10. Hazrat Imam Hussain a.a ka Faisla

*~*Imam Hussain r.a Ka Faisla*~*

Hazrat Imam Hussain r.a k pass jab yeh khatoot pohanchay tou Aap r a ke himmat or ghairat joosh mein aa gae…
Aap r.a ny Amar Bil Maroof or Nahe Aa’nil Munkir k leay alam e jehaad buland krna apna farz samajh leya…
Is par Hazrat Abdullah Bin Abbas r.a… Aap k deegar azeez o aqaarib or kai jaleel ul qadar Sahaba r.a.a or tabay’een ny Aap r.a ke khidmat mein darkhast ke k Hazrat Aap r.a koufa tashreef na lay jaein…
koufa k log be’wafa hain, jafaa-kaar hain inhon ny Aap r.a k walid mohtram sy bhe be’wafaai ke the inhein ghurbat , perdais or kas’ma’pursi ke halat mein shahadat k injaam tak pohanchaya tha…
or phir yeh log wo hain k apny zalim ameer ko takht sy hata kar dawat nahi dy rahay bal k taa’haal is ke ita’at mein reh rahay hain phir bhe Aap ko bulaaey ja rahay hain, kahein aisa na ho k pehlay k tara ye Aap r.a sy be’wafai kar jaein.
Imam Aali maqaam ny ye sab kuch souna or farmaya k…

Msg 2
… “Or dawat e haq ke khatir jehaad karna farz ho chuka hy wo log bewafa o nadaan hein mujhy is sy saro kaar nahi… main qayamat k din Allah ke baargaah mein paishi k waqt is sawal sy darta hon k tujhy dawat e haq aisay waqt mein di gae thee jab zulm o bar’bariyat ka bazaar garam tha or sunnat e Nabvi S.A.WW k khilaaf sar’kashi ho rahi the, deen islam mein bid’dat or kharafaat ko riwaaj deya ja raha tha… logon k haqooq salab ho rahay thy, aazaadian cheeni ja rahi thein.
Islami shuaar ko nishana tazheeq banaey ja rahay thay.
Islami haqooq or qanoon ka tasawur mazaq ban kar reh geya tha.
Hussain….!!
Is waqt too ny is baghawat k khilaaf jehaad ka alam kion na buland keya…??
Phir yeh bhe batao k is waqt main kia jawab doun ga jab kufiyon ny qayamat k roz baargah e Elahi mein kaha k ham ny to bahut koshish ke the magar Imam r.a bait k leay raazi na hoay thay… lehaza hamein yazeed k zulm o sitam sy majboor ho kar is ki bait karna parri…

Msg 3
…. Agar Imam hath barrhatay tou ham to apni janein fida karny k leay taiyar thay”
Behar haal yeh masla aisa tha k is ka hal siwaye is k kuch or na tha k Hazrat Imam Hussain r.a kufiyon ke dawat par labaik farmain…
Bawajood yeh k jaleel ul qadar sahaba karaam r.a.a Aap r.a ke is raa’ey sy mutafiq na thay or Imaam ke muhabat or shahadat ke shohrat in sab k dilon mein paryshani paida kar rahi thee or Imam e Aali Maqam r.a ko bhe jaleel ul qadar Sahaba karaam r.a.a k shadeed israar ka lehaaz tha… magar ehal e koufa ke darkhasat ko radd farmany k leay koe shar’aee uzar na tha.
Ta’hum Aap r.a ny itna zaroor kiya k jab Aap r.a ko yeh mashwara deya geya k agar Aap r.a ny zaroor he jana hy tou pehly wahan kisi ko halaat ki aagahi k leay bheij dain, agar halaat saaz’gaar hon tou Aap r.a tashreef ly jaein warna yahan par he jalwa gar rahein.
Is par Imam Aali maqaam ny socha k pehlay Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ko koufa safarat k khiyal sy bhaija jaey.
Agar koifiyon ny bad’ehdi or be’wafai ke tou uzar e shar’aee mill jaay ga or agar wo apny ehad par qaaim rahay to Sahaba Karaam r.a.a ko tasali de ja sakay ge. Aap r.a ny Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ko koufa sifarat k khiyal sy bhaija or farmaya k….
Msg 4
…. “Aey mere bhai…!!
Koufa ja kar halaat ka jaiza lo or wahan k halaat ka jaiza ly kar mujhy khat likho or mashwaro do k aaya mera wahan jana munasib hai ya nahi..?? Aap r.a ny… Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ko kufiyon k khatoot ka jawab likh kar deya k jo kuch tum ny mujh sy biyan keya hy wo tamam main ny jaan leya hy, main ny tumhary pas ehal e bait mein sy apnay qabil chacha zaad bhai Muslim Bin Aqeel r.a ko bhaija hy or inhein kaha hy k wo tumhary haal k baray mein mujhy likhain, agar ounho ny mujhy likha k jo kuch tum ny likha hy wo aqal mand or bazurgan e qoum k mashwary sy likha hy tou main InshaAllah bohat jald tumhary pass pahonch jaoun ga or main Apne jaan ke qasam uthata hon k Imaam wohi hy jo k kitaab Allah par amal karny wala ho….
Wasalam”


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *