“Setup Got Upset” Aik raaz ke baat bataoun… Pata hy jis banday k leay Allah apne qurbat or aashnaai ke raah kholta ja raha hota hy…. os k sath kia hota hy…??? Wo banda… Jo setup banaaey… Osay… Upset kar deya jata hy.. Isi hawalay sy aaj ham apna jaiza laitay hein… Or apne routine life k aisay moaamlaat share Karein gay k jahan jahan hamara apna banaya hoa setup… upset hoa… Or is setup k upset honay par Dil ke halat kaisi rahi or ham ny kaisay react keya…?? 2 points share karnay hein or is k hawalay sy apna point of view bheRead More →

“Maqsaday Hayaat” Maqsaday hayaat… jisay ham aim of life bhe kehtay hein. Har aik ka koe na koe maqsaday hayaat hota hy… jis k hasool k leay wo din raat har mumkin koshish karta hy. Apnay maqsaday hayaat k hasool k leay jab ham koshish kartay hein tou khud bakhud hamara har ihsas soch or amal osi maqsaday hayaat k tahet hota chala jata hy. Phir hamara koe ihsas soch ya amal maqsaday hayaat sy alag nai hota. Aaj apna jaaiza laina hy k ham kisi maqsaday hayaat k hasool k leay he apnay din bhar ke routine mein koshish kar rahay hein Ya binaRead More →

Mera Allah Barra Ya Mera Masla Ham Allah’hu”akbar ko lafzon mein tou barray achay sy adda karty hein… or kehtay hein k Allah sab sy barra hy… par ye aisay yaqeen ban k sab k dillon mein nai outra hoa hota… Kion k jaisay he koe masla ya pareshani ban jaye tou ham aisay ghabra jatay hein k apna masla he sab sy barra lagnay lagta hy… Or aisay mein maslay ka hal namumkin nazar aata hy… Dil mein naumeedi or beyaqeeni ke kafiyat hoti hy or Allah’ho’akbar hy Allah dab sy barra hy yaad nai rehta… Agar hamara dil is yaqeen ko pakarr layRead More →

“Zaban” Zaban Hamare grift mein maoujud hamara aik hathiyar hy… Or Ab ye ham par depend karta hy k ham is say faida hasil kartay hein ya nuqsan… Aaj apnay din bhar ke routine mein jaiza lay k point share karnay hein k apnay sy wabasta logon k sath zaban par control or zaban k istamal sy aap ny Allah ke aashnaai or qurbat ke raah par faida haasil keya ya nuqsan. 1 point zaban par control ka daina hy k kaisay or kis situation mein aap ny zaban par control kar k osay apne grift mein rakha or is say moaamlay par kia asarRead More →

“Top 10 Chahatein” Ham duniya mein zindagi guzaartay hoay bohat se chahtein apnay andar paal rakhtay hein… Oun mein kae hamaray daaira e ikhtiyar mein hoti hein tou ham ounhein jitna kar saktay pora bhe kar laitay hein… Par kuch chahatein aisi bhe hoti hein k jo ham pori nai kar saktay or wo hamaray andar he chakraati rehti hein or ham oun par bohat soch bichaar or plannings bhe kartay rehtay hein. Or Kabhe aisa bhe hota hy k hamein sahi tara sy is baat ka pata bhe nai hota k asal mein ham chah kia rahay hein. Ham itna bhe apnay andar koRead More →