Alert 70 *Batil or Ataoun K Faislay* Haq k safar mein Haq Walon sy Wabastgi Ataoun ka Waseela banti hy. Ata tou Ata karnay Walon ka karam hy or oss mein lenay walay koe bhe kabhe bhe or kisi maqaam ke atta ka bhe apne zaati koshish sy haqdar nahi ho sakta. Magar yahan par bhe batil haq k rahi ko phannsanay sy baaz nahi ata. Agar ye ata kisi bhe tara sy kisi soorat mein ham parr ho tou ham beshuk dill o jan sy qabool kartay hein or zabani bhe kehtay hein k ham is ata k qabil har gizz har gizz naiRead More →

Alert 71 *Batil Or Mar’oobiyat* Haq ke rah par chalnay walay musafir ka safar aagay barhta hy tou aala maqam bhe ata hotay hein or qurb ke manazil ke tarf safar bhe jarib rehta hy. Magar ye kisi bhe musafir ka andar ka roohani safar hota hy jiss mein khalis pann har guzartay lamhay barhta jata hy. Yaban par bhe baatil apna war karnay sy nai choukta. Apni aalla manazil or safar k maqam ka ziker apnay sy peechay aanay walay musafiron ya orr logon k samnay karna unhein mar’oub tou karta hy magar haqeeqat mein hamaray khalis pann mein khott shamil kar deta hyRead More →

Alert 72 *Batil or Marfat e Waqia e Karbla* ?Aal e Muhamad S.A.WW ny aaj sy 1400 saal pehlay Karbla k maidan mein, Imam e Aali Maqam, Hazrat Imam Hussian r.a ny apnay saray kunmbay, Rufaqa or Ehl o Ayal ko qurban keya tou Kalma e Haq bacha or ham tak paohnacha. ?Aaj ham musalman is waqia k baray mein na tou jantay hein or na he jan’nay ke koshish kartay hein. ?Sach tou hy k… Dunia k kisi konay mein koe waqia roonuma ho ham poori tara sy dilchaspi letay hoay oske sari tafseelat bhe maloom karnay ke koshish kartay hein, or chahey osRead More →

Alert 73 *Batil or Na Shukri* Hamari zindgi k khushi k moamlat or mou’waqey par batil hamein Allah k samnay shukar guzar honay sy rokta hy. Or aisay mein ham Allah k karam sy nawazey janay par Allah ka shukar karnay ke bajaye apas k ikhtilafat or ana ka shikar ho kar shukar k ihsas kho detay hein. Hamari nazar oss ata par nahi rehti jiss k leay ham ny khud he Allah k hazoor arzian paish ke hoti hein or rou rou k duayen maangi hoti hein. Allah ke tarf sy apnay bandon par honay wali kisi bhe ata k moaqay par bandgi kaRead More →

Alert 74 *Batil or Jahalat* Zamana e Jahliyat ke tara aj bhe betion ke betion ke padaish ko aik ghamnak waqia samjha jata hy. Maoshray mein jahalat ke aisi ann ginnnt misaalen hamein millen ge k jahan log baition ke paidaish par sogg manatay or ansoo bahatay hein. Ye sabb batil ke rachaya hoa khel hy jo betion ke padaish par ronay dhonay or sogg mananey par majboor kar deta hy. Hamari jahalat, Allah k ihsas e ashnai or Allah par yakeen ke kami betion k padaish k maoqay par ghamgheen kar deti hy. Jab k betian tou Allah ke rehmat hein or Piaray AaqaRead More →

Batil Alert 75 *Batil or Itehaad* Kisi bhe Peer o Murshad, Rehbar ke rehnumai mein Allah ke qurbat ke raah par chalnay walay Haq k Rahi dar asal batil k hilaaf Haq k Faoj hotay hein. Har Haq ka Raahi apnay taor par apnay mahaz par bhe batil k hilaaf nabard azma hota hy or oun ka apas ka itehad haq ke quwat mein izafa karta hy or youn haq ka allam sar buland rehta hy. Batil Haq k Rahion k dillon mein aik doosray k leay mamooli or choti choti baton par ghair mehsoos tareeqay sy ranjish paida karta or dil ke halat koRead More →

*Batil Alert 76* *Haq ka Input-Haq ka Output* Haq ke Rah ka safar zat sy azadi ka safar hy. Jaisay jaisay khud ko khalis kartay hein haq ka safar aagay barhta chala jata hy. Jab ham khud bhe haq ke raah par chal rahay hon or aagay bhe kisi ko haq ke raah dikhanay ka farz sar anjam de rahay hon tou yahan intehai muhtat rehna hota hy k ham apnay sath chalnay walay haq k rahi ko… *Haq ka Input*… yani Apna piar, tawjou, power, apnay sath or qurb… ke soorat mein den tou osk badlay mein sirf or sirf *Haq ka Output* yaniRead More →

*Batil Alert 77* *Batil Or Apni Parakh* Haq ke Raah par chalnay k leay koe bhe Allah ka banda agar kisi Peer o Murshad ya Ustad ka hath pakar kr Haq ke Raah par chalnay lagay tou wo ye dekhay k Ounke Rehnumai, Oun ke taleemat hasil honay par kia osk andar Allah k ihsas e ashnai k tehat tabdeeli aa rahi hy ya nai. Yehi wo mayar hy jis par wo khud ko parakh sakta hy k jab Wo Peer o Murshad ya Ustad sy wabasta hoa tou os wabastgi ny Osk ihsas, soch mein kia aisi mussbat tabdeeli paida ke k os kRead More →

List Of Alerts 1. Batil or Silsila 2. Batil or Batil Ka Shaour 3. Batil or Namaz 4. Batil or Tilawat E Quran 5. Batil or Rehbar o Rehnuma 6. Batil or Maojooda Target 7. Batil or Active Person 8. Batil or Working+Dua 9. Batil or Covred Point 10. Batil or Khalis Dua 11. Batil or Safar K Maqamat 12. Batil or Dilchaspi 13. Batil or Wah Wah 14. Batil or Manzil ke Haye Haye 15. Batil or Hamaray Piaray 16. Batil or Qareebi Piaray 17. Batil or Istaqamat 18. Batil or Nissbat Sy Ghaflat 19. Batil or Hamari Aoqat 20. Batil or Allah keRead More →