Topic 7 : Chughli

“Ihsas ki kiran”
Asalam o alikoum
*Chughli*
Do logon ke aapas mein kisi tesray shakhs k baray mein ke hoe baatein…
Osi teearay shakhs tak pohnchana jo usay dukhi kar dain.
Ya ghusa dila dain chughli kehlata hy.
Allah hamein chughal khori se apni panah me rakhay.ameen
Dil sy dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Chughal Khori*
Piaray Aaqa S.A.WW ne farmaya hy k…
“Chughal khor jannat mein nahi jaey ga”
Kia hamein chughal khori k itnay sangeen nataaij ka ihsas hy…??
Dil sy dua :)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam-o-alikoum
“Chughal khori”
Hazrat Ka’ab Ahbaar r.a sy riwayat hy k,
“Bani Israel mein qehat par gya,
Hazrat Mousa a.s ny baar baar barish ki dua ki magar barish na hoe.
Allah ny wahi bheiji k mein teri or tery sathiyon ki dua nahi sounon ga, jab tak k tum mein chughal khor bhe (dua mein) shamil ho ga. Or wo chughli pr isarar kiye huy hy.
Hazrat Mousa r.a ny frmaya,
Ay Allah…..mujhy wo bta dain ta k hum osy apny andr sy bahir nikal dain. Allah ny frmaya,
Ay Mousa a.s main ny tumy chughli sy mana keya or ab main khud chughal khor ban jaoun.
Is par sub qoum ny toba ki or phir barish hue”.
Think about it…!!
Dil sy dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Chughal Khori*
Hazrat Ma’asab Bin Umair r.a farmatay hein k, “Chughli soun’nay wala… Chughali krne walay se bhe badtar hota hy”
Allah hamein chughli krne or sun’nay jaisi doono buraion se bachaey rakhay.ameen
Dil sy dua :)
4


“Ihsas ke subh”
Asalam o alikoum
*Chughal Khori*
Apna jaiza lay kar btaein k, chughal khor jb hamare samnay kisi ki ki chughal khori kr raha hota hy tou… Ham isay apna dost smajh rahay hotay hein ya dushman…???
Dil sy dua :)
5


“Ihsas ke subh”
Asalam o alikoum
*Chughal Khori*
Chughal khor hamara chupa dushman hota hy, wo bazahir hamara hamdard ban kr ata hy. Or apni aik do chughlion se hamein be’chain kr jata hy.
Kia aisa tajarba kabhe aap ko bhe hoa…?
Dil sy dua :)
6


“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Chughal Khori*
Chughal khor…
Jab hamare samnay kisi ki chughli kar raha hota hy tou tab…
Jia ham os chughal khor ko apna dost smajh rahay hotay hein..??
Dil sy dua :)
7


*Ihsas ke kiran*
Asalam-o-alikoum
*Chughal khori*
Agar koe hamary saamnay chughli karay tou hargiz os ki baat ka yaqeen na karein…
kion k chughal khor faasiq hy or Allah ka farman hy k,
“Faasiq ki baat na suno”
So be carful…!!
Dil sy dua :)
8


*Ihsas ke kiran*
Asalam-o-alikoum
*Chughal Khori*
Agar koe hamary saamny chughli karay tou…
Os ki kahe hue baat k tajasus mein na parrain k wo sahi hy k nahi…
Kion k Allah ny tajasus sy mana frmaya hy.
Or isi mein hamare bhalai chupi hoe hy.
Allah hanein chughal khor k sharr sy mehfooz rakhay.ameen
Dil sy dua :)
9


*Ihsas ke kiran*
Asalam-o-alikoum
“Chughal khori”
Jo kisi dousry ki baat hamary saamny krta hy, wo hamari baat kisi dousry k saamny bhe kr sakta hy.
Or aisa shakhs hamara dost nahi hota, osy apna dushman samajhna chahiye.
Allah hamein apny pasandeeda logon ki dosti ata kr dy ameen.
Dil sy dua :)
10


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *