?Nafs se jang INDEX Topic 1 to 15 ?1. Nafs kia hai ?2. Nafs ki iqsaam ?3. Shar k hathkanday ?4. Rooh aur larrne ki power ?5. Nafs ka uksana ?6. Nafs aur iski daali rukawatain ?7. Nafs ki jang jaari rehti hai ?8. Nafs se jang ka pehla qadam ?9. Hamari ana’a aur ehsas se ghaflat ?10. Nafs aur iski gandagi ?11. Nafs par qaboo pana ?12. Nafs ka nachana ?13. Nafs, chupa dushman ?14. Nafs, aur Allah k rastay se doori ?15. Ham aakhir kiskay ghulamRead More →

Topic 1 “Nafs kya hai” Nafs hmare andar maujood ek khudkaar aala hy, jis ki wajah se khwaishaat janam leti hain. Ye khwaishaat musbat bhi hoti hain aur manfi bhi. Musbat khwaishaat ALLAH❤ k rastay per aagay barhne ki taraf raaghib karti hain. Aur manfi khwaishaat ka ta’aluq dunia aur uski lazaton se hota hai…Nafs ka manfi pehlu phansata hai. Aur agar musbat khwaishaat ghalba paati rahen , to hum nafs k hathon maghloob nahin hotay, balkay us per ghalba paa k haq ki raah pe aagay barhtay chalay jatay hain. Nafs 3 qisam ka hota hai : 1. Nafs e Ammara 2. Nafs eRead More →

“Nafs ki Iqsaam”  Suraah Qiyamat mein ALLAH❤ farmaata hai k nafs apni jablat k mutaabiq “Ammaara bis’w” ya’ni burai ki jaanib raaghib krnay wala hota hai.. magar jab insaan ALLAH❤ k ehkaam maan’nay ki koshish krta hai to nafs mein behtari aati hai aur wo “Nafs e Lawaama” ban jaata hai. Jis ki wajah se insaan ALLAH❤ k ehkaam per amal bhi karta hai aur ghaltian bhi karta hai…Magar jab gunnah kar bethay to nafs malamat karta hai aur insan taubah karta hai. Ye “Nafs e Lawama” kehlata hai.. Iskay sath sath ye Nafs e Lawama insan ko ALLAH❤ k qurb mein janay k liayRead More →

“Shar k hathkanday” Nafs ki jang se muraad khair o shar ki jang hai.. Jis waqt khair ki raah per chalnay lagen ge to shar zaroor apnay tamaam hathkanday istemaal kartay huay roknay ki koshish karta hai.. Amooman hmaray andar khair ki quwat itni zyada nahin hoti k wo shar per , shaitaan per, hmaray andar naf k hamlay aur bahar dunia ki soorat honay walay hamlay per ghaalib rahay.. Kyun k hmaray andar emaan ki quwat aur taaqat aam taur per itni zyaada nahin hoti k wo har waqt shar per ghaalib reh sakay. Isi wajah se humein jang karna parrti hai, larrna parrtaa hai..Read More →

“Rooh aur Larrne ki power” Asal mein hum rooh ki power se larrtay hain. Agar rooh taaqat mein nahin hai, kamzor hai to phir ye larr nahin sakay gi aur shar ghaalib aa jaye ga… Jab jang karnay k qabil hi na hogi to wahan saara qabza shar ka hoga.. Jahan emaan yaqeen k hathiyaar hi naa hon wahan rooh jang kesay karay gi.. Jahan zaraa bhi rooh taaqat mein hoti hai to wo shar k khilaaf kang karti hai..Dar asal rooh ki taaqat se jang ki jaati hai magar wo itni nahin hoti k mukamal taur per har qisam k shar ka muqabla karRead More →

“Nafs ka uksaana” Nafs hmaray andar un napaak iraadon ko paida karta hai jinki wajah se humaray aamaal burai mein dhal kar samne aatay hain.. Ye nafs hi hai jo humein ALLAH❤ ki aashnai se door karta hai… Zaat ki pairvi per uksata hai.. Duniawi khwaishaat ko apnaaye rakhnay aur poora karnay per uksaata hai.. Is sab mein hi phnsay rehnay per majboor karta hai.. Is se haq ki taaqat se hi nabard aazma hua jaa sakta hai..Nafs ek aisi daldal ki tarah hai jis mein paon rakhnay k baad insan dhansta hi chala jaata hai.. Ye ghalat ko bhi sahi bana kar paish kartaRead More →

“Nafs aur iski daali rukaawatein”  Nafs k khilaaf jang ka aagahz tab hota hai jab humein aashnai ho jaaye k ye hi humara dushman hai.. Hum is ko apna samajh kar iski har baat maantay chalay jaatay hain is k chungal mein phans jaatay hain. Nafs se jang ALLAH❤ ki qurbat ko manzil bana kar junoon k bal per larrti hai.. Har wo shaay jo manzil k hasool ki raah mein rukaawat ban jaye usay maar giraanay k liay nafs ki jang larri jaati hai.. Haq ka raahi kisi bhi taraah ka rukaawat ko aboor karta jaata hai jo us ki manz ki taraf barhtayRead More →

“Nafs ki jang jaari rehti hai” Nafs ki jang lamha lamha jaari hai.. Hum kabhi bhi aisay kaamil nahin ho saktay k ye da’awa karen k hmaray amdar bahar sab kch darust ho gaya hai aur ab hmein larrnay ki zaroorat nahin rahi.. Humein har waqt larrna parrta hai kyun k ye “khaalis pan” (purity) la safar hai jo ALLAH❤ ki jaanib barhaata hai aur ye safar kabhi khatam nahin hota.. Hum kabhi mukamal nahin ho saktay kyun k kaamil tareen zaat sirf AQA e do Jahaan S.A.WW? ki hai.. Lehaza hum nafs ki jang taa dam e aakhir larrtay rehtay hain.. Hum kabhi bhiRead More →

“Nafs se jang ka pehla qadam” Khud per nazar rakh kar jab apni kisi burai ko dhoondain to is hawalay se nafs ki jang karnay k liay pehla qadam ye hai k , qabool kr lia jaaye k humare andar ye burai hai. Jab tak hum is baat ko qaboola nahin karen ge , khud ko ghalat nahon maanein ge , hum us per kaam nahin kar saktay… Jesay hi hum taslem kar letay hain , hmara dil qabool kar leta hai to dil ki haalat badal jaati hai aur andar ehsaas e nadaamat aur sharmindgi paida ho jaata hai aur aisi haalat mein ALLAH❤Read More →

“Hmari ana’a, aur ehsas se ghaflat” Nafs k hawale se mukhtalif zaviyon se kaam karna hota hai.. Roz maraah k maamlat aur mamoolat ko hi dekh len. Hum kahin logon k darmiaan bethay hon to baat kartay huay apni ana’a k za’am mein yun boltay hain k hmare alfaz, lehja, andaz, aankhon k taasuraat aur hath hilaana sab k sab hmari zaat ki aina daari kar rahay hotay hain Jab hum kisi aam ghareeb aadmi se baat kr rahay hon ge to ye sab andaaz aur hon ge… aur jb hum kisi achay ameer aadmi se baat karen to tab ye andaaz mukhtalif hon ge…Read More →