Topic # 8 : Nafs se jang ka pehla qadam (Day : 8 )

“Nafs se jang ka pehla qadam”

Khud per nazar rakh kar jab apni kisi burai ko dhoondain to is hawalay se nafs ki jang karnay k liay pehla qadam ye hai k , qabool kr lia jaaye k humare andar ye burai hai.
Jab tak hum is baat ko qaboola nahin karen ge , khud ko ghalat nahon maanein ge , hum us per kaam nahin kar saktay…
Jesay hi hum taslem kar letay hain , hmara dil qabool kar leta hai to dil ki haalat badal jaati hai aur andar ehsaas e nadaamat aur sharmindgi paida ho jaata hai aur aisi haalat mein ALLAH❤ k samnay paish ho jaana chaiye ..Haqeeqat ka saamna kartay hi humein apna asal chehra nazar aa jata hai aur jesay hi hum dil se sharminda hotat hain to maafi maangtay hain..
Aur jab maafi maangtay hain to beshak ALLAH❤ ka karam aur US ki meherbaani hoti hai k WO naa sirf gunaah dho deta hai balkay naikiaan bhi attaa krtaa hai …
Aur jab WO humein naikiaan atta kr deta hai to humein nafs o shar per qaboo panay ki thorri aur taaqat mil jaati hai…
Is liay ye nahin ho sakta k nafs per kaam kar k hum nafs per mukamal control kar len ge balkay humein hmesha bohat se hawalon o zaaviyon se nafs per kaam karna hota hai..Hum ghaltiaan kartay hain phir nafs per control seekhtay hain.. Aur hum ghaltian kartay rehtay hain kyun k hum kamzor hain lehaaza hum se ghaltiaan sarzad hoti rahen gi…
Jab hum se ghalti sarzad honjaye to hum foran ehsas e sharmindagi k tehat Allah se maafi mangein k TU❤ humein bacha le hum se ghalti ho gai..
Hum ALLAH❤ se maddad maangein k hum se dobara ghalti sarzad na honay de.. Yun beshak hum wo ghaltian to nahin dohraatay lekin koi aur ghalti hum se sarzad ho jaati hai. Kyun k Quran Paak mein kaha gaya hai k insan ko za’eef paidaa kia hai…
Hum se ghaltian hongi aur hum us per sharminda hon ge aur maafi maang kr phr se ALLAH❤ k qareeb chalay jayen ge…  Phir kabhi koi ghalti karen ge to yun hi chalta rehta hai ..
Magar naadim hona aur maafi mangna zaroori hai kyun k ALLAH❤ ka hukam hai k agar maafi nahin maango ge, sharminda nahin ho ge to tum logon ko barbaad kar k yahan aisi qaum aabad karun ga jo ghalti karen ge aur ma’afi maangein ge..
Yahan ye wazeh rahe k ye na ho k hum daanista taur per ghaltian karen ya apne ap ko gunjaish denay lagen aur dheela chorr den.
Jab is inteha tak hum apni ghaltion ko pakkarne tak aatay hain tab hum khud per gehri nazar rakh kar baareek baareek nuqton ko apnay andar se nikaal kar un per kaam kartay hain aur yun nafs ka jehaad zindagi k aakhri lamhay tak jaari rehta hai..
?”حق بات”
شاہ جی❤


 

Exercise
(Question only)

Question :

1.Aaaj ki routine sy apnay ek point aisaa sharee krnaa hai kay jissmein Aaap syy “ghalti” jo sarzad huii, uskoo anderr qabool krnay mein rukawat mehsooss huii hooo…phirr nafs sy lartayy ….. anderr qabooll krty gayee aur ” Dil ki halatt badlii” aur ander ehsas e nadamat pedaa hua .. Allah kay hazoor dil jhukaaq aurr nafs o shar py qabo panay ki taqat milii…

?? mamalaa in short btana hay
?? ghalti wazeh btani hai to the point
??ander kaaa pehlay “qabool naaa krnaa” ➡ phirrr qabool krtyy huee ➡ ehsass e nadamat kaa ander utarnaa aur Allah kay huzoorr nadamat sy jhukk janaaa …
?? end per circle mukamal krna hai kay ” kaisy powerr ” ⚡mehsos kii is tarhan nafss o shar ko ghalib anay sy rokk kr aur man kr.


Answer key

Question:

Ye sabka apna
jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *