Alert 5- *Batil Or Rehbar o Rehnuma*

*Alert 5*
“Batil or Rehbar O Rehnuma”
Baatil hamaray dil mein Haq ke raah par chalaanay walay Rehbar O Rehnuma k kisi bhe moaamlay, mamool, faislay ya hukam par khamakha koe na koe aitaraaz ya shikwa shikayat ka ihsas dil mein outhaey ga.
Jab ham kisi Rehbar sy proper attach ho k chal rahay hon gy tou hamein wahan sy yaqeenan faiz ke power mil rahe hoti hy or sath sath Rehbar sy haq ke raah par chanay k leay baatil sy larrtay rehnay k gur or haq ke ashnai mil rahe hoti hy…
Or wo zindgi jis mein batil k hathon lamha lamha nuqsan outhatay hoay ham tabaahi ke tarf barh rahay hotay hrin ab Rehbar k sath sy sanwar rahi ho ge.
Ye sab bila-shuba silsilay k Rehbar O Rehnuma k sath attach rehtay hoay honay lagta hy…
Jab aisa hota hy tou baatil ye haq ke raah par barrhtay qadam roknay k leay hamaray andar haq k Rehnuma O Rehbar k hawalay sy koe aitraaz, shikwa ya waswasa daal daita hy… jis sy hamara yaqeen kamzor honay lag jata hy…
Dil sy jab yaqeen kam honay lagay ga tou hamein wahan faiz ke roohani taqat ko bhe sahi tara sy wasool nahi kar paaein gy…
Or youn baatil apnay shikanjay mein or ziada phansaey ga or Source of power sy connection mazeed kamzor ho ga tou agay barrhna na sirf dushwar hota jaye ga bulky haq ke raah sy qadam palatnay lagein gy…
Or yehi baatil ke kamiyaabi ho ge…
Kion k os ke chaal hy he ye k wo hamaray Rehnuma k leay aisay khiyalaat or waswasay dalay ga kion k Wohi tou hamein bhalai ke raah par aagay leay jaa rahay hotay hein…
Or batil is safar mein rukawat dalnay k leay ye harba istamal kray ga k Wo hath hamaray hath sy choot jaey…
Lehaza yaqeen kaamil rakhtay hoay… aisay kisi bhe batil ihsas ya soch k saray raastay band kar dain ta k baatil ko haq k raahi ke raah roknay k kor maiqa na milay or baatil siwaey afsoos karnay k kuch na kar sakay.
Haq Ka Allam Thaamay Rakhna :-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *