?Day 10 ❤ALLAH SE TALUQ MAZBOOT KARNA❤ ?Ham ne is dunia ki har cheez ko apne aur Allah kay taluq ko mazboot karnay k liye istamal karna hota hai. Aur iskay liye zaroori nai ye dhoondain k wo cheez kyu aur kisliye hay…. ?Ye ilm Allah ko hai k wo kyu aur kisliye hai aur uski hikmatain bhi wo jaanta hai.. ham usko nai smjh sktay….. hamari aqal choti hai. ?US ne jo 99 sifaat he ham par zahir ke hain ham unhi ko nai samjh sktay. Jab wo he smjhna hamare liye mushkil hai k in sifaat k zariye usko smjh sakain jesa kRead More →

? DAY 11 ? ? Har cheez mein sy khusboorti dhundna ? ⚡Msg 1… SHAH JEE ❤ nay hr jaga hr mamlay ko ALLAH aur Apna taaluq mazbut bananay kay liye istamal farmaya. Is baray mein chand mamlaat Aap nay yun biyaan farmaye. Ek baar mein fotgi per gaaon gyi to wahan bhi mere andar ALLAH kay ehsas kay hawalay sy talash jari thi. Wahan log mukhtalif duniyadari ki baaton mein magan thay. Mein mayyat kay liye kuch parhti rhi kay ALLAH uskay liye asaani kr day. Sardiyon ka mausam tha aur makhiyaan ur rhi thin. Aur mere idhr udhr uranay kay bawajood mjh perRead More →

? DAY 12 ? ?Sirf sat’hi cheezon ko nai balkay gehrayi sy dekhna? ❤ Humaray paas nazar aisi ho kay hum sirf sathi cheezon ko na dekhain balkay gehrayi say dekhain to hum sab cheezon mein say khubsoorti dhund sktay hain. ❤ For Example : ▪ Ek dafa ek aurat sy mulaqat hui jis ka aadha chehra jala hua tha aur ankhain bhi sahi tarha sy khuli hui na thin.. mjhe us mein zahiri khubsurti ko dhundna mushkil ho rha tha.. us mein khubsurti khojnay kay liye mein us sy batain krnay lagi.. phir baaton baaton mein us mein apnay baray mein bataya kay woRead More →

?Day 13 ?ALLAH ka ehsas e aashnayi? ? ALLAH k banday ALLAH tak janay ka raasta? ALLAH❤ kay bando ko ALLAH ki nazar se dekhain to maloom hota hay kay …. “Allah kay banday to dar’asal hamare liye “ALLAH tak janay ka raasta” hain…. ……… ALLAH ne har jagga bilaa takhsees apne bando se piar karnay k baray mein farmaya hay…. Kyu k WO khud apne har banday se 70 mao’n se ziada piaar karta hay….. Msg 2 Msg 2 ?Dar’asal ALLAH k liye uskay banday bohat he hasaas aur nazuk mamla ki haisiyat rakhtay hain…. …. ?Aisa “mamla” jis k baray mein bohat bareeqiRead More →

?Day 14 ?”Mera gham aur meri khushi Allah se wabasya hay”? Murshid Jaaan❤ ne farmaya : Mera gham aur meri khushi ALLAH❤ se wabasta hay… Meray gham aur meri khushi per sab se zyada ALLAH❤ kaa raazi honaa… yaa ALLAH❤ naa kare , kabhi naraz hona asar andaaz hota hay… ALLAH❤ mujhse raazi ho to main khush rehti hun… Msg 2 … Msg 2… Iskay ilaawaa jab mujhe logon k andar ALLAH❤ k ehsaas k tehat badlaao nazar aata hay , to ye cheez us waqt meray barray se barray dukh ka azaala kar deti hay… Meri thakan utaar deti hay… Mujh per har cheezRead More →

? DAY 15 ? ? Quran E Pak ? ⚡Msg 1… Bechaini o beqarai mein qarar bhi ALLAH ❤kay sath kay ehsas sy hi milta hai. Hum muztarib hon to ALLAH ❤ sy rajoo krain. Aisay mein Quraan e Pak ? ko kholain to humaray samnay koi aisi ayat aa jati hai kay jisay parh kr humain thund aur sakoon ka ehsas dil mein utarta mehsus hota hai. Us waqt andar yaqeen utarta hai kay ALLAH ❤aisay keh rha hai to phir humain kia pareshani. Humain Quran aisay hi aagay barh barh kr thaam leta hai jese kay ALLAH ❤ek qadam barhanay pr das dassRead More →

?Day 16 ?ALLAH ka ehsas e aashnayi? ?ALLAH❤ kay saath qurbat ka barhna US ki ma’arfat k hijaab uthata chala jata hay. ALLAH❤ ki ma’arfat k jo hijab hain wo dar’asal US ki sifaat hain. ?WO apni ma’arfat kisi par zahir karta hay tou samjhain kay hijabat uthnay laggay hain. ?ALLAH❤ ki tamam sifaat ki jalwah garri har lamha horahi hoti hay. Maslan madad karnay ki sift ko lain to aise nai keh skty k WO madad talb karnay par kisi mamlay mein madad nai karta….. Albata aisa ho sakta hay k WO us mamlay mein wese madad na kar raha ho jese ham chahRead More →

?Day 17 ?Logo’n par yaqeen ALLAH par yaqeen se ziada hona? ?Almiya ye hay kay hamara logo’n par yaqeen ALLAH❤ par yaqeen se kaheen ziada hota hay. ?ALLAH❤k sath apne mamlaat mein ziada mayus hotay hain . Jabkay logo’n k sath mamlaat mein mayusi ka tanasab kam hota hay. ?logo’n k hawalay se agar dekhain tou aisa hota hay kay hamain agar kisi k sath koi kaam parray tou yaqeen hota hay kay Hamare behtareen dost us waqt aik phone call ya paigham par madad ko aayin gay…. aur agar wo madad na kar sakain to ham khud ko taaweelain paish karty hain Kay bilaaRead More →

? DAY 18 ? ? Ibadat ki asal rooh ? ALLAH Apni sifaat kay zariye hi Apnay bunday per haqeeqat kay parday ayaan krta hai. Magar hum ALLAH sy rabta aur dil ka taaluq istawaar nai krtay. Issi liye ALLAH kay ehsas bhi dil mein nai utartay. Hum ALLAH ki sifaat ko pakar kr hr lamha dil ka rabta bananay ki koshish krain to ALLAH kay ehsas sy be behra na rhain. Sitam zareefi ye hai kay hum ALLAH kay liye ibadat krnay pr to zorr detay hain magar inhi ibadaat mein ALLAH kay ehsas sy aari ho kay ALLAH kay samnay kharay ho jatayRead More →

?Day 19 ?ALLAH k faislo par shikwa karna? ALLAH❤ ka ehsas hamare dil mein jaagazeen ho tou hamain yaqeen hota hay hamara ALLAH❤ ham se 70 maa’on se ziada piar karta hay. Isliye wo jo faisla hamare liye karay ussi mein behtari hoti hay. Magar jab yaqeen na ho tou ham har mamlay mein hamare liye saadar kiye gye US kay faislay mein naqa’is zaroor nikaltay hain… khaas tour par tab jab wo hamari marzi k mutabik na ho……. Agar Duniya k mamlaat ki hee misaal lain to na he ham aur na hee koi aur ye pasand karta hay k uskay kisi mamlay yaRead More →