*~*Tareekh E Islaam Or Shahadatein*~* Tareekh e Islam mein beshumar shahadatain hoein… Or har Shahadat apni jagha aik numayan ehmiyat, Infaradi qadar o manzilat or maqam ki hamil hy. Har shahadat mein islam ki baqa, dwaam, Aaqa S.A.WW k deen or Aap S.A.WW ki sunnat e mubarika ki hayat e jawidaan k raaz posheeda hein. Yehi wajha hy k tareekh e Islam mein har shahadat apni jagah ehem shumar ki jati hy. Lakin Shadat e Imam Hussain r.a ka waqia kae aitbaar sy baki tamam Shahadaton sy mukhtalif or munfarid hy. Is ki Infaradiat ki aik wajha ye hy k… Aap r.a Khanwada e RasoolRead More →

*~*Khilafat E Rashda ki Mudat*~* Hazoor Nabi Akram S.A.WW ny apnay baad qaaim honay walay door e hakomat ki pehlay hi nishan dahi farma di the. Hazrat Safina r.a riwayat krtay hein k, Hazoor S.A.WW Ny Farmaya, “Mere ummat mein khilafat 30 baras tak rahay ge, phir ous k baad malokiyat ho ge. Hazoor Nabi Akram S.A.WW k farman k mutabiq khilafat e rashda Aap S.A.WW k baad 30 saal tak ho ge, is k baad daor e malokiyat ka aaghaz ho ga. Khair o falah par mabni tarz e hakomat badal deya jaey ga. Or ummat e muslima mein siyasi iqtadar ki jo shakalRead More →

*~*Markaz e Khilafat ki Koufa Muntaqili*~* Hazrat Ali r.a ny apnay daor mein Takht E Khilafat Madeena Munawra sy muntaqil kr k koufa mein qaaim kr leya tha. Is ki wajha ye thee k Hazrat Ameer Muawiya r.a ka daar ul hakumat Damishq tha. Jo k Madeena sy bohat dour or lambi musafat par tha. Is qadar dour reh kr pori khilafat k intazam o insaram mein dushwari hoti thee Is leay is dushwari or is ilaaqay mein honay wali musalsal baghawaton par qaabu panay k paish e nazar Aap r.a ny daar ul hakumat Koufaa ko muntakhib farmaya. Jab Hazrat Ali r.a ny ApniRead More →

*~*60 Hijri k Ekhtataam sy Panah Manganay Ka Hukam*~* Hazrat Imam Hussain r.a ki Shahadat E Uzma ki ye aik munfarid khobi hy k… Hazoor Nabi Akram S.A.WW ny ous ki tafseelaat bohat pehlay bata di theen jis ki juziyaat sy Ehl e bait waqif ho chukay thay. Or ounhein ba-khobi pata chal chuka tha k mustaqbil mein kia honay wala hy… In hairat angaiz or qabl az’waqt tafseelat ko mojzana paisheen goee k siwa koi naam nai deya jaa sakta… Yehi wajha hy k maidan e saffain ki taraf jatay hoay rastay mein Hazrat Ali Sher E Khuda r.a ny Karbala k oun maqamatRead More →

*~*Yazeed ke Takht Nashini or Talab e Bait*~* Hazrat Ameer Moawia r.a ke wafaat k baad yazeed ny takhat nasheen hoty he apni bait k leay har taraf khatoot , hukam namay jari kar deay. Is waqt Madina Munawra k Governer Waleed Bin Uqba r.a thy…. In ko apnay baap ke wafat ke ita’lah ke or kaha k har khaas o aam sy mere bait lo or Hussain Bin Ali a.s , Abdullah Bin Zubair r.a or Abdullah Bin Umar r.a sy pehlay bait lo or in sab ko aik lamhy ke b mohlat na do… kion k yeh Ummat e Muslima ke aise bulandRead More →

*~*Waleed Ka Marwaan Sy Mashwara*~* Yazeed k is hukam naamay k milnay sy Waleed bahut ghabra gaey… kion k wo aik reham dil or Khandaan e Nabuwat ke taazeem o ehtaraam karnay walay Governer thay or is hukam ke taamel in k leay mushkel thee. Wo janty thy k in Hazraat sy yazeed k leay bait laina aasaan nahi… is leay ous ny mashwaray k leay apnay naaib Marwaan Bin hakam ko bulwa bhaija or saari surat e haal sy aagah kea. Marwaan kion k sakht mizaaj or sang dil shakhs tha. Is ny kaha k in teeno ko ousi waqt bulaain or bait kRead More →

*~*Madeena sy Rawangi *~* Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a tara tara k bahano sy Waleed k qaasid ko taaltay rahay or Waleed k pass na gaey. Dosray din Wo apnay Bhai Jaafir k sath Madina Munawara sy Makkah rawana hoay. Waleed k amlaa ny in ko barra taalash keya magar wo na mil sakay. Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a k Makkah rawana hony k aik raat baad Hazrat Imam Hussain r.a ny Apnay azeez o aqaarib or Ehal o ayaal ko jama keya or Madina Munawra ke hurmat ke khatir yahan sy Makkah Mukarma muntaqil ho janay ka iraada farma leya… Ghar walon ko taiyariRead More →

*~*Hazrat Muhammad Bin Hanfia r.a ka Mashwara*~* Hazrat Muhammad Bin Hanifa r.a k siwa tamaam khandaan ny Aap a.s k sath Madina Munawra sy Makkah Mukarma hijrat farmai. Hazrat Muhammad Bin Hanifa r.a ny Aap r.a sy kaha k Bhai…!! Aap tamaam Ehalay zameen sy barrh kar mujhy azeez hain Mera mashwara yeh hy k Aap r.a shehron mein sy kisi aisy shehar mein qayaam na krain… dehaat or ragistaano mein qayam krain… logon k pass apnay qasid bhaij kar inhein apni bait ke dawat dain. Agar wo Aap r.a ke bait kar lain to Aap r.a Allah ka shukar adda krain or agar woRead More →

*~*Ehlay Koufa ke Mashawrat or Imam e Aali Maqaam ko Dawat daina*~* Hazrat Ali r.a k zamana he sy koufa… Aap r.a k Sahabon or mehbobon ka markaz tha. Wahan k log Hazrat Ameer moawia r.a k eihad e warasat he mein Hazrat Imam Hussain r.a ke khidmat mein tashreef awari k leay arziyan bhaij chukay thay magar Aap r.a ny saaf inkaar kar diya tha… ab jab ounhain yeh pata chala k Ameer moawia ka inteqaal ho gaya hy or Hazrat Imam Hussain r.a, Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a or Hazrat Abdullah Bin Umer r.a ny yazeed ke bait sy inkaar kar deya hyRead More →

*~*Imam Hussain r.a Ka Faisla*~* Hazrat Imam Hussain r.a k pass jab yeh khatoot pohanchay tou Aap r a ke himmat or ghairat joosh mein aa gae… Aap r.a ny Amar Bil Maroof or Nahe Aa’nil Munkir k leay alam e jehaad buland krna apna farz samajh leya… Is par Hazrat Abdullah Bin Abbas r.a… Aap k deegar azeez o aqaarib or kai jaleel ul qadar Sahaba r.a.a or tabay’een ny Aap r.a ke khidmat mein darkhast ke k Hazrat Aap r.a koufa tashreef na lay jaein… koufa k log be’wafa hain, jafaa-kaar hain inhon ny Aap r.a k walid mohtram sy bhe be’wafaai keRead More →