Alert 1-*Silsila Or Batil*

*Alert 1*

“Silsila Or Batil”
Silsilay sy attach ho k Haq ke k safar mein ham aagay barhen gay tou Allah ke qurbat or ashnai ka safar taiz ho ga.
Is sy hamara silsilay par yaqeen bhe barrhay ga k yahan attach honay k baad ham mein badlaao aya hy.
Ab is par istaqamat sy kharay rehna hamari azmaish hoge.
Kion k baatil yahan waar karnay ke koshish karay ga or koe na koe aisa pehlu dikhaey ga jahan apka andar silsilay k hawalay sy shubhaat ya sawal outhein ya aap k andar silsilay k kisi na kisi pehlu k hawalay sy napasand’deedgi ka ihsas baidar karay ga…
Agar yahan sy aap ny baatil ko raasta na deya tou wo is taraf sy bhe aanay ke koshish karay ga k…
Ab silsilay ke wo baat nai rahe… ab ziada log sath nahi hein silsila kamzor ho geya hy…etc
Asal mein baatil hamare silsilay sy mazboot attachment jis mein zara barabar bhe batil k ghussnay ke ghunjaish nai the wahan apne panja azmai krna start kr dy ga or yakeen kamzor honay lagein ga.
Or yahan agar ham ny khud ko alert na rakha or batil k is waar sy larrnay ke koshish na ke tou phir ahista ahista batil or kaarray waar krnay lagay ga.
Or hamaray andar manfi points outhaana shuru kar dy ga.
Or wohi sab point jo silsilay k hawalay sy kabhi hamaray yakeen ko Kaamil karnay ka sabab banay thay…
Wo point he silsilay par aitraz karnay ka sabab ban jayen gy…
Or ap oun parr arr jayen gay.
Yahan batil hamaray andar ye soch outhaey ga k ham jo aitraazaat outha rahay hein wo bilkul jaaiz or darust hein or ham tou dar asal haq ka allam buland kar k sachaai samnay la rahay hein or khud ko darust samjh k ham Silsilay k format, tareeqay, asool o zawabit… etc ko apnay pasand k moutabiq tabdeel karna chahein gy…
Or jab jo jo ham ny chaha, os k moutabiq waisa nahi hoga tou andar sy batil dil mazeed detach karay ga silsilay sy or silsilay walay piaron sy mutanafar karay ga or batil ko mazeed kaari waar karnay ka moqa mill jaye ga.
Agar ap abb bhe alert na hoay tou…

Hamein baatil pakka yakeen dalay ga or aisa lagnay lagay ga k ham tou haq ke baat kar rahay hein magar os waqt batil k shikanjay mein hon gy or samjh nahi aye ge k ye batil hy jo hamein khud ko darust or silsilay ko ghalat dikha raha hy.
Agar ham batil sy paspa hotay gaye. Tou batil akhir kaar apni chal mein khuda nakhawsta kaamyaab ho sakata hy.
Baatil hamein silsilsy k mazboot hisaar sy nikal k kamzor karna chahay ga ta k haq ke raah par chalnay sy aasani sy rok sakay.
Agar koe aisa ihsad outha or os par jawab dy kar mutmaein bhe kr deya geya ho par phir bhe wo aitraaz andar baki hy tou ye intehai khatar naak ho sakta hy.
Yahan sy batil k dao paich sy be hadd alert reh kr khud ko bachaein.
Haq Ka Allam Thamay Rehna :-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *