Zaroori Hidayaat

Zaroori Hidayaat

1.  Jo koi bhe apne marzi, khushi or shoaq sy yeh training krna chahay to sirf ousy he training krwani hy.

2.  Training krnay walay ka zaat py kam krnay ka shoaq hona bohat zroori hy.

3.  Training krnay walay ny Surah Rehman ka 21 din ka course or duaein krwai honi chahein…..
Or is doran Allah ki 3 sifaat Samee, Baseer or dil ka hal jan’nay walay ka ka ehsas dil me outra hoa ho….
To ous k leay ye training assan ho jaey gi.

4.  Harawal dasta ki training shuru krnay sy pehlay power ki 3 duaein krwani zroori hein.

5.  Harawl dastay ka ta’arufi msg bheijny k baad or step 1 shuru krwanay sy pehly aik msg
“In The Long Run Training”
k naam sy bheijna hy……
Jis me rozana 5 waqt namaz…..
Or rozana kam az kam aik waqt tilawt ko apni zindagi ka hissa banaye rakhnay ki ehmiat ka ehsas dilaye rakhna hy.Or is mein apnay saath rehnay ka yaqeen dilana hy….
K aap oun ko har tarah sy zroor guide krtay rahein gey.
Or har mumkin taor par namaz ki baqaaidgi…..
Or tilawat e Quran e pak ko ous ki routein life ka lazmi hisaa bnanay mein madad krni hy.

6.  Is training mein khiyal rakhna hy….
K yeh Allah k ehsas e aashnai k hawaly sy krai ja rahe hy…..
Is mein sharing krtay hoay kaheein bhe Piyary Aaqa S.A.WW ke sunnat e mubarika k hawalay sy apni ghaltion ko share nai krna…..
Or na he namaz chout janay, qaza ho janay wali ghalti ko kisi step mein share krna hy…..
Allah ki aashnai Harawal Dasta 1 mein krwai jati hy….
Jb k HD2 meib Piyary Aaqa S.A.WW ki sunnat e mubarika k hawalay sy training krwai jati hy…..
Is leay is mein sirf Allah k ehsas k hawaly sy he rehna hy.
Msg 2


Msg 2

7.   Yeh training hmaray andar Allah ke aashnaai ko part dar part kholnay….
or tarbiyat panay ke chahat mein aik qadm or barhanay ki koshish hy.
Is leay is tarbiyat k doran hr mumkin taor par khud ko kotahiyon , galtiyon or khataoun sy bachanay ki koshish krni hy……
Ta’k hum bahir sy khud ko bachaein gey to he hamari sari power ander k dar kholnay k kam aaye gi……..
Wrna bahir ki negativity sy na bachy to sari power waheein zayaa ho jaye gi……
Or hum is training ko achi tarah sy kr k faida hasil ni kr sakein gey.

8.  Is doran rozana ki tilawat or namaz ki routine ko paka krnay ke koshish krni hy….
kion k yeh aik mukamal zabta hayaat sikhata hy…
Allah k ehsaasat k hawalay sy dil ko taqat atta krta hy.

9.   Is training mein koshish krni hy k koi namaz na choutay or na hi qazza ho……
kion k namaz deen ka satoon hy.
Or Allah ki janib qadam barhanay k leay bunyad ka kam krti hy.
Ab jitni paki r mazboot bunyad ho gi outni ounchi amarat qaim ho sakay gi.
Is leay is ko pehlay qadm or pehli seerhi ki tarah laina hy….
Is safar mein namaz ki ba qaaidgi par qadam jamaye bina aagay jana mumkin nahi.

10.   Is training ko start to shouq sy kr laity hein…..
Par is ko mukaml krnay mein hamaray mamoolat or moamlaat k hawalay sy batil rukawtein dalta hy…..
Ta’k hum Allah ki aashnai or qurbat ka safar kisi bhe wajah say chour dain.
Aap ny khiyaal rakhna hy….
Or kisi bhe tarah khud ko bacha kr har tarah k halat mein pori quwat or jazby sy is training ko mukaml krnay ki koshish krni hy.

11.  Training k start mein jaisa k 3 power ki duaein krwani hoti hein….
Isi tarah har step mein kam az kam 5 power ki duaein krwani hoti hein…..
Ta’k andar k dar bhe asani sy khulain….
or bahir ki negativities sy larnay mein power kaam aaye.
Note:
7th A or B mein rozana kam az kam aik ya do moaafi ke duaein krwana zroori hein.

12.  Training k doran 3rd Step tak apnay ustad k sath bhe power ke duaein karatay rehna hy….

Or 4th Step sy kion k HD1 Murshed jee k zair e nigraani karaya jata hy is leay Murshed jee he sab training karnay walon ko weekly power ke 2 duaein karaati hein.
Dil sy dua :-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *