Humari Khushi aur Gham
*”Haq ki Baat”* Hamari soch ye honi chahiye k Allah khush hai tou sabse barri khushi ho. Aur agar hamare kisi amal se Allah naraz ho tou ye sabse barra dukh hona chahiye. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه) 1Read More →
*”Haq ki Baat”* Hamari soch ye honi chahiye k Allah khush hai tou sabse barri khushi ho. Aur agar hamare kisi amal se Allah naraz ho tou ye sabse barra dukh hona chahiye. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه) 1Read More →
“*Haq ki baat”* Hum ne Deen kay liye duniya ko chourna nai hai.. Balkay duniyadari ko ALLAH ke ahkaam kay tehat nibhana hi hmara asal Deen hai…or yeh hi hmari azmaish hai keh sirf duniya ke ho ke reh jate hain ya duniya main rehte howe khud ko bin daikhe ALLAH ki raza or khushi ke liye ALLAH ki pasandeeda raah pe sakhti se paband rakhte hain… Or yeh hum sirf apni muhabat, jazbe or shouq se hi kar sakte hain… شاه جی ♥ ? حق بات (محمدی حسینی سلسله) 2Read More →
“*Haq ki Baat”* Ghalti karna itni burri baat nai balkay ghalti kar k uspay nadim na hona burri baat hai شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه) 3Read More →
*”Haq Ke Baat”* Allah ny bata deya k… ye Youm e aml hy… or aagay youm e jaza ho ga… Par hamare nadaani k yahan ham amal sy ziada jaza chatay hein… or jaza bhe apne marzi ke شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه) 4Read More →
“*Haq ki Baat*” Koi insan bhi agar apne mamoolaat ya moamlaat ko khud set karne kay liye zor lagaye ga tou wo thakta aur phansta jaye ga… Sab se pehle Allah ko apne saray halaat batao. Us se madad Maango. Aur phir kuch karne ka qadam uthao tou sab kuch khud ba khud set hota jaya ga. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه) 5Read More →
*”Haq ki baat”* Duniya aik maila hai..Is main hum jis cheez ki talab rakhain ge hmain wo hi her tarf nazar ai gi..Ager bhook ho gi to her tarf khane ki chez per nazar thaire gi or wo hi achi or piyari lage gi..Is tarha jo talab ho gi hum wo hi hasil karain ge… Ab jab hum ne ALLAH ki talab rakhi hi nai to kese ALLAH hum ko nazar ai..!!! Kese hmain mile…Hum talab sachi rakhte to baat banti…phir hum gila karte hain hum to ALLAH ko dhondte phir rahe hain or Wo milta nai… Oh ALLAH ke bando…! Wo to her waqt…herRead More →
“*Haq ki Baat*” Jis amal ko ham sirf isliye sabse chup kar kartay hain kay uska ham se mansoob hona hamare liye baes e sharmindagi hoga. Wo amal kabhi bhi hamari duniya o akhrat k liye faida mannd nai hoskta.. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه) 7Read More →
*”Haq ki baat”* Duniya ki her cheez jo ALLAH ne ataa ki hai is se faida uthao…faida na uthana ghlat ho ga… Bas itna khiyal rahe ke iske hone ya na hone se dil uper neeche yaa’ni up down na hoa kare… شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه) 8Read More →
“*Haq ki Baat*” Hamari ghalti ye hoti hai k ham zahir k rishto ko sahara samjhne lagtay hain or jab wo saharay chootne lagte hain to ham mayus or pereshan ho jatay hain kyu k wo saharay aarzi hotay hain. Agar ham Qaim daim saharay k sath lagay houn tou ham kabhi dama dol nai hotay kyu k hamne aik mazboot sahara pakrra hota hua hai. Aur jab bhi aarzi saharay tootnay par aap pereshan houn to samjhain k wo isliye hua k mera Allah k sath raabta aur yaqeen mazboot nai tha. Aur ye sab isliye hua k mera us par yaqeen istrah naiRead More →
“*Haq ki baat*” Nafs ka jahad ye nai kay zindagi kay moamlat se alag ho kar mafs kay mujahiday kiye jayin. Balkay Piyare Aaqa S.A.WW ki pairvi karte hue zindagi kay moamlat mein khud ko Aap S.A.WW kay pasandeeda sanchay mein dhalne ki koshish jaari rakhnaa nafs ka jahad hai. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه) 10Read More →