“~*Baatil*~” kia hy…??? Hadees mubarika mein hy k, Allah farmata hy k Main aik chupa hoa khazana tha or main ny chaha k pehchana jaoun. Is leay jo bhe Allah ke aashnaai or muhabat mein qadam barrhata hy or wo haq ke raah ka mudafir hota hy. Roz e Azal he jab Allah ny saray farishton ko Aadam ko sajda karnay ka hulam deya tou iblees ny is hukam sy inkaar keya jis ke waja sy laanat zada kar k dhatkar deya geya or is ny Allah sy qiyamat tak k leay muhlat maangi k main Tere bandon ko Tere raastay sy brhkata rahon ga.Read More →

*Alert 1* “Silsila Or Batil” Silsilay sy attach ho k Haq ke k safar mein ham aagay barhen gay tou Allah ke qurbat or ashnai ka safar taiz ho ga. Is sy hamara silsilay par yaqeen bhe barrhay ga k yahan attach honay k baad ham mein badlaao aya hy. Ab is par istaqamat sy kharay rehna hamari azmaish hoge. Kion k baatil yahan waar karnay ke koshish karay ga or koe na koe aisa pehlu dikhaey ga jahan apka andar silsilay k hawalay sy shubhaat ya sawal outhein ya aap k andar silsilay k kisi na kisi pehlu k hawalay sy napasand’deedgi ka ihsasRead More →

*Alert 2* “Batil ka Shaoor” ” Baatil… hamein baatil ka shaoor baidaar karnay or dosron sy is par baat karnay sy roknay ke har mumkin koshish karay ga… Hamein kahay ga k… Logon ko kia samjh ye tou sirf tumhein baatil ka pata hy na… Bus tum larro baki sab ko is ke samajh nai aey ge… Ta k is tara ham baatil ka shaoor dosron mein baidar na karein… Jab k hamein is ka shaoor har ummati k andar outarna hy k ye hamara kaisa dushman hy or is ke chaalein kia kia hein… Or ye kaisay makarion or chalakion sy hamein haq kRead More →

*Alert 3* “Batil or Namaz” ” Batil faraaiz ke adaigi ke raah mein susti ya rukawat dalnay k leay kuch bhe aisa karay ga k Namaz ke behtareen adaaigi na ho sakay or youn ham farz ke adaaigi or aik barray roohani source of power sy mehroom rahein. Namaz haq ke raah par barrhnay k leay pehle sehrrhi hy… is par qadam jamaaey bina haq ke raah par aagay qadam barrhaya he nai ja sakta… ot baatil yahan waar karnay sy nahi chookta… Kion k haq ke raah k musafir ko roohnai power he baatil sy larr k aagay barhnay mein madad daiti hy. JabRead More →

*Alert 4* “Batil or Tilawat e Quran e Pak” Quran pak ke tilawat roohani power ka eham zairriya hy. Baatil is sy faida outhanay sy roknay ke hcar mumkin koshish kray ga. Koe bhe aisi wajah ya surat e haal samnay laey ga k… Tilawat e Quran e Pak ke daily toutine he na ban sakay or agar bani hoe hy tou os mein khallal aa jaye or youn hamare rooh is source of power sy mustafeed ho k haq ke raah par qadam or aagay na barrha sakay. Kion k… Tilawat e Quran e Paak sy hamaray dil ke halat mein bohat tabdeli paidaRead More →

*Alert 5* “Batil or Rehbar O Rehnuma” Baatil hamaray dil mein Haq ke raah par chalaanay walay Rehbar O Rehnuma k kisi bhe moaamlay, mamool, faislay ya hukam par khamakha koe na koe aitaraaz ya shikwa shikayat ka ihsas dil mein outhaey ga. Jab ham kisi Rehbar sy proper attach ho k chal rahay hon gy tou hamein wahan sy yaqeenan faiz ke power mil rahe hoti hy or sath sath Rehbar sy haq ke raah par chanay k leay baatil sy larrtay rehnay k gur or haq ke ashnai mil rahe hoti hy… Or wo zindgi jis mein batil k hathon lamha lamha nuqsanRead More →

*Alert 6* “Baatil or Maojuda Target” Baatil Hamein maojuda target… jo k os waqt hamaray saamnay hota hy os par best working karnay ke bajaey… aagay k leay or or sochein or khiyal paida karta hy… jo haq k raahi ke manzil sy nazar hata daiti hein… Aisay k jab ham haq ke aashnai k safar par aagay barrh rahay hon gy tou hamare soch baidar karay ga k ye target kab tak achieve kar lain gy… mein ny isay falan time sy pehlay karna hy etc… Ab agar hamaray andar kuch lamhon ko ye soch aei or is ny hamaray jazbay ko barrha deaRead More →

*Alert 7* “Baatil or Active Person” Baatil hamein active nahi rehnay daita… Zara se bhe jismani takleef ko barrha charrha k dikhaey ga or araam ka mashwara dy ga. Ab agar yahan ham faori alert na hoay tou moaamla bigarr sakta hy. Kion k agar ham Haq ke raah k safar mein hein tou yahan batil har tara sy hamara safar ke speed ko slow down karnay ke koshish kray ga… Jis ka aik pehlu ye hy k hamein achanak thakan, bila waja ke aa’saabi kamzori, koe mamooli takleef, ya ghair zaroori tension paida ho jaey ge…etc Or ham osi pareshani mein he sara dhiyanRead More →

*Alert 8* “Baatil or Dua+Working” Baatil dosron k sath duaein ya working karny ko is zaviya sy dikhaey ga k, Agar is waqt khud par working karon tou ziada acha hy… akhir mera bhe tou safar hy… Mujay bhe apnay leay time chaihiye or ye time main apnay leay kion na avail karon. Ab is k peechay batil ke bohat ghehri chaal hoge. Kion k aik doaray k leay dua karnay k zariye ham sab aik doosray ka hath thaam kar agay sy aagay niklay jatay hein or is aapas k rishtay ke waja sy… hamaray hath karray mein dalay karray ke tara aik zanjeerRead More →

*Alert 9* “Baatil or Coverd Point” Ham ny zaat par kaam k hawalay sy koe point pakrra or osay best way mein behtareen tara sy cover kea hoga… tou Jaisay he ham relax hoay k ab is point ko tou ache tara cover kar leya hy… Tou ab yaad rakhna k waheen sy dobara baatil aaey ga or barra bura phansaey ga. Is leay haq ka raahi kabe na bholay k… Batil is ka aazli or sab sy bara dushman hy… Or dushman ke taraf sy kabe he relax ho k befikar relax nai hona… Kion k wo tou ghaat lagaae betha hota hy… jisRead More →