“~*Shaoor E Ramzan*~” “Ramzan ul Mubarik k leay Planing ki Zarorat” Ab Ramzan ul Mubarik ka Maheena Aanay Wala hy. Ye Hamarey leay Rohani or Jismani Faidon k Darwazay khol dy ga. Lehaza hamein is k leay abhi sy Tayar ho jana chahiye. Acha banda Har cheez ko pehlay Plan krta hy. Isi leay kehtay hein k Well plan, Half done. Yani jis kaam ko tum acha Plan kr lo gy Samajh lo k wo aadha kaam ho gaya. Aaj tou Shadi ki planing bhi aik saal pehlay sy krni shuru kr daitay hein. Business ki planing bhi pehlay sy krtay hein. Isi trah HamainRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” *Shabaan k aakhir mein Piary Aaqa S.A.WW ka ramzan ki fazeelat or ehmiyat par wa’az* Hazrat Salman Farsi r.a sy manqool hy k Aap S.A.WW ny Shabaan k aakhri dinno mein frmaya…. “Tumhary oupar aik bara bazurg maheena saya figan hua hy. yeh bara barkat wala maheena hy. Is mein aik raat hy jo hazar maheeno sy afzal hy… is mein Allah ny rozon ko farz qarar diya hy or is ki traweeh (Tatawo) sunnat hy. Tatawo sy myrad wo kaam hy jo aadni apny dil ki khushi sy injam dy bghir is k, k wo farz qarar diya gya ho jisRead More →

*Shaoor E Ramzan* Ramzan ul mubarik ka maheena Allah ke rehmaton ka khazana hy. Ye wo maheena hy jisay paanay k leay Piaray Aaqa S.A.WW duaein keya kartay thay. Hazrat Ans r.a sy riwayat hy k… Hazoor Nabi Akram S.A.WW dua farmaya kartay thay k… “Aey Allah! Rajab or Shabana mein hamein barkat atta farma or hamein Ramzan ul mubarik tak pahoncha” Kisi maheenay tak pahonchnay ke taman’na tou tab he ke jati hy na jab is mein koe bohat barra inaam milnay wala hota hy. Ihsas Atta hoRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Ramzan Ka Lughvi Mafhoom” Quran Pak mein Surat ul Bakra Aayat (185) mein hy k… (Ramzan ka Wo Maheena jis mein Quran Nazil hoa) Ramzan ka lafz Ramzun sy nikla hy. Arbi zaban mein “Ramzun” k maani jala dainy k hein. Hadees pak mein aata hy k, “Yeh gunahon ko jala daita hy” is k lafzi maani taizi k or Shiddat k hein. Ye Wo maheena hy k Gunahon ki tapish ko thanda krnay k leay Aata hy. Goya Ramzan ka Lafz apna maani khud bta raha hy k Logon ny apni jaanon per Zulm keay, Un gunahon ki shidaat sy aagRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Roza” Jab subah sadiq yani fajar ki namaz ka waqt shuru hota hy os waqt sy ly kr souraj gharob hony tak rozy ki niyyat sy na kuch khaye na piye or na he jamaa kry tou shariyat ki rooh sy ousy roza kehty hein. *ROZY KI NIYYAT* Rozy ka aagaz chounk fajar sy hota hy is leay Aap S.A.WW ny frmaya k, “Fajar k waqt sy pehly yeh azm kr lo k tum Allah k leay roza rakh rahy ho or agar aisa nai kro gy tou is ka matlab yeh ho ga k tum ny rozy or faaqy mein koeRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Roza ka Lughvi or Istelahi Matlab” Roza ko Arbi mein Soom Kehtay hein. Is ka Lughvi maani hy Ruk jana, Teher jana. Sharai Istelah mein Talu e Subh Sadiq sy ly kr Gharob e Aftaab tak khanay peenay or Jamaa sy perhaiz krnay ko Roza kehtay hein. Hafiz Ibn e Hajar (r.a) ny Roza ki tareef ye likhi hy… (Makhsos waqt mein makhsos sharait k sath makhsos cheezon sy ruknay ka naam roza hy) Yani Khaas waqt mein khaas sharait k sath khaas tarah sy banda agar waqt guzaray tou us ko Soom kehtay hein. Ab aik banda niyat hi na krayRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Rozay ka Maqsad” Pehli Qomon mein bhi Rozon ko farz keya gaya or is Ummat per bhi Farz keay gaey. Dil mein ye Sawal paida hota hy k kion ye rozay ki pabndiyaan lagae gaen? Kion khanay peenay sy mana ker deya gaya? Kia koi budget mein kami ka andesha tha. Jaisay k aaj kal hakumaton k maslay hotay hein k budget kam hy lehaza dandi mar do…Tou kia ye koi Rizq ki kami ka masla tha. Farmaya nahi… Hamarey khazano mein koi kami nahi bal’k ye tou tumharay hi faaiday k leay hukam deya gaya. Sun lo. “Ta’k tum perhaizgaar banRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Rozy ki Fazeelat” Ramzan ul Mubarik ki fazeelat Piary Aaqa S.A.WW ki bohat c ahadees e mubarika sy sabit hoti hy. Hazrat Abu Zar Ghaffari r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya, “Soun lo ramzan ka maheena aa gya hy agar log jaan lain k ramzan mein kia barkatein or khoubiyan hein tou tamana krain k tamam saal ramzan rahy” Hazrat Ans r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k, “Rozy daron ki dastar khawan par twazoo ki jaye gi or wo kha rahy hon gy or log hissab mein phansy hon gy. pas wo kahein gy… AeyRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Roza or Taqwa ka Hasool” Rozay ka Asal maqsad faqat bhoka piyasa rehna nahi hota hy… bal’k is ka maqsad tou gunahon sy bachnay or naiki k ouper jam janay ki mashq krwana hy. Ye Ramzan aik Mashq hy Emaan Walon k leay… Ham ny daikha ye foj walay, saal mein kuch aisa waqt aata hy jab ye mashqain krwatay hein. Mashqain kion krwatay hein… Lahu garam rakhnay ka hy aik bahana… Ye mashqain krwatay hein… k mushaqat krnay ki aadat bani rahay. Isi trah Allah Ta’ala bhi banday ko Mashq krwatay hein, rehersal krwatay hein. Rozay sy faqat kisi ko bhoukaRead More →

“~*Shaaor E Ramzan*~” “Rozay ka Faida” “Bhok sy Waqfiyat” Aik Faida ye k Aksar o Baishter log basiyaar khori k mareez hotay hein yani… Aadatan ziada khanay k aadi hotay hein. Khanay ki zarorat nahi hoti lakin khanay ki aadat pari hoti hy. Kai log aisay hotay hein jin ko pata hi nahi hota k bhok hoti kia cheez hy… Jab chaha khaa leya , jab chaha pee leya. Ramzan ul Mubarik mein Roza rakhnay sy in ko bhi pata lag jata hy k Bhok kia hoti hy. Bhok sy in ki waqfiyat ho jati hy. Deen e Islam mein kitna piara ye qaida banaRead More →