7. Rozay Ka Maqsad

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Rozay ka Maqsad”
Pehli Qomon mein bhi Rozon ko farz keya gaya or is Ummat per bhi Farz keay gaey.
Dil mein ye Sawal paida hota hy k kion ye rozay ki pabndiyaan lagae gaen?
Kion khanay peenay sy mana ker deya gaya?
Kia koi budget mein kami ka andesha tha.
Jaisay k aaj kal hakumaton k maslay hotay hein k budget kam hy lehaza dandi mar do…Tou kia ye koi Rizq ki kami ka masla tha. Farmaya nahi… Hamarey khazano mein koi kami nahi bal’k ye tou tumharay hi faaiday k leay hukam deya gaya. Sun lo.
“Ta’k tum perhaizgaar ban jao”
Tumhari tarbiyat ho jaey. Tumhain pata chal jaey k tum ny apnay nafs pey qabu kaisay pana hy. Tou rozay ka asal maqsad insan k andar taqwa paida krna hy.
Maqsad ye tha k agar tum saal mein 30 din Hamary kehnay k mutabik jaiz cheezon ko bhi din mein chor saktay ho.
Tou kia baqi saal k hison mein na’jaiz cheezon ko nahi chor saktay.
Jab hamary kehnay…

Per jaaiz cheezon ko chor rahay ho tou phir saal k baqi hison mein na jaiz cheezon ko chorna tou bara hi aasan hy.
Tou Emaan walon ko is maheenay k andar practice krwai gae, Apnay nafs per qabu panay ki rehersal kerwai gae.
Warna banda be’sabra ho jata hy or apni Khuwahishaat ki takmeel k leay deewana ho jata hy. Jab k Taqwa insan k andar Sabar paida krta hy.
Taqwa ki wajha sy Insaan apnay nafs ko lagam dy sakta hy. Is leay tamam taleemat ka khulasa Taqwa hy.

Quran e pak mein Sorat Al-Baqra mein rozon ka auk maqsad yeh bhe biyan hua hy…
“Or jis hidayat sy Allah ny tumy sarfraz frmay hy, ous par Allah ki kibriyai ka izhar o aitraaf kro or shukr guzar ban jao”
is sy maloom hota hy k ramzan k rozon ko sirf ibadat or taqwa ki tarbiyat he nai qarar diya gya bal’k ous azeem ul shaan naimat e hidayt par Allah ka shukr bhe shukr bhe tehraya gya hy jo quran ki sorat Os ny hamein ata frmaei hy.
Haqeeqat yeh hy k aik danish mand insan k leay kisi naimat ki shukr guzari or kisi ehsan k aitraf ki behtreen sorat agar ho sakti hy tou wo sirf yehi hy k wo apny aap ko is maqsad k leay tayar kry jis k leay ata krny waly ny yeh namat ata ki hy.
Quran e pak is leay ata frmaya gya k hum Allah ki raza ka rasta jan kr ous py chalny ki koshish krain or is maqsad k leay khud ko tayar krny ka behtreen zariya roza hy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *