10. Rozay Ka Faida

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Rozay ka Faida”
“Bhok sy Waqfiyat”
Aik Faida ye k Aksar o Baishter log basiyaar khori k mareez hotay hein yani…
Aadatan ziada khanay k aadi hotay hein.
Khanay ki zarorat nahi hoti lakin khanay ki aadat pari hoti hy.
Kai log aisay hotay hein jin ko pata hi nahi hota k bhok hoti kia cheez hy… Jab chaha khaa leya , jab chaha pee leya.
Ramzan ul Mubarik mein Roza rakhnay sy in ko bhi pata lag jata hy k Bhok kia hoti hy. Bhok sy in ki waqfiyat ho jati hy.
Deen e Islam mein kitna piara ye qaida bana leya hy k Saal mein aik maheena tum rozay rakho.
Is sy kia ho ga k Wo log jo Manpasand ka roz khatay hein, Unhein bhi pta lagay ga k Jab pait k andar kuch na jaey tou banday ki halat kia hoti hy.
Is leay Hospital mein jaa k daikhain tou kam khanay ki wajah sy beemar log nahi milain gy.
Ziada khanay ki wajha sy beemar log milen gy…

Jo ziada Namkeen or Murghan asheya khanay ki wajha sy…
Ya ziada meethi asheya khanay ki wajha sy…
Ya ziada mirch masalay wali cheezain khanay sy ya ziada chiknai wali cheezain khanay ki Wajha sy mareez banay hon gy….
Tou ziada tar beemariyaan jo hein wo ziada khanay sy ta’aluk rakhti hein kam khanay sy shaaid he koe beemari ta’aluk rakhti ho…
Tou shareyat mein kitna husan hy k Roza rakhnay ka Hukam deya.
Jab kuch waqt in ko bhoka rehnay ko milay ga tou In ko bhi pta chal jaey ga k jin k haan khana nahi banta Un ghareebon ka din kaisay guzarta hy…
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *