Batil Kia Hy

“~*Baatil*~” kia hy…???

Hadees mubarika mein hy k,
Allah farmata hy k
Main aik chupa hoa khazana tha or main ny chaha k pehchana jaoun.
Is leay jo bhe Allah ke aashnaai or muhabat mein qadam barrhata hy or wo haq ke raah ka mudafir hota hy.
Roz e Azal he jab Allah ny saray farishton ko Aadam ko sajda karnay ka hulam deya tou iblees ny is hukam sy inkaar keya jis ke waja sy laanat zada kar k dhatkar deya geya or is ny Allah sy qiyamat tak k leay muhlat maangi k main Tere bandon ko Tere raastay sy brhkata rahon ga.
Surat Shamas mein Allah farmata hy k
Main ny tumaray andar naiki or badi ilhaam kar de hy or har insan ko ikhtiyar deya geya hy k wo naiki ke raah ikhtiyar karta hy ya badi ke.
Isi leay jab ham duniya mein aatay hein tou hamaray andar Allah ke raza or khushi yani naiki bhalai or parhaizgari ka shaoor hota hy…

Or isay ikhtiyar karnay walay ke ko har lamha sharr ka mukhtlif shaklon or suraton mein saamna hota rehta hy.
Ab is badi or baatil sy khud ko bachatay or is sy larrtay hoay Allah k har hukam par sabar o raza k sath sar e tasleem e kham kartay hoay har haal mein shukar karnay walay he sachay musalman hotay hein.
Is ke aallaa tareen misaal Imaam E Aali Maqaam Hazrat Imaam Hussain a.a ny Marka E Karbala mein har tara ke intahaai mushkil aazmaaishon mein bhe baatil k khilaaf haq par datay reh kar na sirf apnay bulky apnay ghar walon or sathoun k khoon sy Karbala ke rait par raqam kar de.
Taa k aanay walon k leay aik aisi misaal waaim ho jaey k Wo Haq jis ke pehchan k leay hamein is duniya mein bheija geya… har tara ke aazmaishon sy na ghabratay hoay os aashnai na sirf ham ny khud paani hy bulky os Haq ko pehchaan kar khud bhe os par datt k kharray ho jana hy or dosron tak bhe isay pahonchanay ka fareeza anjaam daina hy.

Or yehi waja hy k…
Baatil apne taam power or hathiyaron sy lais ho kar os k saamnay aajata hy, jo ye karnay ka irada bhe kar ly or jo tou aagay qadam barrhaey tou baatil os ka pakka dushman ban kar os ka haq ka safar kisi tara sy bhe roknay ke jar mumkin koshish karta hy…
Baatil bazaat e kgud mujasim nai hy bulky yeh nafs, shaitaan or duniya ka majmoa hy…
Or inke koe makhsoos shakal rang ya huliya nahi hota… ye kisi bhe mahaol mein, kisi bhe roop mein kabhe zaahir or kabhe chupp kar haq ke raah k musaafir k muqaabil aata rehta hy…
Yehi waqt haq k raahi ke aazmaaish ka hota hy…
Agar wo har lamha dushman sy alert reh raha hy tou ab kaisay is waqt baatil k kisi bhe waar ko samajhtay hoay… Allah par yaqeen or emaan ke taqat k sath is waar ka muwaabla kartay hoay na sirf baatil sy bach nikalta hy bulky baatil ko shikast daitay hoay haq par datt kar kharra ho jata hy…

Har baar jab ham baatil k zaahir ya chupy waar ko pakarr kar is ka moun torr jawab daitay hein tou hamaray andar Allah par yaqeen or emaan ke taqat k sath haosla or barrh jata hy or ham aagay sy aagay na sirf khud aisay he baatil sy larrtay haq ke taraf barrhtay hein bulky dosron ko bhe baatil k muqaabil kharray rehnay or larrnay k gour sikha kar Allah par emaan mazboot kar k nijaat ke raah dikha saktay hein…
Batil… lamha lamha haq k raahi ke taak mein hota hy… or khud ko bohat sy parrdon, parrton, naqabon or raishmi jaalon mein chuppa k rakhta hy.
Yehi Batil he hy jo kabhe…
* Dunia ke muhabat ke sourat mein tou kabhe Zaat, ana or takabur k parrday mein…
kabhe zaahiri Sharr ban kar tou kabhe Sharr ko khair k naqaab mein chupa k…
Kahein Nafsani khahishaat ke tasken k saman mein maojood hota hy.
Ye batil he tou hy jo Rah e Haq k har musafir mein maojood Haq ke ashnai k bawajood…

Osay apny Maqsad e Haq sy aisay ghafil kar k kahein na kahein phansa daita hy k samajh bhe nai lagnay daita…
Kahin mazlomiayat mein dost ban k ghair laita hy tou
kahein wo haq k raahi k dil taskeen k ihsas baidar kar k… kahein wo tassali or itminaan dilatay hoay nazar aata hy tou kahein haq k musafir ke nazar Allah k karam or fazal sy hata k apnay zor e bazoo par yaqeen baidar kartay or mein “kuj v nai” k ihsas ke dhajjian urratay hoay…

Ye Batil he hy jo,
Hamare nazar apnay aibon sy hatta kr doosron par karnay k parday mein chupa hy… apna ban kar hamein apnay baray mein Khush Gumani daita hy or Doosron k Baray mein Bad Gumani ka kaam parday mein chup k karta hy…
Or agar koe khushqismati sy Hussaini Haq k Mission ka Worker ban k kaam karnay lagay tou…
Osay Ummat ke bhalai ke khaatir Haq k Alam ke sarr bulandi k leay kaam karnay sy har surat ghaafil karnay k har tareeqay ko istamal karta nazar aata hy…
Baatil os worker k Hussaini sipahiana jazbay ko ghatta k os ke shiddat ko kisi or baatil raah par zaya karaanay k naqaab mein bhe chupa hota hy.
Or yaad rakhna Yehi batil hy jo Ummation k beech Ikhtilafaat, Ranjish, Ghusa, kasheedgi, Nafrat, Bhughaz, Keena, Badgumani, Dushmani, Zulm, Ziydati, Na Insafi or firqa waraaiyat ka waar chalata hy…

or bahim mubahat mein ahista ahista kami kar k mukamal taor par isay khatam kar deta hy, Wo ummat jissay bachaney k leay, jis ke bhalai k leay or jissay Haq k allam tallay mutahid rakhtay hoay nijaat ke raah par chalanay ke khaatir…
Piaray Aaqa S.A.WW na sirf khud takaleef o masaaid bardasht kartay or raaton ko ro ro kar duaein maangtay rahay bulky apne Aal apnay jigar goshay apnay gulshan k phoolon ke jaan ke qurban paish kar de…
Agar ham Allah sy piar karnay walay or khud ko Piaray Aaqa S.A.WW or Oun ke Aal E Paak ka ghulaam kehtay hein… Roz e Mehshar Oun k jhandat tal kharra hona Oun Ke shafat sy behra mand hona or Haoz e Kaosar ka jaam peena chahtay hein tou aaj baatil ko oehchaan’na ho ga os ka muqaabla kar k os ka moun torrna ho ga…
Or isi leay ab daily aap ko aik msg
*Alert About Baatil*
bheija jaey ga… ta k aap ko apne routine mein os chupay baatil par nazar rakh k pakarrna or osay shikast daina aata jaey or aap haq ke raah par qadam ba qadam aagay barrhtay jaao.
Dil sy dua:-)


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *