Azaan ka Jawab kese diya jaye

*~Azaan~*
*~Azaan Ka Jwab Kaisy Diya Jaye~*

Aik sahabi biyan frmaty hein k k Hazrat Moavia k pass tha k oun k moaz’zan ny azaan di tou Hazrat Moavia ny azaan k kalmaat moaz’zan ki tarah dohraaye. Yahan tak k jab moaz’zan ny
HAIYA ALA SALAT
kaha tou Hazrat Moavia r.a ny
LA HOLAA WA LA QUWATA ILA BILA
kaha, phir ous k baad wohi kaha jo moaz’zan ny kaha…
phir Ameer Moavia ny kaha k main ny Rasool Allah S.A.WW sy azaan ka jwab aisy he souna.

Hazrat Abdullah Bin Umroo Bin Al Aas r.a sy riwayat hy k Rasool Allah S.A.WW ny frmaya,
“Jab tum moaz’zan ki azaan souno tou tum bhe ous k ilfaaz dohraao, phir hum par darood parho is leay k jo mujh par darood parhta hy tou Allah ous par das martaba rehmat bheijta hy, phir Allah sy mery leay waseely ki darkhawast kro, Waseela jannat mein aik maqam hy jo kisi bandy k hissy mein nai aaye ga lakin main umeed krta hon k wo maqam mujy mily ga jo shakhs mery leay waseela ki dua kry ga ous k leay meri shifa’at halal ho gi”.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *