2. Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW ka Wa’az

“~*Shaaor E Ramzan*~”
*Shabaan k aakhir mein Piary Aaqa S.A.WW ka ramzan ki fazeelat or ehmiyat par wa’az*
Hazrat Salman Farsi r.a sy manqool hy k Aap S.A.WW ny Shabaan k aakhri dinno mein frmaya….
“Tumhary oupar aik bara bazurg maheena saya figan hua hy. yeh bara barkat wala maheena hy. Is mein aik raat hy jo hazar maheeno sy afzal hy… is mein Allah ny rozon ko farz qarar diya hy or is ki traweeh (Tatawo) sunnat hy.
Tatawo sy myrad wo kaam hy jo aadni apny dil ki khushi sy injam dy bghir is k, k wo farz qarar diya gya ho jis ny is maah mein koe nafal ibadat ki goya ous ny farz ada kiya. Yeh maheena sabr o bardasht ka maheena hy is ka swab jannat hy…
aik dousry k sath khair khawhi ka maheena hy. Aisa maheena hy jis mein ous momin ka rizq barha diya jata hy.

jis ny kisi roza daar ko iftaar krwaya ous k leay yeh gunahon ki moafi ka baes ho ga or jahanam sy khulasi ka or ousy bhe outna he swab mily ga or ous k swab mein koe kami na ki jaye gi.
is par sahaba ikram ny arz kiya,
Ay Allah k Rasool S.A.WW!
hum mein sy tou koe itni wusat nai rakhta k iftari krwaye.
Aap S.A.WW ny frmaya ous shakhs ko bhe outna he swab mily ga jis ny aik khajoor sy ya aik ghount paani sy ya aik ghount doodh sy iftaar krwaya.
Yeh aisa maheena hy jis ka pehla ashrah rehmat ka hy, dousra maghfirat ka hy or teesra jahanam sy khulasi ka hy.
Jo ghulam or nokar k sath tahfeef (kaam k bojh ko halka) krny ka moamla kry ga Allah ousy moaf kry ga or jaham sy nijaat frmaye ga.
is mein chaar cheezon ko kasrat sy kiya kro jis mein dou tou wo hein jis sy tumy tumhary Rab ki razamandi hasil ho gi or dou aisi cheezain hein k oun k bina chara he nai.
Rab ki khushnoodi k leay do amour Kalma Taiyaba or Astaghfaar ki kasrat hy.
or jin do k bghair chara nai wo jannat ka swal or jahanam sy panah mangna hy.
jis ny kisi roza dar ko sairaab kiya ousy Allah pak mere houz sy sairaab kry ga jis ka baad ousy piyas mehsoos nai ho gi yahan tk k jannat mein dakhil ho jaye ga”

Hadees e Mubarika mein aata hy k…
Maidan e hashar mein paani ka aik houz ho ga jisy houz e Kousar kaha jata hy. is ko Muhafiz or Nigran khud Piary Aaqa S.A.WW hon gy is sy pani wohi piye ga jisy Aap S.A.WW pilaein gy kisi dousry ko is sy pani peeny ka mouqa nai mily ga, phir is houz k ilawa maidan e hashar mein koe dousra houz na ho ga jahan sy koe pani pee saky.
Nabi Kareem sirf oun logon ko ous houz par aany dain gy jo is qabil hon gy k jannat mein dakhil ho sakein.
chunachy jo shakhs jo shakhs roza daar ko pait bhar kr khana khilaye ga wohi houz e kousar sy pani piye ga or jannat mein dakhil ho ga.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *