Topic # 6 : Nafs aur iski daali rukaawatein (Day : 6 )

“Nafs aur iski daali rukaawatein” 

Nafs k khilaaf jang ka aagahz tab hota hai jab humein aashnai ho jaaye k ye hi humara dushman hai.. Hum is ko apna samajh kar iski har baat maantay chalay jaatay hain is k chungal mein phans jaatay hain. Nafs se jang ALLAH❤ ki qurbat ko manzil bana kar junoon k bal per larrti hai..
Har wo shaay jo manzil k hasool ki raah mein rukaawat ban jaye usay maar giraanay k liay nafs ki jang larri jaati hai.. Haq ka raahi kisi bhi taraah ka rukaawat ko aboor karta jaata hai jo us ki manz ki taraf barhtay safar ko sust karay yaa roknay ka mojib ban jaaye..Nafs aisay hi rukaawat hai is liay is se jang lamhaa lamhaa jaari jaari rehti hai.. Nafs kabhi dunia ki lazaton, kabhi mayusi, kabhi shikwa, kabhi beyaqeeni, kabhi kam emaani ki soorat hamlaa karta hai.. Is k khilaaf aqdaam karnay k liay apni ghalti ko pehchan kar us k khilaaf jang karna zaroori hai.. Nafs dar asal hmaray amdar hmari aazmaish k tair per rakha gaya hai. Is ka kaam humein apnay jaal mein phansana hai aur hmaara kaam is k jaal se bach nikalna hai..
?حق بات
شاہ جی❤


 

Exercise

True/False (3 marks)

1.Nafs ki jang k liye Allah ki qurbat ko manzil banana eham nai hai.

2.Nafs hamare andar hamari azmaish ki soorat rakha gya hai.

3. Nafs duniya ki lazato’n, mayusi aur shikwa ki soorat hamla nai karta.

Question:

1. Apni aaj ki routine syy aaap ny ek point aisaa sharee krnaa hai kay jiss mein “nafs” ny app kay “Allah ki qurbat kay safar mein rukawat” dalnay ki koshish kii aurr apny kaisy Alert rehtay iskaa samna kr kay is kay jaal syy khud ko bachaya ?

?? short sa mamlaa
?? “qurbat ki raah” mein kya rukawat dali (wazeh btani hai rukawat).
?? khud ko is hamlay sy kaisy aur kis ehsas/amal sy bachaya ?\


Answer key

True/False

1. False
2. True
3. False

Question:

Ye sabka apna jawab hoga

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *