Waqeya # 2 : Hazrat Abu Bakar Siddique R.A

Waqeya 

Sohnay Sahaba ? ka Apni hr adda sy ik qadam Aurr sy Aur qareeb honay kaa…

Ik martaba Hazrat Abu Bakar r.a phattay puranay aur boseedah ubba pehnay Rasool S.A.WW k paas bethay thay is ubba (chogha) ki kinaray khajoor ki shaakho’n aut nabadaat ki lakriyo se jorray gye thay. Hazrat Jibraeel a.s nazil huye aur dariyaft kiya : Aye Muhammad S.A.WW ! kia wajja hai k main Abu Bakar r.a kay jism par aisi boseedah kisam ki ubaa dekhta hu jisko is tarah se jorra gya hai?
Hazoor S.A.W.W ne farmaya : ” Aye Jibraaeel a.s! Abu Bakar r.a ne fatah se pehle apna maal mujh par kharch kardiya tha

Jibraaeel a.s ne farmaya : Allah Aap S.A.WW ko salam keh rehe hain aur Aap S.A.WW se farma rehe hain kay Aap S.A.WW unse poochain k kia wo iss halat e fukr par Allah se khush hai ya na khush?

Hazoor Akram S.A.WW ne poocha : Aye Abu Bakar r.a ! Allah aapko salam keh rehe hain Aur Aap r.a se pooch rehe hain, k kia Aap r.a iss halat e fakeerana par Allah se khush hain ya na khush?

Hazrat Abu Bakar r.a ne farmaya : kia main apne Rab se na khush hoskta hu??
Phir Azraah e shoq farmanay laggay :
Main Apne Rab se raazi hu☝
Main Apne Rab se raazi hu☝
Main Apne Rab se raazi hu☝
? (Al seerah tul Nabweeh ( 2/107)


Hadees

Sohnay Sahaba ? ka Apnay RAB ❤ sy thorray per bhi Raazii rehna, aur Farmaan e NABI S.A.WW ko Dil mein Utaray Amal Krnaa  …

Pyaray AQA S.A.WW ne farmaya ? kay..
” Jo shakhs, thori se rozi par raazi hojata hai. Allah Us k thoray se amal par raazi hojata hai ”
? (Baheeqi)


Ehsas

Pyaray Satheyo :
Hazrat Abu bakar (R.a) ka ye Amal ehsas Utarta hai Dil mein Kay Allah sy Hr haal mein Raazi rehna Allah Ki khas Nazar Hasil krna hai,
nafs Humein Apnay aish o aram Ki fiqar mein uljhaye rakhta hai , jb kay qurbat kay musafiron ki fiqr sirf Raza e Elaahi chahna hoti hai , Raah e haq per chalnay walay ka Dil Hr hal shukar sy roshan rehta hai .
Allahh hmaryy choty sy choty amal pyy itnaa ataa krtaa haii hmein bb Allah k dii hui harr ataa harr cheez pyy razii rehty huyee shukarr mein bharnaa ha…..
Razii rehnyy k ehsas harr trha k moamlat koo Allah ki raza k mutabiq dhaal k guzarnaa haii joo kk qurbat mein akk ehm qadam hai…
Hmeinn b harr haall mein apnii razaa ko Allahh ki razaa pyy hii munhasir karnaa hoga…
Allahh aur Allah walon kii qurbat k ehsass panyy kk liee harr guzary aur guzarty lamhyy mein harr qism k moamlat mein razii ba raza rehna aur Allah ki trf sy ata kiye huye halat ,moamlat ko Allah ki raza k mat’ait kr dena,shukar sy sershar rehna hii qurbat k maza ataa krta hai .

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *