Topic 6 : Jhoot

*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Sirf aik jhoot bhe insan ko jhoota kehlanay k leay kafi hy.
Sirf kisi baat ko ghalat biyaan karna he jhoot nahi… bulkay koe baat keh kar os par poora na outarna bhe hamein jhoton mein shaamil kar sakta hy.
Think about it…!!
Dil sy dua :)
1


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Aik jhoot hamaray dil par aik kala nuqta laga daita hy or ye aadat hamaray dil ko aahista aahista kala kartay hoay… dil ke taareeki ko barrhaati ja rahe hoti hy.
Allah hamafay dillon ko sachaai k noor sy munawar kar dy.ameen
Dil sy dua :)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Aik jhoot ko chupanay k leay hamein 101 jhoot bolnay parrtay hein or phir bhe ham mutmain nai hotay…!!
Aisa he hota hy na…??
Dil sy dua :)
3


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Jhoot kabhe mat bolein…
Kion k jhoot ke ibtada par hamein bohat aasani or faaida dikhaai dy raha hota hy…
Magar is ka nateeja hamaysha paryshani or nuqsan ke surat mein milta hy…
Aap ka kia khiyal hy is baray mein…??
Dil sy dua:)
4


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Khiyal rakhiye ga k…
Hamare toh mein rehnay ke aadat kisi k jhoot bolnay ke waja tou nai ban rahe…??
Check ur self…!!
Dil sy dua :)
5


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Kisi third person ke baat batatay hoay…
Hamare baat mein jhoot ke aamaizish bhe…
Third person ke shakhsiyat ka ghalat tasawur soun’nay walay k ihsas mein beith jaey ga…
So be careful…!!
Dil sy dua :)
6


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Jhoota shakhs har os banday k baray mein bhe qasam kha laita hy… jo is sy qasam ka mutalba bhe nai karta.
Aap ny kabhe feel keya is baat ko…??
Dil sy dua:)
7


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Jab ham baat kartay hein or is baat ke sachaai ko jaan’nay wala koe wahan maojud ho tou ham ihtiyaat kartay hrin baat batanay mein or jhoot nai boltay…
Tou kia ham jhooti baat kartay hoay Allah ko bhula daitay hein k sachaai jaan’nay wala daikh or soun raha hy…???
Dil sy dua :)
8


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k…
“Jo jhoot bolta hy farishtay os ke badboo sy meel bhar k faaslay par chalay jatay hein”
Allah hamein jhoot k is had tak ghatiya honay k ihsas sy aashna kar dy.ameen
Dil sy dua :)
9


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Jab ham jhoot boltay hein tou hamaray dil par har lamha anjana sa khaof aik bojh ke surat rehta hy….
Jis ke waja sy hamaray dil ko sakoon nai milta.
Kabhe aap ko aisa tajarba hoa…??
Dil sy dua :)
10


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Jab aik jhoot bolnay par hamaray dil par aik kala nuqta lag jata hy tou…
Tab tak wo nuqta phailta rehta hy…
Jab tak ham os par sharminda ho k maafi nai maang laitay.
Allah hamein apnay gunaahon par naadim ho k maafi maangnay ke raah dikha dy.ameen
Dil sy dua :)
11


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Ham jaantay hein k jhoot tamaam buraion ke jarr hy.
Phir bhe hamaray andar ke wo kia soch hy jis ke waja sy…
Ham iradi ya ghair iradi taor par jhoot bol jaatay hein…??
Allah hamein buraion ke jarr ko khatam karnay ke taofeeq atta karay.ameen
Dil sy dua :)
12


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Jhoot ”
Jhoot bolnay sirf hamein jhoota he nai banata…
Bulky sab ka ham par sy aitamaad bhe outha daita hy.
Or ham sab ko ache tara sy ihsas hy k…
Sab ke nazar mein beaitabar hona hamare zindagi ko kitna takleefdeh bana daita hy…
So be careful…!!
Dil sy dua :)
13


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *