Waqeya # 6 : Hazrat Abu Bakar Siddique R.A

Waqeya

pyaray Sahaba ? ka Azmaishon Mein sabr O shukar Ko thamay Surkhrooh honay ka ,
Quraish jo kay Hazrat Abu Bakar r.a se muhabbat rakhtay thay magar jab Aap r.a ne alal ailaan Rasool e Khuda S.A.WW? ki himayat shuru kardi tou jistrah ye log AAP S.A.WW k dushman hogye isi trah Hazrat Abu Bakar r.a k bhi dushman hogye..
Islam Qabool karnay k baad Hazrat Abu Bakar r.a Haq k izhaar o Ailaan ki pehli taqrreer kee
Abhi taqreer khatam bhi nai huyi thi k dushman chaaro taraf se hajoom kar k hamla Aawar huye aur Hazrat Abu Bakar r.a ko khasoosan aur doosre musalmano ko nihayat bedardi se peetna shuru kardiya
Ghutbaa bin rabia shirk ki muzammat par aag bagola hogya aur Hazrat saddique r.a ki taraf jhapta aur Unhain nihayat wehshiana tor par poori qoowat se zarb lagayi jis se Unka chehra mubarak bht burri tarah se zakhmi hua.
?(bahawala kitab Hazrat Abu Bakar r.a k faialay tasneef muhamamd abdullah madni, Pg. 28-29)


 

Hadees

Ye sabr Ki raah ,, Apnay AQA S.A.WW ? sy he Janiii ..maani aur Amal mein apnaii..
Rasool S.A.WW ?ne farmaya:
“Aazmaish jitni sakht hoti hai us ka badla bhi utna hii barra milta hai,Allah jab kisi qoum se muhabbat farmatay hain tou unko aazmaish mein daal dete hain, phir jo uss aazmaish par raazi raha (Yaani sabar se kaam liya) tou Allah bhi uss se raazi hojatay hain aur jo uss par naraz hua ( Yaani besabri ka muzahira kiya) to Allah bhi uss se naraz hojatay hain. ”
? (Sunan Tirmizi 2396)


Ehsas

Pyaray Saatheyo
Apni muhabbat mein barhnay Walon ko Allah Azmata hai takeh wo unko Aur Taqat sy Qurbat mein lay aye.Hum per jb Haq ki raah per chalty takleef ati hai to hum shikway krty hue Allah ko he chor detay hain
jb kay Yehi azamish aur test humein Allah syy Qurbat mein leja rahay hotay hain. Hmaryy gilly shikwayy uss waqt agar sabr o bardasht mein badal jayen khalis Allah ki raza k lie to wo hi pasandeeda hai
Yee azmaishain,sakhtian aur takleefein waqtii hotii hain, unn kk badla ALLAH k nasdeek bhtt barh k milta hai…
Humein bhi Aisy he Sabr o Raza Mein rehtay Hr azmaish mein Yaken sy kharay rehna aur Batil ki chaal ko nakam bnana hai .

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *