“Worker or apni galti ko man’ny ki ehmiyat” Worker ky ander “Anna”(انا ) na ho Kiun kay ager “Anna” ho ge to ungli dosroun per uthi rahey ge…. Worker ko Apni galti ka ehsas ho jany per tasleem karny men koi aar (عار ) na ho…. Kiun k us ko tasleem karna us ky Hkr ko sikhata hy k ager galti sarzad ho Jay to us ko maan leny men koi aar(عار ) nhe,chahy koi Ustad ho ya koi Hkr… Wo jhuk kar maan ly ga to faiyeda main rahy ga…. Us ka zaat pr kaam ho ga… Or aik worker ky tour per namoonaRead More →

“Worker or apni ghalti ka ait’raf kerna” Hkr sy ghalti tasleem karny ki tawaqoo rakhty hoay ustad apni ghalti ko tasleem karny ka zarf bhe rakhy…. Jahan bhe ous sy ghalti sarzad ho ous ka aitraaf karny mein aar na samjy balky ous ko working ka hissa samjhy k youn aitraaf karna bhe agly ko sabq sikha jaey ga or yeh ous ka aik worker k toar py khalis pan bhe hy….. Yeh bhe aik tarah sy andr ka jhukana hy or andr jhukta hy tou akar(اکڑ ) khatam ho jati hy or akar khatam ho tou wahan narmi jagah ly laiti hy jis kaRead More →

“Worker or cases may variety” Ustad k andr case lainy k hawaly sy koe standard set na ho k falan type, falan umer, ya falan tarah k case tou nai ly sakta… Balky wo har qism or har umer k case par working ka tajarba kary or har tarah k case handle karna seekhy….. Bachon k sath agar working karni pary tou kary… Kisi bari umer k case kay sath kaam karna pary tou bhe kary or ous ko ous k level pay ja k sikhaye….. Bachon k sath bacha ban jaye… Bazurg k sath bazurg.. Or oun k sath on’hi ki dil’chaspiyan share kary…Read More →

“Worker ka apny phassy huay point say nikalna” Worker kay andr khud jis point par uljhan ho wo ous point par apny Hkr ko achy tareeqy sy na tou guide kar saky ga or na behtreen rehnumai dy kar ous ko wahan sy nikalny mein madad kar saky ga…. Is leay yeh zaroori hy k worker khud ous point mein sy nikalny k leay apny “ustad” ya “Murshed” sy raabta kar k ous k leay tips ly… Or wahan apni uljhan dour karny k leay dua ka sahara ly taky khud ous ka ous uljhan mein sy nikalna ous ko dousron ko is tarah kRead More →

“Worker ka actor hona” Worker aik actor hota hy. wo case k sath waisa he ho jaisa kay wo case hy.. Yani aaghaz mein wo ousy “jo hy jaisa hy” ki buniyaad par qabool karta jaye or aahista aahista ousy jaan kar ous par working karta jaey… Yeh na ho k har waqt aik he tareeqy sy ous ko chalaye Balky kabhe frank ho kar, kabhe dosti k andaz mein, kabhe ustad k andaz mein, ous k sath chaly.. Magar kisi bhe andaz sy grift mazboot rahy k kahan kis point pr ous ko rehnumai daini hy… Is tarah raabta barhy ga. Har tarah kRead More →

“Worker ka Hkr k liye dua kerna” Working ky hawaly sy aik tip yeh hy k worker k sath jo bhe case attach hon, oun k leay kisi waqt dil sy Allah k sath tanka laga kar dua kar liya karain… Is tarah sy dua karny sy oun cases ko dil ki power milti hy… Or oun k sath raabta acha hota hy Or case apnaiyat mehsoos karta hy…. از : ❤ شاہ جی ? “حق کا علم تھامے رکھنا” ? (محمدی حسینی سلسلہ )Read More →

 “Behtreen Working ki khas tip” Worker k andr jhuk jany.. khud ko tabdeel kar lainy.. khud ko morr lainy ki khoubi hona zaroori hy… Ta’ky wo waqt, halaat or moamlaat k mutabiq working ko behtreen tareeqy sy chala saky… از : ❤ شاہ جی ? “حق کا علم تھامے رکھنا” ? (محمدی حسینی سلسلہ )Read More →

 “Worker or Power ki Dua” Worker waqtn fawaqtan khud power ki duaein zaroor karta rahy… Ta’ky yehi power wo aagy baant saky or ummation ko haq ki raah dikhany mein kamyabi sy aagy barhta rahy…. Jis tarah dunia mein nokri karty hoay worker hamesha seekhta or apni salahiyaton mein izafay ki koshish karta hy… Aisy he yahan bhe aik worker ko har tarah sy power laina zaroori hy… Zaat par kaam kary… Ta’ky working ko behtreen tareeqy sy chala saky … از : ❤ شاہ جی ? “حق کا علم تھامے رکھنا” ? (محمدی حسینی سلسلہ )Read More →

“Working kerty huay Allah sy madad mang’na” Jab koe worker apni working ka aaghaz kary tou ous k andr yeh ehsas or yaqeen rasikh ho k yeh Allah ka karam or meharbani hy k ous ki nokri k leay chun liya geya…. Jaisy hum koe nokar rakhein tou wo hamari marzi or aankh k ishary par chalta hy… Aisy he hamein bhe apni working karty hoay apny Malik k ishary par chalna hota hy…. Worker working karty haoy lamha lamha Allah sy madad maang kar working kary…. Apny zor e bazoo par bharosa darust nai hy.. Allah par tawakal ho… Hum jab Allah sy madadRead More →

“Worker ka foa’ri (فوری ) nataij chahna” Working mein foari (فوری ) nataa’ij ka hasool nai hota… Hum ny working ko test series k taor py chalana hy… kion k yahan istaqamat sy khud bhe is raasty par chalna hota hy or apny sath attach cases ko bhe chalana hota hy… Agar hum foari nataaij ke tawaqoo rakhein gy tou na tou khud mutmaein hon gy or na he Hkr… Lehaza working mein foari nataa’ij na chahein or apni working pouri istaqamat sy jari rakhein…. از : ❤ شاہ جی ? “حق کا علم تھامے رکھنا” ? (محمدی حسینی سلسلہ )Read More →