Waqeya  Pyaray Sahaba Kii Muhabbat kaa … Apnay AQA S.A.WW Sy… ? Ekk Rozz….Hazrat Umer (R.A) farmatay hayn kay AQA sa.w.w ne sadqay ka hukm farmaya. Meinay socha ajj kafi maal hay, Abu Bakr (R.A) se barh kay qadm jamay ga, chunacha ghar ka adh saman hazir famaya, AQA saww ne pucha ghar kitna chora tou kaha itna hi, Abu Bakar (R.A) ko dekha tou ghar ka sara saman hazir kiye thay, AQA s.aw.w ne pucha ghar walon kay lye kya chora tou kaha ghar par Allah aur Uska Rasool chor aaya. Tab ehsaas hua, Abu Bakr rza se agay nahi barh sakta. ?(Tirmizi, Abu Daood)Read More →

Waqeya  Sohnay Sahaba ? ka Apni hr adda sy ik qadam Aurr sy Aur qareeb honay kaa… Ik martaba Hazrat Abu Bakar r.a phattay puranay aur boseedah ubba pehnay Rasool S.A.WW k paas bethay thay is ubba (chogha) ki kinaray khajoor ki shaakho’n aut nabadaat ki lakriyo se jorray gye thay. Hazrat Jibraeel a.s nazil huye aur dariyaft kiya : Aye Muhammad S.A.WW ! kia wajja hai k main Abu Bakar r.a kay jism par aisi boseedah kisam ki ubaa dekhta hu jisko is tarah se jorra gya hai? Hazoor S.A.W.W ne farmaya : ” Aye Jibraaeel a.s! Abu Bakar r.a ne fatah se pehleRead More →

Waqeya  Pyaray Sahaba ? kaa, Apnay nafs ka Muhasba Krtay kamiyaab honay Kaa  … Hazrat Ayisha r.a farmati hein k, Mere Baba Hazrat Abu Bakar Sideeq r.a ny apnay duniya sy parada karnay k waqt farmaya, main Umar sy ziada kisi ko dost nai rakhta. Phir faoran he kaha k Aey ayisha abhe main ny kia kaha? Tou main ny in k alfaaz duhra deay Tou farmaya k ye tou mere moun sy nikal geya, warna mera matlab ye tha k zinda insano mein sy mujhy Umar sy ziada koe shakhs azeez nahi ? Hadees Kamiyaaab Huee WO ?, jinhoo nyy nafs Ki lagam khenchyRead More →

Waqeya Mithay Sahaba ? ka Apnay REHNUMA ? Per Yakeen kaa … Hazrat Ayesha r.a farmaati hain : Hazrat Abu Bakar r.a Hazoor S.A.W.W k zamana e jahliyat k dost thay. Aik din Hazoor S.A.W.W ki mulaqat ki gharz se ghar se niklay. Aap S.A.WW se mulaqat huyi to arz kiya, Aye Abu al Qasim (ye Hazoor S.A.W.W ki kuniyat hai) kia baat hai. Aap apni qoam ki majliso mein nazar nai aatay hain or log ye ilzam lagatay hain k Aap inkay aabao ajdad wakhera k ayub biyaan karte hain. Hazoor S.A.W.W? ne farmaya: ” Main Allah ka Rasool hu or tum ko AllahRead More →

Waqeya Sohnay Sahaba ? ka, Hr maqam per Sirf Haq Ko chahnay kaa, yehi sikhanay kaa, Yehi batlanay kaa ☝ Hazrat Abdullah bin Hakeem r.a farmatay hain kay jab Hazrat Abu Bakar r.a ki bait e khilafat hogyi tou wo mimbar par tashreef le gye aur mimbar par jahan PIYARE AAQA S.A.W.W bethaa kartay thay us sr aik seerhi neeche bethay… Pehle ALLAH ki hamd o sanaa biyan ki phir farmaya : Aye logo! achi tarah se samajh lo kay sabse barri aqalmandi taqwah hai… phir farmaya Apne nafs ka muhasiba karo is se pehle k tumhara muhasiba Allah ki taraf se kiyaa jaye. AurRead More →

Waqeya pyaray Sahaba ? ka Azmaishon Mein sabr O shukar Ko thamay Surkhrooh honay ka , Quraish jo kay Hazrat Abu Bakar r.a se muhabbat rakhtay thay magar jab Aap r.a ne alal ailaan Rasool e Khuda S.A.WW? ki himayat shuru kardi tou jistrah ye log AAP S.A.WW k dushman hogye isi trah Hazrat Abu Bakar r.a k bhi dushman hogye.. Islam Qabool karnay k baad Hazrat Abu Bakar r.a Haq k izhaar o Ailaan ki pehli taqrreer kee Abhi taqreer khatam bhi nai huyi thi k dushman chaaro taraf se hajoom kar k hamla Aawar huye aur Hazrat Abu Bakar r.a ko khasoosan aurRead More →

Waqeya Mithay Sahaba ? ka Apnay Rab Ki Raza kay liye Khaliis Ho kr Amall Krnay kaa.. Hazrat Abu Bakar r.a ne jo bhi ghulaam ya londian khareed kar aazad keeen apne is ammal se wo kisi duniyaavi shohrat o jaah kay talib na thay balkay Aap r.a ka matmaa e nazar mehez Allah ki raza aur khushnoodi ka hasool tha. Aik roz Aap r.a kay walid Abu Qahafa ne kaha ” Aye betay ! Main dekhta hu k tum zaeef aur naatwaa’n Ghulamo he ko khareed kar aazaad kartay ho,Agar Tum inkay bijaye Taqatwar aur qawwi ghulaamo ko azaadi se hamkanar karo to woRead More →

Waqeya Hazrat Umer R.A ? kaa Dil Kooo ajzii sy Jhukaye rakhnay ka … Akk din Ameer ul momineen Hazrat Umar Farooq (RA) sadqy k ountoun k badan py tail mal rahy thyy, Ak shakhs ny kaha Amer ul momineen ye kaam kisii ghulam syy liaa hotaa , boly muj sy barh k kon ghulam ho sakta hai ? Jo shakhs musalmano k wali hai wo un k ghulam bhi hai.. ? (Bahawala kitab Khulafaa e rashideen,tasneef shah moien ud deen ahmed nadvi , page 146)  Hadees Pyaray sathi ? Ny apnay AQAA S.A.WW ? ki muhabbat Koo Paya, jb pairvii mein hr adaa koRead More →

Waqeya Sohnay Sahaba? ka apnay Zahirrr Syy Azaad honay ka ? Qaiser ny akk qasid Hazrat Umar( RA) k pass ahwal pouchny k liee bhjaa jub madinaa aiaa to dekhaa k yahan koi mehal naee hai jis sy pta chly kk koi bahshah reehta hai logon sy poucha k tumhara badshah kahan hai❓..logon ny kaha hamara badshah to koi nae haan albata hamary aik Ameer hain jo madina sy bahir gye huye hain wo qasid Hazrat Umar(RA) ki talash mein niklaa to aik jaga dekhaa k Hazrat Umar(RA)? ak darakht k saye mein soo rahy hain apna sarr apny dura py rakha hai aur asRead More →