Alert 49. ” Batil or Iska Nanga Pann” Batil k be shumaar roop hein. Is k la tadad chehray hein. Ye bazahir koe na koe libada ourh kr rakhta hy ta k koe iss k roop ko pehchan na sakay. Haq ke raah k musafir or batil ke azli dushmani hy. Jab bhe haq ke taqat or quwat e emani pa kr ham… *Batil k har roop ko pehchan letay hein… *Is sy larrnay k qabil ho jatay hein… *Is k har roop or chehray ko doosron k samnay bhe khol kr ossay nanga krtay hein… ta k wo bhe iss sy larr saken TouRead More →

*Alert 11* “Batil or Safar k Maqamat” Jab hsmapnay safar mein aagay barhein… or alla maqam ata ho tou batil yahan bhe aa jaye ga or atta hoay ab tak k maqamaat ko bar bar gumatay phiraatay samnay laey ga or khush karay ga k waah barri baat hy in manazil or maqamaat par agaey ho. Yahan faoran dil aajzi mein larin or in batil sochon k jawab mein jhuk jayen or dil sy maanein k ham tou is ata k qabil nahi… Kahan ham or kahan ye alla maqam… hamara tou mounh nahi mangta tha… Ye tou sab Dainay Walay Sakhion ka karam hyRead More →

*Alert 12* “Baatil or Dilchaspi” Baatil kisi aisi jaga hamein dilchaspi dilanay ke koshish karay ga k hamare khud sy ya apne manzil sy nazar hat jaey. Aisay meim baatil hamare ghair mehsoos tareeqay sy kisi ghair zaroori cheez mein dilchaspi paida karnay ke koshish karay ga… Maslan ho sakta hy ham cooking, games, dostiyan etc…. mein ghair zaroori interest lainay lagein… Is k peechay bhe batil ke chaal hoge k… Wo hamein alert nai rehnay dy ga… Jaisay he ye feel ho tou faoran alert ho jaein… Zindagi ke zarorat k tehat koe bhe kaam ya moamla zaroor chalayen… Lekin agar koe mamool yaRead More →

*Alert 13* “Baatil or Waah Waah” Jab ham Haq ke raah par kahein kisi phansay hoay ko.. Time dy kar… Os ka issue soun k…Tips dy k… Dua ke power sy osay wahan sy nikaaltay hein… Tou is behtreen step lainay k baad bhe baatil is par he hamein phansanay ke koshish karay ga… agar hamare waah waah na ho tou… kion k baatil waah waah… Shabaashiyaan or balay balay ke taskeen chahnay ka ihsas baidar karay ga k tumhein itna appreciate nai keya geya jitna acha kaam keya hy… Or is tara baatil hamein belaos nai rehnay da ga. Lehaza intahaai khaloos k sathRead More →

*Alert 14* “Baatil or Manzil ke Haye Haye” Baatil Hamaray andar manzil paany k leay hai hai or haparr dhaparr macha daita hy… Or ham is sab ko sar par sawar kar laitay hein is tara ham baatil sy larr nai saktay. Jab k Haq ke raah par zaat par kaam kartay hoay… Ham ny nazar manzil par rakh k… aik aik step par apne zaat ke nafi kartay hoay aagay barhtay jaana hota hy. Ab is mein achanak jab batil ka ye hamla hoga, tou ham zaat par gehri nazar nahi rakh paein gy… Or manzil k hasool k leay shor sharaba ziada kareinRead More →

*Alert 15* “Baatil or Hamaray Piaray” Jab ham apne manzil ke chah mein sab kar guzratay hoay baatil k hath nai arahay hon gy tou wo hamaein hamaray piaron sy aa k pakrray ga. Or oun mein phansa k taswer ye dikhaey ga ye tumare zimadari hein… tum apnay leay nahi in k leay kar rahay ho… ye duniya mein tumare zimadari de gae hy wo poori karna bhe tou lazmi hy. Ab yahan bazaahir ye ham ko ghalat nahi lagay ga. Magar dar asal yahan batil hamara dil apne manzil sy hata k… wahan oun k sath direct attach karay ga, or wo saraRead More →

  *Alert 16* “Baatil Or Qareebi Piaray” Jab ham apnay aap sy nabard aazmaa hon gy or apnay andar k yazeed sy bharpoor tareeqy sy larr rahay hon gy tou baatil baahir sy hamary apnay kisi qareebi ko piar sy labraiz dil or addaon k sath hamaray pass lay aey ga ta k ham andar k baatil k sath larrnay ke bajaey os piar bhary dil walay kisi apnay k sath dil atka lain or andar ke jang sy nazar hata lain… Is leay ye zaroori hy k ham gherhi nazar rakhein or alert rahein… kion k ham tou haq ke raah k musafir heinRead More →

*Alert 17* *Baatil Or Istaqamat* Baatil andar ye soch baidaar karay ga k tum lamha lamha laga kar itnaaaaaa kuch kar rahay ho… Par tumhein os k badlay outna deya nai ja raha. Ya aisay k… kia kisi ko pata or khabar bhe lag rahe hy k ham bhe yahan lagay parray hein… Or itni koshish k bawajood kuch nai paa rahay… kia faaida aisi koshish ka…etc Ab wo laawarsi or bechargi mein la k Source of power sy hamara yaqeen ka conection kamzor karnay ke koshish kray ga… Jab k asal mein tou jab ham apnay safar mein aagay barhtay hein tou kabhe dyRead More →

*Alert 18* “Baatil Or Nissbat Sy Ghaflat” Batil har oss ghaflat ka parrday mein moajood hota hy jo hamein bhula daita hy k Hamari har azmaish Haq or Haq Walo sy Nissbat hy… Or ye ghaflat hamaray leay nissbat k ehmiayat ko kam kar daiti hy. Batil Hamaray leay azmaish ko enlarge ya bara kar k dikhata hy or ham batil k hamlay ka shikar ho k ye bhe bhool jatay hein k Ham Hussaini hein… Agar ham sachay Hussaini hein tou ham apne har aazmaaish ke nisbat wahan zaror dhondhein gy or tab hamein apne aazmaaish bohat choti lagay ge… Or os sy guzarnayRead More →

*Alert 19* “Baatil Or Hamari aoqaat” Baatil hamein har surat hamare aoqaat bhulanay ke koshsih karta hy. Hamein is raah par chalnay sy pehlay ke hamare asali halat bhulanay ke koshish karay ga k kaisay gandagi wali zindagi k shab o roz thay hamaray or kaisay ham janwaron ke tara shutar bemahaar thay… Kia sochein or kia amal thay… Jo Allah k ihsas e aashnaai sy ghaflat mein kis tara sy kisi bhe manzil ke chahat k bina kaisay bemaqsad guzar rahay thay… Or ham ghalaazton mein pal rahay thay… Baatil is leay hamein wo sab bhulaaey ga kion k os sab ka yaad rehnaRead More →