15. Barkaton Wala Maheena

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Barkaton wala Maheena”
Ramzan ul Mubarik mein Allah ki taraf sy be’inteha barkaton ka nazol hota hy.
Aik martaba Nabi Akram S.A.WW ny Irshaad Farmaya…
“Tumharay ouper Ramzan aa gaya hy jo Barkat Wala Maheena hy, Is mein Allah Rab ul Izat tumhari taraf mutawajah hotay Hein or Tum per Rehmatain nazil farmatay Hein,Tumhari khataaon ko maaf krtay Hein, Duaaon ko Qabool farmatay Hein or Is mein tumharay tanafas ko daikhtay hein”
(Tanafas ka matlab hy muqabla pr aik dousry sy bhar kr kaam krna. yahan tanafas sy murad ramzan k maheeny mein barrh charr kr achy kaam krna hy)
(Rawah u Tibrani)
Hazrat Majdul ul Alf Sani (r.a) apnay maktoob mein farmatay hein k…
Ramzan ul Mubarik k Maheenay mein itni barkaat ka nazol hota hy k bakiya puray saal ki barkatoon ko Ramzan ul Mubarik ki Barkatoon k sath wo nisbat bhi nahi jo qatray ko samandar k sath hoti hy.
Hadees pak mein hy Allah frmata hy,
“Ay logo agar awleen aakhireen, jinnaat insan, zinda o murda, khushk o tar, chouty bary, mard o aourat, ikathy ho jaein aik maidan mein or mujh sy maangain tou main har aik ko soun ga or mery khazano mein itni he kami ho gi jitni sui ko samabdr mein dabou kr nikalny sy hoti hy”
Subhan Allah
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *