SPECIAL MSG Agar Aap sirf apne zaat par bhe kaam kar k Allah ke aashnaai or Qurbat O Muhabat pana chahtay tou is k leay bhe aap ko sab sy pehlay yehi bataya jata hy k… Daily 5 waqt namaz ke bar waqt adaaigi or Daily kamazkam aik bar Tilawat e Quran Pak ko apne routine ka hissa bana lain… Or agar aap ke chahat aagay as a worker kaam karnay ke hy or isay behtr sy behtar bananay ke hy tou is k leay bhe sab ay pehlay 5 waqt namaz or Tilawat e Quran ko apne zindagi ka aisa laazmi hissa bana lainRead More →

Ist Step  Introduction Sawal 1… Murshed ka maqaam aap ke nazar mein…?? Jazba-e-Kaam Salaamat Jawaab… Murshad ka Maqam, Meri nazar mein… 1. Roohnaniyat ke khas manazil sy guzar kar, Apnay safar mei qurb k aala maqam par faiz, *Aali Martabat Hasti* Ka hy. 2. Aik *Rehbar e Kaamil* ka hy, Jo Allah k bandon ko, Rushd o Hidayat sy sarfraz karay. 3. Aik, *Sarapa Hidayat* Ke raah dikhanay wali *Hasti* , Jin ke rehnumai banday ke zindgi ko, gumrahi sy, rah e raast or sirat e Mustaqeem par ley aye. 4. Murshad, Zindgi k har pehloo mei, *Pairvi ka Kamil Namoona* Hotay hein. 5. MurshadRead More →

“~* Workers *~” 1st Step Sawal 9 Aap k Murshed par itni kam umari mein ye atta kaisay ho gae?? Jawaab : Sab sy pehle baat tou ye hy k, Itni aalla manaazil k banday, jis sy ummat k bohat sy logon ke hidayat or bhalaai k leay kaam laina ho… Ounhein pehlay he rohani tor par bohat kuch atta kar k is duniya mein bheija jata hy… Haan ye zaror hy k Is dunia mein ounhein ibtada sy he aisy halaat or waqiaat k chkhar mein rakha or os sy guzara jata hy k jo oun k andar ke salahiyaton ko polish karny kaRead More →

  “~* Workers *~” *1st Step* Sawal 18… Silsilay sy attach honay k baad… Aap ko ghar k rishtadaron ya doston k sath mahaol mein kia tabdeeli feel hoe….?? … Is sawal ka jawab bhe har aik ka apnay hisaab sy he ho ga na… Jazba-e-Kaam Salaamat.   “~* Workers *~” 1st Step Sawaal 19… Silsilay mein dua k leay ya zaat par kaam k leay sath chalnay walay logon sy koe member ship fee ya mahaana chanda type kuch leya jata hy?? Jawaab : Jee nai , Silsilay mei aisi koi membership fee, Ya mahaana chanda, yq bataor nazrana kisi qisam ka kuch bhe…Read More →

                    “~* Workers *~”                            2nd Step                    “*Zaat Par Kaam*” Is step mein aap k zaat par kaam ke revision karaai jaey ge… Jis k leay different topics par discuss kea jaey ga or os hawalay sy khud par working ke jaey ge… Ta k hamaray apnay andar jab as a worker zaat par kaam kar k different points ke samajh ho ge tou he ham kisi sath attach banday ko Allah ke aashnaai keRead More →

“~* Workers *~” “2nd Step” Sawaal 8… *Chughle* Point 1 : Chughle ko apnay alfaaz mein waazeh karein k kia hy?? Point 2 : Chughle karnay ya soun’nay k nuqsanaat bataaein… jo aap ny khud face keay hon ya dosron k sath paish aatay daikhay hon??? Any 3… Jazba-e-Kaam Salamat. JAWAAB : Point 1 : Chughle ko apnay alfaaz mein waazeh karein k kia hy?? Reply Do logon ke aapas ke baat… jo kisi teesray k baray mein the… Wo baat oun dono mein sy koe aik ja k… os teesray ko bata dy tou isay chughli karna kehtay hein. Point 2 : Chughle karnayRead More →

“~* Workers *~” “2nd Step” Sawaal 17… *Khud Pasandi* Naumeed aadmi sust hota hy or khud pasand aadmi ka khiyal hota hy k main talab sy beniyaaz hon. Hazrat Ayisha r.a sy kisi ny pocha k aadmi badkaar kab hota hy? Ounhon ny farmaya k jab apnay aap ko naikokaar samajhnay lagay or aisa samajhna khud pasandi hy. Jab apne kisi bhe choti ya barri khoobi ko zaati kamaal samjhein or isay Allah ke atta ke hoe naimat na samjhein tou aisa shakhs khud pasand ho ga. Point 1 : Khud pasandi k nuqsanaat bataaein?? Point 2 : Aap k khiyal mein khud pasandi kaRead More →

“~*Workers*~” 3rd Step  *Surat Rehman Soun’nay or Dua k Moutaliq Sawal Jawab* Is step mein ap ko Surat or Dua k mouatliq kuch Sawal or unk Jawab bejhay jayen gay. In sawalon ka samna as Worker hamein aksar karna parta hy. Is information ko Workers baghor parhnay or samjhnay ke koshish karen ta k ba waqt e zaroorat kisi bhe case k aisay sawalon ka tassali bakhsh jawab dena ap k leay asan ho jaye or case agar kisi ikhtilafi point par phanss raha ho tou wo bakhoobi samjh sakay or os ke raah asan ho jaye. Kion k hamara maqsad har ummati ko kisiRead More →

“~*Workers*~” “3rd Step” *Surat Rehman Soun’nay or Dua k Moutaliq Sawal Jawab* Question 6 : Surat Rehman Qari Abdul Basit Abdul Samad ke awaz mei he kion souni jaye, jab k Surat Rehman ke bohat piari qiraat tou bohat sy qarion ny ke hai ? Answer : Beshakk k tamam qiraat karnay walon ny Quran e Pak ke bohat sozz or piar sy qiraat ke hy or har qaari ny apni apni jaga itni piari qiraat ke hy k rooh jhoom uthti hy. Qari Abdul Basit Abdul Samad ke awaz mei is leay kaha jata hy k inhon ny Surat Rehman ke ye qiraat khasoosiRead More →

“~*Workers*~” “3rd Step” *Surat Rehman Soun’nay or Dua k Moutaliq Sawal Jawab*  Question 11 : Surat Rehman sountay hoay or dua k daoraan aankhein band rakhnay ka kion kaha jata hy? Answer : Agar dekha jaye tou ham ziada tarr har aik sy is mushkil ka tazkira kartay hein k namaz or ibadaat mei tawajou qaim nahi rehti, aisay he agar ham dua k daoraan or Surat ankhein khol kar sounien gay tou hamein apni andar ke soch k sath bahir ke cheezein bhe matwajou karein ge, jab ankhein band kar k dua ke jati hy ya Surat souni jati hy tou ham mukamalRead More →