Waqeya # 4 : Hazrat Abu Bakar Siddique R.A

Waqeya

Mithay Sahaba ? ka Apnay REHNUMA ? Per Yakeen kaa …

Hazrat Ayesha r.a farmaati hain :
Hazrat Abu Bakar r.a Hazoor S.A.W.W k zamana e jahliyat k dost thay.
Aik din Hazoor S.A.W.W ki mulaqat ki gharz se ghar se niklay. Aap S.A.WW se mulaqat huyi to arz kiya, Aye Abu al Qasim (ye Hazoor S.A.W.W ki kuniyat hai) kia baat hai. Aap apni qoam ki majliso mein nazar nai aatay hain or log ye ilzam lagatay hain k Aap inkay aabao ajdad wakhera k ayub biyaan karte hain.
Hazoor S.A.W.W? ne farmaya:
” Main Allah ka Rasool hu or tum ko Allah ki dawatt deta hu”

Joonhi Hazoor S.A.W.W? ne apni baat poori farmayi Hazrat Abu Bakar r.a Musalam hogye.
Hazoor S.A.W.W Hazrat Abu Bakar r.a k islaam lanay se is qadar khushi k sath wapis huye k koi bhi Makkah ki un 2 pahariyon k darmiyan jinko Akh’shabeen kehtay hain,Aap se ziada khush na tha.

? (hayat us Sahaba, P71)


 

Hadees

Aisy Saathiii? Syy muhabbat Pyaray AAQA S.A.WW ? ki, kayy unkaa zikrr bhii iss yakeen per khaass Kr diyaa
Hazoor S.A.W.W? ne farmaya:
“Maine jis ko bhi Islam ki dawat dee wo zaroor hichkachaya or tarood mein parra or kuch dair soch kar islam ko qabool kiya. Lekin jab maine Abu Bakar ko dawat de wo na hichkachaye or na tarood mein parray balkay foran Islam ley aaye.
? (Hayat us Sahaba 72/648)


 

 

Ehsas 

pyaray satheyo :

Is waqeyay Sy Yee ehsas milta hai kay jinkay Dillon ko Allah Haq kay noor sy roshan krna chahta hai , unhein Haq ko Pehchannay Ki bhi taqat atta krta. Hum Khud ko Batil ky uksanay per sawalon mein qaid kr lety hain , un sawalon mein ulajh kar, jo Qadam Haq ki raah ki jaanib barh rehe hotay hain, unhain kamzor kar letay hain.. Aur Haq walay isi Batil ki rukawat ko toray, YAKEEN sy Allah ki rassi thamay, Apne qadam mazboot kiyee, kisi sawal mein uljhay baghair chall detayy hain…
Kyu k jab hamare qadam Haq ki janib barh rehe houn tou ye batil he ki chaal hoti hai kay hamain sawalon mein uljha deta hai jis se wo barhte qadam larkharany lagtay hain, jiska maqsad ye hota hai kay aik Haq ka Raahi Yaqeen ko pakray power na wasool kar sakay….
Agar hamain bhi apne dilon ko Haq k noor se musalsal roshan kiye rakhna hai tou Batil k issi jaaal ko nakam bnatay hue Yaqeeen ko mazbooti se thamay barhnaa hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *