DAY 4

DAY 4 

TOPICS :

7. “Namaz Ki Fazaail”
8.. “Be Namazi Ka Hashar”

 


 

*~Namaz k Fazaail~*

Hazrat Haafiz Ibn e Hajar r.a ny Munbihaat mein Hazrat Usmaan ghani r.a sy riwayat kiya hy k…

Jo shakhs aoqaat ke pabandi k sath namaz ke muhafzat kary…
Allah os ka 9 cheezon sy ikraam farmaty hein.
1. Is ko apna mehboob bana laitay hein.
2. Is ko tandurusti atta karty hein.
3. Farishty is ke hifazat kartay hein.
4. Is k ghar mein barkat atta karty hein.
5. Is k chehry par sulahaa jaisa noor zahir hota hy.
6. Is ka dil naram farma daity hein.
7. Roz e mehshar is ko pul siraat sy bijli ke si taizi sy guzarein gy.
8. Jahanum sy nijaat atta farmaein gy.
8. Jannat mein naikon ka sath atta farmaein gy.

Hazoor Nabi Akram S.A.WW ka irshaad hy k… Namaz deen ka satoon hy or is mein 10 khoobiyaan hein.
1. Chehray ke ronaq hy
2. Dil ka noor hy
3. Badan ke rahat or tandurusti ka sabab hy
4. Qabar ka uns hy.
5. Allah ke rehmat outarnay ka zariya hy.
6. Aasmaan ke kunji hy
7. Aamaal namay k tarazu ka wazan hy.
8. Allah ke raza ka sabab hy.
9. Jannat ke qeemat hy.
10. Dozakh sy aarr hy
Algharz ye k…
Jis ny namaz ko qaaim keya os ny deen ko qaaim keya…
or jis ny namaz ko chorra os ny deen ko giraya.

Ihsas Atta Ho.

*~Be Namazi Ka Hashar~*

Hadees sharif mein hy k
“Jis ny namaz ki hifazat na ki yani namaz na parhi tou ous k leay qiyamat k din na noor ho ga na imaan ki daleel, na ous ki nijat ka zariya, or ous ka hashar firoon, hamaan or ubi bin khalf k sath go ga”
Ghour krny ka maqam hy k is hadees e mubarika mein be namazi ka hashar in logon k sath kion biyan frmaya gya hy???
tou is ka jwab yeh hy k agar hum ghour krain tou duniya mein maal hasil krny k chaar tareey hein…
1. Hakoomat
2. Mulazmat
3. Tijarat
4. San’nat 0 harfat
Firoon sahib e takht o saltanat tha, agar koe sahib e iqtadar musalmaan namaz sy ghafil ho ga tou ous ka hashar firoon k sath ho ga.
Hamaan Firoon ka wazir or mulazim tha agar koe musalman mulazmat ki wajah sy ghaflat barty ga tou ous ka hashar Hamaan k sath ho ga.
Qaroon itna maal daar tha k ous k khazany ki kunjiyan kai taqatwar aadmi outhaya krty thy is leay sahib e san’at o harfa musalma agar koe namaz sy jaan churaye ga tou ous ka hashar qaroon k sath ho ga.
Ubi bin halaf bara tajir tha agar koe musalman tajir tijarat k jhamailon mein phans kr namaz sy ghafil hua tou ous ka hashar Ubi bin halaf jaisa ho ga.
Aap S.A.WW ny irshad frmaya k jo musalman jis wajah sy namaz sy ghaflat barty ga ous ka hashar ousi qism k aadmi k sath ho ga.

Ihsas Atta Ho.


EXERCISE

Short Questions :

Q.1…Hazrat Hafiz Ibn e Hajar r.a ny Munbihaat mein namaz sy mutaliq kin Sahabi r.a sy riwayat Marwi ke hai?
………

Q.2…Hazrat Haafiz Ibn e Hajar r.a ke biyan krdah riwayat k mutabiq ALLAH namaz ke pabandi krny waloun jo kin cheezon sy ikram farmaey ga…Mukhtasir biyan krn.?
Q.3…Roz e mehshar kon log pul siraat sy bijli ke si taizi sy guzreen gy?
……
Q.4…Hazoor Nabi Akram S.A.WW ka ny Namaz ke jo khobiyaan biyan ke hn un mein sy koi c 5 khobiyaan biyan krn?
….
Q.5…Nabi e Kareem S.A.WW ny kis chez ko Jannat ke qemmat qirar dia hai?
…..
Q.6…Hadees Shareef k mutabiq bay namazi ka kia hashar ho ga?
…..
Q.7… Dunia mein maal hasil krny k kitny tareeqay hein? Nam bta k wazeyah krn.
….
Q.8…Agr koi mulazmat paisha shakhs Namaz sy ghafil ho ga to uska hashar kis k sath ho ga?
Q.9..Qaroon kon tha?
…..
Q.10…Kin logoun ka hashar Ubi bin halaf jaisa ho ga?
….


Answer Sheet

Ans 1:
Hazrat Hafiz Ibn e Hajar r.a ny Munbihaau mein Hazrat Usman Ghani r.a sy riwayat marwi ke hai

……

Ans 2:
Namaz ke pabandi krny waloun ko ALLAH 9 cheezon sy ikraam farmaty hein..
1.Apna mehboob bna laity hen
2. Tandrousti ata krty hen
3.farishty hifazat krty hn
4.ghr mein barkat ata hoti hai
5.chehry pr sulahaa jaisa noor ata hota hai
6.dil naram farmaty hen
7.pul siraat sy taizi sy guzaren gy.
8.jahanum sy nijata
9.Jannat mein naikon ka sath

……

Ans 3:
Namaz aoqat ke pabandi k sath baqaedgi k sath ada krny waly Roz e mehshar pul serat sy bijli ke c taizi sy guzren gy.

……

Ans 4:
1.namaz chery ke ronaq hai
2.Dil ka noor hai
3.Badan ke rahat hai.
4.Qabar ka uns hy
5.Asman ke kunji hai
5.Allah ke raza ka sabab hai

……

Ans:5
Nabi e Kareen S.A.WW ny Namaz ko jannat ke qeemat qara dia hai.

……

Ans 6:
Hadees sharif mein hy k
“Jis ny namaz ki hifazat na ki yani namaz na parhi tou ous k leay qiyamat k din na noor ho ga na imaan ki daleel, na ous ki nijat ka zariya, or ous ka hashar firoon, hamaan or ubi bin khalf k sath go ga”

……

Ans 7:
Duniya mein maal hasil krny k chaar tareeqy hein…
1. Hakoomat
2. Mulazmat
3. Tijarat
4. San’nat 0 harfat

……

Ans 8:
Agar koe musalman mulazmat ki wajah sy Namaz sy ghaflat barty ga tou ous ka hashar Hamaan k sath ho ga jo k firooun ka mulazim tha.

……

Ans 9:
Qaroon aik bht he maal daar shakhs tha jis k khazany ki kunjiyan kae taqatwar aadmi outhaya krty thy

……

Ans 10:
Ubi bin halaf bara tajir tha agar koe musalman tajir tijarat k jhamailon mein phans kr namaz sy ghafil hua tou ous ka hashar Ubi bin halaf jaisa ho ga.

……


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *