SADAQAT Insan k har qoul o amal ke darustgi ke bunyad yeh hy k dil or zaban or zahir o batin baham aik dousry k mutabiq or hum aahang hon is ka naam sidq or sachaai hy, jo sacha nai ous ka dil har buraai ka ghar ho sakta hy or jo sacha hy ous k leay har naiki k hasool ka raasta aasan hy. Sachaai ke aadat insan ko bohat si buraion sy bachati hy. jo sacha ho ga wo har buraai sy paak hony ke koshish kry ga. Wo raast baaz ho ga, emaan dar ho ga, ehad ko wafa kry ga, dilRead More →

AMANAT Islam mein amanat ka bara maqam o martaba hy or zindagi mein har shouby mein is ka taqaz kiya jata hy lakin jahan or jis maqaam par zara nazar hat jati hy tou wahan hayanat apni tamam tar ranaiyon k sath apna qabza jama laiti hy, ab yeh insan par hy k wo amanat o khayanat mein sy konsy raasty ka intekhaab karta hy. Kisi ke cheeze ya hukm ous ke riaa’yat k sath ada karny ka naam amanat hy, is ka ta’aluq sirf rupy paisy sy nai bal’ky is sy bohat ziada wasee hy, har maali, qanooni, or ikhlaaqi amanat tak wasee hy.Read More →

AFOU YA MOAAFI Jab koe zulm ya ziadati krny k baad apni ghalti k baad nadim hon tou ous sy badla na laina moaafi kehlata hy. Quran mein kae maqamaat par moaafi ka hukm deya geya hy or is ke fazeelat or ehmiyat biyan ke gi hy. Afou insani ikhlaaq o ousaaf mein sy aik nahayat he buland or aali wasuf hy or yeh shurfa ke siffat mein sy hy, jin mein anmbiya ko mumtaaz maqaam ka hasil hy. Mahool mein sanjeedgi or aman o amaan k leay is wasf ke shadeed zaroorat hy. Agar inteqaam or badla ka silsila shuru ho jaye tou duniyaRead More →

DARGUZAR Jab zulm ya ziadti krny wala saamny ho or badla lainy ke pouri taqat bhe ho tou badla na laina or moaaf kr daina darguzar kehlata hy. Allah farmata hy, Tarjuma:- “Zulm ka intaqaam chor kar Aap S.A.WW oun k saath khair khawahi or hamdardi ka moamla krain or narmi k saath oun ko haq baat btaein” Quran e pak mein darguzar ko Allah k piary bandon ke sift biyan keya geya hy. Darguzar karny k sirf duniya mein he faaidy nai hein balky aakhirat mein bhe is k bary fazaail hein or is wasf k hamil k bary darjaat hein. Duniya k faaidonRead More →

JANWARON SY MOHABAT Aaqa e do jahan paikar e rehmat, Aap S.A.WW ka saya e rehmat sirf insano par he na tha balky janwar or prindy bhe is sy mehroom na thy. Jabwaron k bary mein Aap S.A.WW ny takeedan farmaya, “In be zaban janwaron k bary mein Allah sy daro, in par swar ho tou achi halat mein swar ho, or in ko khao tou achi halat mein rakh kar khao” yani hum janwaron sy kisi bhe qism ka kaam lain yeh zaroori hy k oun k sath mohabat ka bartao rakhein. Aap S.A.WW ny in pehloo’on sy bhe janwaron k sath mohabat kaRead More →

ANDAAZ E GUFTAGOO Takalum insan k emaan, kirdar, or martaby ko pouri tarah be naqaab krta hy. Mouzou’aat or ilfaaz ka intekhaab, fiqron ke saakht, aawaz ka outar charhao, lehjy ka asloob, or biyan ka zoor yeh sari cheezain wazeh krti hein k mutakalm kis paaye ke shakhsiyat ka alambardar hy. Piary Aaqa S.A.WW k mansab or zima darion ki noaei’yat aisi thee k oun ka bhari bojh agar kisi dousri shakhsiyat par dala geya hota tou wo tafakraat mein doub kar reh jata lakin piary Aaqa S.A.WW k kamalaat e khas mein yeh baat bhe shamil hy aik taraf Aap S.A.WW tafakraat or masaailRead More →

Paidaish Chaah e zamzam bohat salon sy dab chuka tha or ous ka nishan bhe kisi ko maloom na raha . Hazrat Abdul Mutlib ko khawab mein is ko khodny ka ishara hoa tou apny sahabzady Haris k sath chah e zamzam ko khodny lagy . Unho ny man’nat mani k agar mein apny saamny apny 10 baiton ko jawan daikh loun tou aik ko Allah ke rah mein qurban kron ga . Aap k baity jawan hoay to sab ko ly kar ka’aba mein aaey or qur’ra dala to Hazrat Abdullah r.a ka naam nikla. Abdul Mutlib ko baiton or quraish ny kaha kRead More →

Piary Aaqa S.A.WW ke Jawaani  Arab k aik mumtaaz, muhazib or aala riwayaat rakhnay walay khandaan mein saleem ul fitrat walidain sy aik anokha sa bacha yateemi k saaye mein paida hota hy. Aik ghareeb magar shareef zaat ki daaiya ka doodh pee kar dayhaat k sehat bakhsh mahool k andar fitrat ki goad mein palta hy. Wo khaas intazaam sy sehra mein tag o dou krtay krtay zindagi ki mushaqaton ka muqabla krnay ki tayariyan krta hy or bakriyaan chara kr gal’la bani ki tarbiyat pata hy. Bachpan ke pouri musafat tay krnay sy pehlay yeh anokha bacha maan k saya e shafqat syRead More →

Nabuwat Arab mein shrab noshi, zina kari, qamaar bazi, aor qatal o gharat gari aam thee… Dil is qadar sakht ho chuky thy k betion ko zinda dafan kr daity thy. Bouton ke pouja krty or oun par insan ke qurbani charhaty . Aisy badtreen moashry mein Piary AAQA S.A.WW ke zindgi is trah k gunahon sy paak rahe. AAP S.A.WW aosaf e hameeda amanat or diyanat or sachai o mohabat ka paikar thy . Yahan tak k quraish e Makkah ny AAP S.A.WW ko Sadiq or ameen k laqab dia hoa tha . Aap S.A.WW maah e ramzan mein ghaar e Hira mein aitkaafRead More →

Continued… Msg 10 Nabuwat k panchwain saal mah e Rajab mein 11 mard or 4 aourton ny Habsha ke taraf hijrat ke jin mein Hazrat Usman r.a or Oun ke zoja mohtarma Hazrat Ruqiya r.a Bint E Rasool S.A.WW bhe shamil theein. Muhajreen 3 maah Habsha mein aman sy rahy. Shabaan k maheeny mein oun ko ghalat khabar pohanchai gi k Makkah k log emaan ly aaye hein is leay in mein sy aksar wapis Makkah chaly gy. Quraish ny Habsha sy aany walon ko dousry musalmano sy ziada tang karna shuru kr deya is tarah nabuwat k chaty (6) saal 83 mard or 18Read More →