“Nafs aur iski gandagi” Aankh rang aur manzar se lutf andoz hona chahay gi aur wo sab dekhna chahay gi jis se gurez karna hota hai… Nafs kaan k zariay fahash baaton mein maza paida karay ga aur zaban se har napasandeeda baat karnay mein maza dilaye ga.. Bhalai k kaam mein yahi nafs humein susti aur kaheli ki raah faraham karta hai… Jins e mukhaalif se rawabit rakhna aur un se sakoon paana is ki sab se barri chahat hoti hai… Kyun k is se nafs poori taraah ghaalib aa jata hai aur insan ki har hiss ko apnay tabeh kar k istemaal kartaRead More →

“Nafs per Qaaboo Paana” Nafs ko hum kabhi khatam nahin kr saktay per us per hum qaaboo paa saktay hain.. Jis tarah kisi sarkash ghorray ko tarbiyat de kr qaaboo kia jaata hai aur usko lagaam daal kar us se apni marzi k mutaabiq kaam lia jaata hai bilkul usi tarah nafs ko lagaam daali ja sakti hai.. Beshak ye kaam bohat hi mushkil hota hai magar naa mumkin to nahin hota hai.. Jo log nafs per qaaboo paa letay hain wo bahaadur aur bebaak log hotay hain… Dunia bahar se jab k nafs behkaata hai aur beemaar karta hai..Aur androoni bemaari bairooni bemaari seRead More →

“Nafs ka Nachana” Hmari dunia ko khush krnay ki aadatein, hirs laalach, nafrat, ehsaas e bartari, khaandani hasab nasab ka fakhar o gharoor, khud gharzi, besabri aur zaati mufadaat ki khaatir ilzaam taraashi ya bugtaan laga dena nafs ki gandagi aur susti o kaahili ki wajaah se faraiz aur ehkaamat e deen se ghaflat baratna waghera wagera , ye sab nafs ki pasandeeda ghizaen hain.. Naf roz baroz mota taaza aur taaqatwar hota jata hai aur hum din badin us k shikanjay mein phans kr us se aazad honay mein kamzor hotay chalay jaatay hain..Hum ne nafs ko khud hi paala hota hai aur apniRead More →

Nafs, Chupa dushman”  Nafs humara khamosh aur chupa hua dushman hai iska waar bhi samnay nazar nahi aata. Ye jab kisi ko phasata hai to pata bhi nahi chalnay deta aur iska waar kaam dikha jata hai. Nafs ki ek aur chalaaki ye hai kay ye nuqsan hotay waqt mehsus bhi nahi honay deta kay humara nuqsan ho raha hai. Ye bohat chalaki sy insan ko apnay saath mila kar saray kaam krata hai aur jab achi tarha koi phas jata hai to wo ussi phasay rehnay mein khush rehta hai kyun kay uskay jaal mein phasnay kay baaad us mein sy nikalnay mein takleefRead More →

“Nafs aur Allah kay rastay sy doori” Aisay tamaam ehsas to ita’aat sy roktay hain aur aajzi ko khatam ker kay hadood sy tajawuz krnay par majbur krtay hain wo sab bhi nafs ki hi chaal hain. Nafs humain humaray hi haathon zaleel k khuwaar krata hai. Ye dil ko ALLAH❤ ki muhabbat kay ehsas sy khaali ker kay ALLAH❤ ki qurbat aur ashnayi sy dur rkhta hai. Nafs humesha saath deta hai har us mamlay mein, har us zarurat par, har us chahat aur khushi ko poora krnay kay liye jis mein waqti lazaton, rangeeniyon aur asaiyshon sy lutf andoz honay kay imkaan mojudRead More →

“Hum akhir kis kay Ghulaam” Jab hum apni khuwahishaat ki takmeel kay liye hadood sy tajawuz krtay hain… yaa unkay haasil na honay ki soorat mein mayus aur na umeed ho jatay hain… yaa haasil ho janay ki soorat mein apnay zor e baazu par bharosa yaa fakhar o gharur aa jata hai to aisay mein nafs kay shikanjay mein jaldi aa jatay hain kyun kay us waqt dil Allah kay ehsas sy aari hota hai. Asal mein humain zindagi mein nafs kay haathon honay walay nuqsan ka ehsas hi bohat kam hota hai. Bss nadani mein hum apni lagaamain nafs kay haath mein deRead More →

ذات کاخول ذات کا ایک خول ہوتا ہے۔ اس خول کے اندر بہت ساری چیزوں کو چھپایا ہوتا ہے جو ہم کہیں پر بھی شئیر نہیں کرتے۔ اہم بات یہ ہے کہ اپنے ذات کے خول کو ، ذات پہ پڑے ہوئے گند کو سامنے رکھتے ہوئے، انکو ایڈمٹ کرکے کہی پر بھی انکے لیے گائیڈنس نہیں لی ہوئی ہوتی۔ ہم نے جو ایک ذات اپنی بنائی ہوئی ہوتی ہے۔ اس کے اندر ہم نے اس انڈے کی طرح ایک خول بنا رکھا ہوا ہوتا ہے۔ اور اس میں جیسے یہ ذات کا چوزہ پل رہا ہوتا ہے۔ ایسی ہماری بہت ذات کےچوزے پل رہےRead More →