3. Markaz e Khilafat ke Koufa Muntqili

*~*Markaz e Khilafat ki Koufa Muntaqili*~*

Hazrat Ali r.a ny apnay daor mein Takht E Khilafat Madeena Munawra sy muntaqil kr k koufa mein qaaim kr leya tha.
Is ki wajha ye thee k Hazrat Ameer Muawiya r.a ka daar ul hakumat Damishq tha.
Jo k Madeena sy bohat dour or lambi musafat par tha.
Is qadar dour reh kr pori khilafat k intazam o insaram mein dushwari hoti thee
Is leay is dushwari or is ilaaqay mein honay wali musalsal baghawaton par qaabu panay k paish e nazar Aap r.a ny daar ul hakumat Koufaa ko muntakhib farmaya.
Jab Hazrat Ali r.a ny Apni Khilafat ka markaz Koufaa qarar deya tou wo jo khud ko Shiyaanay Ali r.a
(Hazrat Ali r.a ka Giroh) kehlanay walay thay… Har taraf sy simat simat kr Hazrat Ali r.a k qourb k khiyal sy Koufa mein jama honay lagay.
Or kasrat k sath ounhon ny Koufa mein sakonat or rehaish ikhtiyar ki or is tarah koufa shiyaanay Ali r.a ka markaz ban geya.
Msg 2
Is daor mein 4 jamatein wajoud mein aaein.
Jin mein sy…

1. aik jamat aisi thee jis ny khul kr Hazrat Ali r.a ki himayat or Banu Oumaiya o deegar shakhsiyaat ki mukhalifat ka ailaan kr deya.
Is jama’at ny khud ko ‘Shiyaan’ ki jamat qarar deya wo isi siyasi hamayat ki bina par aagay chal kr jamaat ‘Shiyaan E Ali’ qarar paai.
Yaad rahay k Shiyaan e Ali ka naam jo is waqt marouf hoa is sy faqhi or mazhabi nuqtaey nazar sy wo Shiyaa maqtab e fiqar muraad nai tha jo baad mein baa qaida fiqah (Fiqaey Jafriya) ke tadween o taaleef k baad wajoud mein aaya.
Balky is sy muraad Hazrat Ali r.a or Hazrat Ameer Moawiya r.a k darmiyaan ikhtalaf k waqt Hazrat Ali r.a ki khilafat ki siyasi himayat k taor par paida honay wala giroh hy.

2. Dosra tabqa Banu Oumaiya ki hamayat par wajoud mein aaya.
Pehlay pehal yehi do giroh aapas mein mutasadam hoay.

3. Isi door mein aik teesra tabqa bhi wajoud mein aaya…
Msg 3
…Jis ny Hazrat Ali r.a or Hazrat Ameer Moawiya r.a dono ki mukhalifat ki.
Is tabqay ny in dono hastiyon k khilaaf aik musalah kashmakash ka aagaz keya.
Ye tabqah ‘Khawarij’ kehlata hy.
Ye kharji namaz, rozay or zakat k paband thay, nawafil, tahajad, kasrat e zikr or kasrat e tilawat jaisay aamal bhi baja laitay thay…
“Inill Hukmu Illah Lillah”
Yani hukam sirf Allah ka naara buland kartay thay lakin (Ma’azallah) Hazrat Ali r.a or Hazrat Ameer Moawiya r.a ko Wajib ul qatal or kafir gardantay thay.
4. Chotha tabqah kaseer Sahaba or oun ke pairve karnay walon ka tha.
Jo Hazrat Ali r.a ki khilafat ko bar haq jantay thay lakin Hazrat Moawiya r.a k baray mein khamosh thay.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *