Sajda e Sahev Sahev ka matlab bhool kr kisi baat ka reh jana hy… Chanachay namaz mein agar bhool kr nasiyaan sy ya shak sy kuch kami ya ziyadti ho jaey tou us kami baishi ki talafi k leay namaz k aakhri qaa’ada mein 2 sajday krnay ko sajda e sahev kehtay hein… Ye sajda waajib hy. Aik Hadees sy saabit hota hy k jab namazi namaz parhta hy tou shaitaan waswasy k zariye bhula daita hy jis sy namaz mein kami ya baishi ka gumaan paida ho jata hy. Agar aisi surat paida ho jaey tou us haal mein sajda e sahev kr kRead More →

 Namaz e Witar ● Namaz witar wajob hy aur yeh teen raka’at hy aur pehla qa’ada wajib hy. Witar ke teenon rakat mae qiraat farz hy aur surah Fateha ky baad surah parhnaa wajib hy.Teesre rakat mae qiraat sy farigh honae ky baad rakooh sy pehlae kanon tak haath utha kar Allah O Akbar kahaein. Is ky baad dua e qanout parhaein. Yeh parhnaa wajib hy. ● Hazrat Abdullah bin Umar (r.a) sy marve hy keh Rasool Allah (S.A.WW) raat ke namazon ky aakhir mae witar parhnae ka hukam farmatae aur farmatae ky subh sy paishtar witar parho. ● Hazrat Ali Karam Ullah Wajho (r.a)Read More →

Namaz e Safar Safar karnae walon ky liye Allah ny namaz mae kuch sahoolat de hy jisae namaz e musafir ya namaz e qasar kaha jata hy. Is ky mutalik Hukam e Khuda Wandi hy keh… ” Aur jab tum zameen mae safar ky liye nikalo tau tum par koi muzaika nhee keh tum namaz mae qasar kar lo.Agar khoof ho keh kafir tum ko fitna mae daalaein gae.” (Nisa 101) ● Hazrat Umar Farooq(r.a) ky dariyaft karnae par Pyaraay Nabi (S.A.WW) ny irshad farmaya… ” Suno namaz mae qasr karna yeh Allah ka aik sadqa hy jo Us ny tum par farmaya hy. LehazaRead More →

Ramzan Ka Lughvi Mafhoom Quran Pak mein Surat al Bakra Aayat (185) mein hy k… (Ramzan ka Wo Maheena jis mein Quran Nazil hoa) Ramzan ka lafz Ramzun sy nikla hy. Arbi zaban mein “Ramzun” k maani jala dainy k hein. Hadees pak mein aata hy k, “Yeh gunahon ko jala daita hy” is k lafzi maani taizi k or Shiddat k hein. Ye Wo maheena hy k Gunahon ki tapish ko thanda krnay k leay Aata hy. Goya Ramzan ka Lafz apna maani khud bta raha hy k Logon ny apni jaanon per Zulm keay, Un gunahon ki shidaat sy aag jal rahi thiRead More →

Rozy k Aadaab Ulma ny rozy k 6 aadaab biyan kiye hein. 1. *NIGAH KI HIFAZAT* Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya k, “nigah iblees k teeron mein sy aik teer hy” jo shakhs Allah k khouf sy is sy bach jaye Allah ousy aisa emaan ka noor atta krty hein k jis ki lazat dil mein mehsoos hoti hy… bila wajah ghair mehramoo ko daikhna ya la’oo o la’ab ko ankhon sy daikhna na jaaiz hy. kam az kam rozy ki halat mein is baat ka dhiyan rahy k Allah ny jisy daikhny sy mana frmaya hy na daikhy. 2. *ZABAN KI HIFAZAT* Jhoot, chughalRead More →

JIN BATON SY ROZA NAI TOUT’TA 1. Roza daar bhoul kar kuch kha pee ly tou ous ka roza nai tout’ta khaw aik luqma khaye ya pait bhar k kha ly. 2. Rozy mein thook nigalny sy chahy wo balghami ho roza nai tout’ta. 3. chouty bachy ko apny munh sy chaba kr khilany sy roza nai tout’ta, magar ashad zaroorat k bina aisa krna makrooh hy. 4. salan waghaira zaban sy chakh kr thook dainy sy roza nai tout’ta lakin agar shohar bad mizaj na ho tou aisa krna makrooh hy. 5. Surma lagany sy roza nai tout’ta. Is tarah khushboo lagana ya sounghnaRead More →

ROZAY KA KUFFARA Ramzan ul mubarik k farz roza torrny ka kuffara youn hy… 1. koe ghulaam azaad kray mard ho ya ourat, kafir ho ya musalman 2. saath (60) rozy rakhy. Kuffary k rozy lagataar rakhny zaroori hein. Thory thory waqfy sy rakhny sy kuffara darust nai hota. agar kisi wajah sy darmiyan mein aik roza nai rakha tou tou phir sy dobara dou maheeny k rozy rakhny parrain gy. Kisi takleef ya bimari ki wajah sy ya safar ki wajah sy kuffary k rozon mein nagha ho jaye tab bhe tandrust hony k baad dobara sy rakhny hon gy. Agar koe aourat nafaasRead More →

Zakat K Ma’ani O Mafhoom Zakat ka lughvi ma’ani barhna, paak saaf krna, nasho numa pana, or pakeeza krna hy. Islami istelah mein zakat sy muraad wo maali ibadat hy jo har sahib e nisab musalman par islam ke muqarar karda sharah k sath farz hy. Jo insan zakat ada krta hy wo na sirf Allah k hukm k mutabiq apny maal ko paak saaf kr laita hy balky ous k zariye apny dil ko bhe maal ke hawas sy paak krta hy or doulat k muqably mein ous Allah ke mohabat ko apny dil mein jagah daita hy jis k hukm par wo doulatRead More →

Zakat Farz Hony Ke Sharaait * Zakat har aaqil o baligh azad musalman par farz hy kafir pr nai. * zakat ki adaaigi k leay sahib e nasab hona zaroori hy yani shariyat ny jo nasab muqarar keya hy outna maal hona zaroori hy ous sy kam pr zakat nai hy. * Sahib e nasab ka maal par qabza hona bhe zaroori hy. Kisi musalman ny apna maal zameen mein dafan kr deya or bhool gya phir barson k baad jagah yaad aaei or maal mil geya tou choun’k jis waqt maal gum tha ous zamany ki zakat ous par wajib nai kion k nasabRead More →

Zakat Ke Iqsaam 1. Sona chandi ki zakat 2. Janwaron ki zakat 3. Saman e tijarat pr zakat 4. Ushar (fasal pr zakat) 1. SONY CHANDI PR ZAKAT Hadees e mubarika hy k Piary Aaqa SAWW k pass Yaman ki aik aourat aaei ous k sath ous ki beiti bhe thee oun k hathon mein sony k kangan thy. Aap SAWW ny irshad frmaya k kia tum pasand krti ho k Allah tumy aag k kangan pehnaye. aourton ny arz kiya jee nai… Aap SAWW ny frmaya k tum in zaiwrat ki zakat ada kro. Note jin zaiwraat ki malik aourat ho chahy wo maikyRead More →