*Harawal Dasta 1* **TA’ARUFI MSG** Is traning ka maqsad aap ko aisy nayab or anmol heery k taor par taraashna hy… jis k na sirf zahri amal Allah or Hazoor Nabi Akram S.A.WW k ehkamat k tabay hon… Balky baatni halat bhe intehai pasndeeda ho jaye… Or ye k zahiri amal munafiqat or riyakari sy pak ho kar aap ki batini halat ka aaina dar hon….. Or aap ka Allah k sath khalis or sacha mohabat k ta’aluq bana rahay…… Or aap k andar ke is quwat e emani ki waja sy zindagi k har tarah k mamoolat or moamlaat ke azmaishon mein sirf Allah orRead More →

Zaroori Hidayaat 1.  Jo koi bhe apne marzi, khushi or shoaq sy yeh training krna chahay to sirf ousy he training krwani hy. 2.  Training krnay walay ka zaat py kam krnay ka shoaq hona bohat zroori hy. 3.  Training krnay walay ny Surah Rehman ka 21 din ka course or duaein krwai honi chahein….. Or is doran Allah ki 3 sifaat Samee, Baseer or dil ka hal jan’nay walay ka ka ehsas dil me outra hoa ho…. To ous k leay ye training assan ho jaey gi. 4.  Harawal dasta ki training shuru krnay sy pehlay power ki 3 duaein krwani zroori hein. 5.Read More →

    *1st Step* “~* Ta’aruf *~” Sawal 1 Aap apna ta’aruf kraien…??? (yeh smajhty hoay k mujhy aap k baray mein koe ilm nai hy) Sawal 2 Aap is silsily k baray mein kia jaantay hein or kitnay arsay sy is silsily sy attach hein…?? Sawal 3 Aap ka Surat Rehman ka course or dua karany ke wajah kia thee…?? Sawal 4 Silsily mein aanay or Ustad sy attach honay k baad aap ny apnay andar kia tabdeeli mehsoos ke..?? Sawal 5 Kis manzil ki chahat mein aap yeh Harawal Dasty ki training laina chahty hein…?? Sawal 6 Is silsily k wo kon sy pointsRead More →

*~*Step 2 Krwany K Maqasid*~* 1. Harawal Dasta k doosry Step ka naam “Ihsas” hy. Allah mujasim nai hy. Allah ihsas ke soorat mein dil mein outarta hy or dil mein Allah k ihsas ka hona hamaray ihsas, , soch or amal ko Allah ke khushi k tabay karta ja raha hota hy.   2. Is step ka karnay ka maqsad dil mein Allah k Samee o Baseer hony k ihsas ko youn baidar karna hy k ham kuch acha karnay ke taraf maayl hon or kuch bura chornay par majboor ho jaein k Allah soun or daikh raha hy or youn hamaray roz marraRead More →

*Harawal Dasta 1*         *2nd Step* “~* Ihsaas *~”   * Is step main daily jo points best level par check karny hein…. Oun ki checking main khas tor par khiyal rakhna hy…. k wo points ousi din k hon…. * Training karny wala is mein Samee or Baseer ka wo Ihsaas share kary jis mein kisi ghalat soch ya amal ko karty hoay ous ny khud ko is Ihsaas k teht rok leya ho….. ya Samee or Baseer k Ihsaas k teht kisi amal ko karty hoay khud ko ziyada acha karny ki taraf raghib kiyaa ho…… * Is k ilawa is step meinRead More →

*Harawal Dasta 1*  *2nd Step* “~* Ihsaas *~” ” Samee “ *Allah soun raha hy* ” Baseer “ *Allah daikh raha hy*  ●Is Ihsas ko ziada sy ziada apnay dil mein jagaey rakhna hy… ●or daily routine mein sy kam az kam koe sy 2 moamlaat… ●ya mamolaat mein… jis waqt bhe aap ko Allah ka yeh ihsas… kuch bhe ghalat karnay sy rokay….. ●ya kuch bhe acha karnay ke taraf raaghib karay tou wo aap ny share krna hy… *Note* ● Daily total 4 points bhejnay hein… ●2 points Allah soun raha hy ihsaas k.. ●2 points Allah daikh raha hy ihsaas k… DilRead More →

*~*Step 3 Maqasid*~* 1. Is step ka naam hy, “Bol Aainay Bol.” Is step mein ham apni ghaltion ko talash kartay or talash karnay k baad tasleem kartay hein jis sy doosron par tanqeed ka amal kam ho jata hy kion k hamein apni ghaltiyan nazar anay lagti hein or youn ham doosron par nazar rakhnay ke bajaye khud par nazar rakhnay k aadi honay lagtay hein. 2. Apna aap aainay mein jab dekhtay hein tou na sirf zahiri amal ke ghaltiyan samnay aanay lagti hein balkay hamaray andar ke soch ke ghaltiyan bhe ham par khulnay lagti hein. 3. Jab ham apni ghaltian maanRead More →

*Harawal Dasta 1* *Step 3* “~*Bol Aainay Bol*~”   ●Is step ka naam hy Bol Aainay Bol ●Is step k points ka ousi din ka hona zaroori check keya karein… ●Back ground mukhtasir hona chahiye… ●Or galti ko wazeh point out keya hoa ho… ●Or yeh khiyal rakhna k sirf ghalti he btaei jaye… ● Is sy aagay galti par mazrat , azala or taoba ya maafi… K jaisay fiqray shamil nai honay chahiyen… ● Is step me bhe yeh khiyal rakhna hy k… ● ye training karnay wala… chotay barray waqiyaat mein… mukhtalif zaviyoun sy apne soch or amal sy apne ghalti ko pakrray…Read More →

*Harawal Dasta 1*  *3rd Step* “~*Bol Aainay Bol*~”  Is step ka naam hy Bol Aainay Bol… Is mein daily 5 points share karnay hein…  Jis mein aap ny ousi din ki routine mein sy aisi 5 ghaltiyan bataani hein… Jo khud par gehri nazar rakhnay ki wajah sy aap ko apne soch ya amal mein nazar aai hon… ● Note 1. Ghalti ka background batana hy. 2. Ghalti bataani hy jo k aap sy sarzad hoe. Dil say dua   *Sample Msgs* Point:- 1 ● Background Aaj subah aik milny wali aourat mery pass aai jo ghareeb si hy mujhy kaha k aap sy milanyRead More →