19. Be’misal or Be’Riya Ibadat

~*Shaaor E Ramzan*~”
“Be’Misaal or Be’Raya Ibadat”
Hadees Pak mein aaya hy,
“Tumharay ouper roza lazim hy kion k is ki koi misal nahi”
rozy k bary mein 2 batain zehan nasheen kr laini chahiein k aik tou yeh k yeh aik be misaal Ibadat hy or dosri baat yeh hy k yeh aik be raya Ibadat hy.
Roza mein raya kaari hoti hi nai.
Aap pochain gy wo kaisy?
Wo is trah k roza daar admi jab wuzu krta hy tou us waqt kuli krnay k leay munh mein pani dalta hy, ab agar wo aadha pani andar ly jaey or aadha bahir nikaal dy tou kisi ko kia pata chalay ga.
aisy he aik aadmi agar chhup kr kha pee ly tou kisi ko is ka ilm nai ho sakta or wo roza na rakhty huy bhe keh sakta hy k main rozy sy hon or koe shakhs yaqeen sy nai jan sakta k wo rozy sy hy ya nai.
agar wo rozy sy hy tou bhe is baat ko sirf wohi janta hy or agar nai tou bhe ous k siwa koe nai jan sakta.
isi wajah sy rozy ka moamla sirf Allah or bandy k darmiyan hy or is mein raya kari ki gunjaish nai k koe shakhs duniya ko tou dhoka dy sakta hy lakin apny Allah ko nai.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *