DAY 1 TOPICS : 1. “Namaz Ki Ehmiyat” 2. “Namaz Ki Fazeelat”   *NAMAZ* *~Namaz ki Ehmiyat~* Wo amaal jin sy Allah ta’ala ke baargaah mein qurb naseeb hota hy wo faraaiz hein ya nawafil, farzon k muqably mein naflon ka kuch eitbaar nahi hy… farzon mein sy kisi aik farz ka is k apny waqt mein ada krna hazaar saal k nawafil ada krny sy behtar hy… agarchy wo nawafil khalous niyyat k sath ada keay gay hon.. khaw wo nimaz, zakat, roza, or zikr o fikr wagera mein sy koe bhe nafal ho…. Manqool hy k aik roz Hazrat Umar Farooq r.a nyRead More →

DAY 2  TOPICS : 3. “Namaz Ki Farziyat” 4. “Namaz K Mani”   *~Namaz Ke Farziyat~* Dur e mansoor mein Imaam Sayouti r.a ny naqal keya k.. Jab Mairaaj ke shab Bait ul muqadas mein Masjid e Aqsa k darwazay par pahonchay tou wahan aik jaga Hooraan e jannat ko beithy daikha.. Hooron ny Aap S.A.WW ko salam kiya tou Aap S.A.WW ny pocha k.. tum kon ho? Tou Hooran e jannat ny arz keya k… ham naik logon ke bibiyan hooran e jannat hein… aaj Aap k peechay namaz parrhnay aaei hein. Aap S.A.WW wahan sy aagay chalay… Jab masjid e Aqsa k andarRead More →

DAY 3 TOPICS : 3. “Namaz Ki Shaan” 4. “Namaz Ka Ehtimam”   *~Namaz Ke Shaan~* Namaz ko baki tamaam faraaiz ke nisbat ye imtiyaazi shaan haasil hy k… tamaan faraaiz k ihkaam zameen par farz keay gaey… jab k namaz Mairaaj shreef ke raat arsh par ja k farz hoe… Allah ny apnay Mehboob ko apnay pass bula k khaas ul khaass hazoori mein aamnay saamnay farz ke… Jis qadar ehtamaam is farz ka hoa… baki faraaiz ka is k asar e asheer bhe nai hoa. Ihsas Atta Ho. *~Namaz Ka Ehtamaam~* Quran pak Surat Nisaa mein hy k… “Beshak namaz emaan walon parRead More →

DAY 4  TOPICS : 7. “Namaz Ki Fazaail” 8.. “Be Namazi Ka Hashar”     *~Namaz k Fazaail~* Hazrat Haafiz Ibn e Hajar r.a ny Munbihaat mein Hazrat Usmaan ghani r.a sy riwayat kiya hy k… Jo shakhs aoqaat ke pabandi k sath namaz ke muhafzat kary… Allah os ka 9 cheezon sy ikraam farmaty hein. 1. Is ko apna mehboob bana laitay hein. 2. Is ko tandurusti atta karty hein. 3. Farishty is ke hifazat kartay hein. 4. Is k ghar mein barkat atta karty hein. 5. Is k chehry par sulahaa jaisa noor zahir hota hy. 6. Is ka dil naram farma daityRead More →

DAY 5 TOPICS : . “Khashou O Khazoo paida karne ki tadbeer” 8. “Khashou kia hai” 9.”Khashu k Batini osaaf ¹….Hazoor e Qalb ²….Tafheem   *~Khashou Kia Hy~* Khashou dil mein khouf or aajizi ki kafiyat ka naam hy jo aankh sy daikhny ki cheeze nai. khashou ke 2 iqsaam hein… 1. Dil ka khashou 2. Jisam ka khashou 1. Dil ka khashou dil ka khashou ye hy k bandy k dil mein Rab’by Zuljalal ke Azmat o Kibriyai ka ihsas mojoud ho or wo Oss ke haibat o Jalal ke waja sy dar raha ho or apni aajizi o inksari or bechargi ka aitraafRead More →

DAY 6 TOPICS : “Khashu k Batini osaaf 3…Tazeem 4…Haibat 5…Rijaa 6…Hayya 3 *TAZEEM* Teesra wasf Tazeem hy yani insan jis Aaqa k samny khara hy is ke azmat ka ihsas dil mein ho.. ye Hazoor qalb or tafheem sy mukhtalif aik sift hy… ham yeh daikhty hein k yeh shakhs apny ghulam sy guftagou krta hy wo hazoor e qalb k sath guftagoo kr raha hy or wo apny kalam k maani bhe samajh raha hy lakin is k dil mein ghulam ke tazeem nahi hoti, is sy maloom hoa k tazeem Hazoor e dil or fehm sy alag koe cheeze hy…. “TAZEEM KRead More →

DAY 7 TOPICS : “Khashu O Khazoo paida karne ki tadabeer” 1…Gunaahon sw ijtenaab 2…Haraam se ijtenaab 3…Wazoo mein qalb ko hazir karna 4…Azaan ki taraf dil mutawajoo karna   *~Khashou O Khazoo Paida Krny Ki Tadabeer~* yahan par kuch aisy tareeqy biyaan kiye gay hein jin pr koe sachy dil sy amal krna shru kr dy to isy namaz mein khashou or khazou wali naimat naseeb ho sakti hy… 1. Gunahon sy ijtanaab.. 2. Haraam sy ijtanaab 3. Wazoo mein qalb ko hazir kr dy. 4. Azaan ke taraf dil mutawaja kry 5. Manay khashou mahol sy ijtanab 6. Intezar e salaat 7. GhairRead More →

DAY 8 TOPICS : “Khashu O Khazoo paida karne ki tadabeer” 5…Ma’naay khushoo mahol se ijtenab 6…Intezar e Salaat 7…Ghair Allash se Be Altafi 8…Namaz k.ilfaaz ki taraf Tawajah   “khushu o khazu paida kerny ki tadabeer” *~Ma’naay Khushoo Mahol Sy Ijtanab~* khashou hasil krny ke aik ye bhe tadbeer hy k aisy amoor or aisy mahol ko chor dy jo khashou mein ma’naay hoty hein…. Baaz ouqaat insan apny ap ko khamakhaw aisy amoor mein uljha laita hy k in ka asar in k dil par rehta hy or namaz mein bhe idhar he dhiyaan lags rehta hy insan ko apni zindagi ke tarteebRead More →

DAY 9 TOPICS : “Khashu O Khazoo paida karne ki tadabeer” 09…Namaz k Maani ke taraf Ghour 10…Tadeel Arkaan 11…Aakhri Namaz samajh kar parhna 12…Allah walon ko sohbat 13…Allah se Hazoori wali Namazon ki dua Karna “khushu o khazu paida kerny ki tadabeer” *~Namaz k Maani ke Taraf Ghour~* Aik ahsan namaz k leay yeh zarori hy k doran namaz jo alfaz zaban sy ada keay ja rahy hon in k maani ko dil mein hazir kia jaey or is bat ko samjha jaey k bar gaah e khuda wandi mein kia kaha ja raha hy…. is sy na sirf khashou hasil ho ga bal’kRead More →

DAY 10 TOPICS : “Namaz Masawat ka dars” “Namaz mein Qibla ki taraf Tawajah” “Namaz ka aaghaz” *~Namaz Masawaat Ka Dars Hy~* *Namaz Mein Ijtamaeyat* sub namazi aik imam k peechy aik qibla ke taraf munh kr k aik khuda k samny jhuk rahy hoty hein maloom hoa k sb ka maqsad e zindagi aik he hy… is maqsad k hasool k leay sb ko mil jul kr rehna ho ga…. is leay deen islam ny rehbaniyat ke purzor mukhalifat krty hoay farmaya k, “or rehbaniyat yani dunia ka chor daina ye unho ny nae baat nikali, ham ny in pr farz nai ki” DeenRead More →