Azaan kay zaruri masaail

*~Azaan~*
*~Azaan k Zaroori masaail~*

1. Hadees e mubarika mein hy k
“Bina wazoo azaan na di jaye”
Albata majbouri ki halat mein bila karahat jaaiz hy jaisy namaz kawaqt tang hota ja raha ho ya kisi bimari ki wajah sy wazoo na kr sakein.

2. Jo shakhs azaan dy wohi takbeer parhy… albata moaz’zan azaan dy kar kaheein chala jaye ya dousry shakhs ko takbeer ki ijazat dy dy tou wo takbeer parh sakta hy.

3. Takbeer sirf farz namazon k leay masnoon hy.
Taraweeh, eidain, namaz e janaza k leat azaan nai.

4. Aourton ko azaan ya takbeer kehna makrooh hy khaw namaz jamaat sy parhein ya alag.

5. Aourat azaan soun kr mard ki tarah jwab dy.

6. Azaan or takbeer k waqt salam krna makrooh hy.

7. Masjid k andr azaan daina makrooh hy albata jumma k khutba k waqt wali azaan minmbar k saamny makrooh nai.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *