Alert 8-*Batil or Dua+Working*

*Alert 8*
“Baatil or Dua+Working”
Baatil dosron k sath duaein ya working karny ko is zaviya sy dikhaey ga k,
Agar is waqt khud par working karon tou ziada acha hy… akhir mera bhe tou safar hy… Mujay bhe apnay leay time chaihiye or ye time main apnay leay kion na avail karon.
Ab is k peechay batil ke bohat ghehri chaal hoge.
Kion k aik doaray k leay dua karnay k zariye ham sab aik doosray ka hath thaam kar agay sy aagay niklay jatay hein or is aapas k rishtay ke waja sy… hamaray hath karray mein dalay karray ke tara aik zanjeer ban jaatay hein jis ny sab ko apas mein baham mazbooti sy paka bandh rakha hota hy…
Dosron k sath working bhe hamary apnay safar mein faida mand hy k phansay hoay logon ko samjha k nikalnay…

ye kisi k sath os k kuch point discuss kar k osay nikalnay sy na sirf ham kisi ke madad kar rahay hotay hein bulky hamara apna andar khulata hy or manzil ke jaanib ke raah aasan ho jati hy.
Ab batil jab apne chaal chal raha ho ga tou aisay mein kia hoga k wo hamein hamary leay apny safar ko itna ahim bana k paish karay ga k kisi k leay dua ya working hamary leay ghair-ahim ya waqt ka ziyaa lagnay lagay ga…or aisa kar k asal mein wo hamein apne he zaat mein phansa raha ho ga…
Or agar ham ny os waqt apne zaat ko ehmiyat daitay hoay khud ko os baaham muhabat ke zanjeer sy alag kar leya tou ab baatil k leay maidaan khaali ho ga or wo hamein aasani sy phansa kar apnay haq k safar sy bhe kisi na kisi tara roknay k hath-kanday aasani sy istamal kar ly ga…kion k ham apne zaat ko tou ehmiyat dy kar phansnay ka pehla step ly he chukay hein…

Aisi kisi bhe situation mein pehlay step par he baatil ka moun torr k na sirf khud ko os k waar sy bachaein bulky koe bhe baatil k hathon phansa jab bhe madad k leay pukaray…tou os k sath working or dua kar k osay baatil k shikanjay sy nikalnay mein madad dain or baahmi muhabat ke zanjer ko or mazboot kartay jaein ta k baatil ko koe maoqa na milay kisi haq k rahi ke raah roknay ka.
Haq Ka Allam Thaamay Rakhna:-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *