DAY 10

DAY 10

TOPICS :

“Namaz Masawat ka dars”

“Namaz mein Qibla ki taraf Tawajah”

“Namaz ka aaghaz”


*~Namaz Masawaat Ka Dars Hy~*

*Namaz Mein Ijtamaeyat*

sub namazi aik imam k peechy aik qibla ke taraf munh kr k aik khuda k samny jhuk rahy hoty hein maloom hoa k sb ka maqsad e zindagi aik he hy…
is maqsad k hasool k leay sb ko mil jul kr rehna ho ga….
is leay deen islam ny rehbaniyat ke purzor mukhalifat krty hoay farmaya k,
“or rehbaniyat yani dunia ka chor daina ye unho ny nae baat nikali, ham ny in pr farz nai ki”
Deen islam ny waziha alfaz mein insaniyat ko ye paigham Allah ka pohanchaya hy k
logo! Allah ta’ala ke taraf jany wala rasta janglon or ghaaron sy ho kr nai bal k inhee gali kouchon bazaron sy ho kr jata hy… tum haqooq Allah or haqooq ul ibaad ko adaa krty hoay aapas mein raheem o kareem ban kr zindagi guzaro”

*NAMAZ MEIN MASAWAAT*

zaban, rang, or nasal k aitbaar ko nist o nabood kr dea gia hy….
na gory ko kaly pr fazeelat hy na arbi ko ajmi pr fazeelat hy..
sb Allah ta’ala k bandy hein… jo shakhs jis qadr mutaqi or parhaizgaar hoga itna he Allah ka muqarib ho ga.
Ihsas Atta Ho.

*~Namaz Mein Qibla Ki Taraf Tawajah~*

Namaz mein qibla ki taraf tawaja krny sy markaziyat or wahadat naseeb hoti hy agr charon taraf namaz parhny ki ijazat hoti to har shakhs ka rukh juda juda hota, na jamaat ho sakti, na imam hota, na ummat mein markaziyat hoti har taraf intashaar he intashaar hota.
Agar bilfarz qibla ki simt muntakhib na ki jati to namazi k leay ekathy namaz parhna mushkil hota insan preshani ka shikar hota.
jazba Muhabat mein is baat k takaza hy k ya to Mehboob samny ho ya Mehbob ki koe nishani samny ho ta k dil ko sakon mily.
kaba Tullah dar haqeeqat Bait Ullah hy… Allah ki nishanion mein sy hy. lehaza is ki taraf tawajha krny sy youn mehsos hota hy k aik sa’il kisi bary shahensha k darbaar mein hazir hy is k samny adaab e bandagiii baja la raha hy
Hadees pak mein hy k, “sajda krny wala Allah k Qadmon mein sajda krta hy”
Baraaee sirf Allah he ko sajtii hy…
Allah ka farmaan hy k
“Baraaeee meri Chaadar hy”
Allah chahta hy k makhlooq k dil sy takabur nikal jaey or ajzi aa jaey.
Frishton ny takhleeq e Aadam k waqt apny ap ko alaa samjha….
Allah ny “an’na” torny k leay hukam farmaya….
k Aadam a.s ki taraf sajda kro….
jis ny sajda na kia wo hamysha k leay mardood hoa…
ab Aadam a.s k dil mein khiyaal paida ho sakta tha k mein masjoud ul malaaika hon…..
in k “ana” torny k leay Allah ny hukam dea k mati pathar k ghar ki taraf sajda kro….
maloom hoa k asli maqsad Allah k hukam ko pora krna hy…
ye baat zehn nasheen honi chaheay k agar koe shakhs yeh niyat kry k main ka’aba ko sajda krta hon….
k wo shakhs kafir ho jata hy.
ham ny pathar ko nai pojna bal k Allah k hukam ko poora krna hy.apni “an’na” ko torna hy.
Ihsas Atta Ho.

 

*~Namaz Ka Aaghaz Takbeer E Tehreema Sy~*

Dunia k baadshahon ka yeh dastoor hy k jb wo awaam k samny jalwa afroz hony lagein’
Tou pehly majma ikatha hota hy phir baadshah aany wala ho tou aik karinda ounchi awaaz sy kehta hy
Baa adab….
Baa mulahizaa….
Hooo shyaar….
Yeh alfaaz sunty he sb log moadab ho kr istaqbaal krty hein.
Namaaz mein monineen k samny Zaat ILAHEE khud jalwagar hoti hy…
Lehaza..!! Namaz shuru hony sy pehly sb namazi safain bana kr saleeqy tareeqy sy khary ho jaty hein pihr Imam buland awaz sy
ALLAH O AKBAR k alfaz kehta hy ta’k Azmat ILAHEE ka istakhzar hasil ho.
Muktadee bhe
ALLAH O AKBAR k alfaz keh kr adab sy khary ho jaty hein gulamon ke tarha hath bandhy hoay’ nigahein jhukaye hoay dil or Azmat ILLAHEE ka khiyal hota hy.
Chehry pr khof k asaar hoty hein.
Or zaban sy
(ALLAH TOO pak hy) k Alfaz sy Shahenshah e Aalam e Haqeeqi Ke tareefain krny lag jaty hein.
Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISE

Short Questions :

Q.1…
Deen islaam ne rehbaniay ki mukhalifat karty hoy kia farmya?

Q.2…
Deen islam nay insaniyat ko kia pegaam deya hai….?

Q.3…
Namaz ma Qibla ki taraf tawajah karna say kia hasil hota hai….?

Q.4…
Ager charon tarf namaz parne ki ijzat hoti tu us say kia hota….?

Q.5…
Bilfarz Qibla ki simt muntakhib na hoti, tu kia pershani hoti…?


 

ANSWER SHEET

Q.1…

❣ Ye fermaya:-
” Dunia ko chor dena,ye unhon ne naee baat nikali,hm me in pr farz nai kia!!

Q.2..

❣ Deen islam nay insaniyat ko pegaam deya hai,k:
“Tum Haqooqullah r Haqooqul ibad ada krtay huye apas men raheem o kareem ban kr zindagi guzaro!!

Q.3…

❣Namaz mai qibla ki taraf rukh krny se wahdaniyat nasib hoti h!!

Q.4..

❣agar charon taraf namaz oarhny ki ijazat hoti,to hr shkx aleg rukh mn nmz prta,intashar e intashar utaa!!

Q.5…

❣Namaziyon k lie ikathay namaz parhna mushkil ho jata,r hr koipreshani ka shikar hota!!

……….


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *