar _____ ki mazbooti ki waja se shaitan ya nafs unky qareeb nai phatak paatay.

a) Ehsas e zimedari
b) Power
c) Allah ka ehsas e aashnayi.

3. Kisi bhi Level pe Shar kay sath larty rehna hamain power deta hai aur is power ko ham shar se jang karty hue _____ jarehe hoty hain.

a) Barhatay
b) kamm
c) asar andaaz

Question

1. Aj ki routine sy Apny ekk point share krna hai kay jiss mein aaap ny
Chotayy sy chotay aur bareek point ko ( jiss ko hum aksar nazarandaz kr jatay hain ) bhi pakraa aurr uss mein nafs ki chall naqam banaty aur larty huee ” power ” ⚡ hasil ki

?? mamlaa btana in short
??kis point per larayy aurr kaisii power wasool ki


 

Answer key

 MCQ’s

1. Rooh
2. Allah ka ehsas e aashnayi
3. Barhatay

Question:

Ye sabka apna jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *