Day 7 – Mayusi

DUNYAVI RISHTE OR MAYUSI

Day 7…
Msg 1…
Mayousi :
Mayousi aik andhaira ha jis ma kisi k sath k ahsas roshni ki kiran ban jata hy- Aur ya haqeeqi o sacha sath ALLAH k hota – Lakin jub is suchay rishtay ko chor k aur rishton k pechay dorty hein tu har rishta jo arzi ha humain mayousi ma dhakail data ha-aur hum shikway shakayait ma chalay jty hn- Jun hum kisi rishty kam ya khawish ko apni zindgai ma atna aaham kar laty hn k wo hamar lia markaz e nigha ban jay tu is k waazah matalb ya ha k hum ALLAH ko nazar andaz kar rahy
hein –
Msg 2…


Msg 2

Us waqat ALLAH K ahsas sa qataaai gafail ho kar sirf isi khawish k peechay ghoomnay lagty hein ya isi rishtay sa wabasta ho k ALLAH ko bhool jtay hein tu ALLAA humain is sa torta ha – Is sa na umeed karta ha taka hum sirf o sirf USI ki taraf palatain kun k hmarai zindagi hmain aik maqasad k tahat gai ha
aur isi maqasad k tahat humain is dunyia ma bhjaa gia ha- Aur wo maqsad ALLAH ki phachan ha – ALLAH ki aashnai pa kar apni zundagi ko US k ahkamat k tabay rah kar guzarany ki bhtreen koshih karna hi hmara Matmaa e nazaer hona chayia tak hum ALLAH sa hi moo mor k arzi dunyia aur is k arzi rishton ma khoo na jain – Jun hum ALLAH sa moo morty hein is tharh sa Apni janib mutwajha karta ha aur apny hony k ahsas dalata ha –
Msg 3…


Msg 3
Is lia us wqat jub humain un rishton ki janib sa koi dukh milta ha tu humain mayous hony k bajay apny saray dukh dard ALLAH k supurad kar k mutmain ho jana chayia k ALLAH humain kabhi bhi thanhaa nhi chorta- Ya dukh dard tu dar’asal ALLAH k piyar hein k un ki wajha sa hum ALLAH ki janib wapis palatay –
Agar ya runj o gum hamari zindgai ma na hon tu hum tu guflat ma hi dobay rahain -Aur ALLAH sa dori is qadar bhar jay k palatanaa mushkil sa mushkil tareen hota jaay – Lihaza kisi bhi azmaish k moqa par ALLAH ki raza ma razi pa rah kar mayousi sa bhi bacha ja skta ha – Aur us moqa ko hum ALLAH pa yaqeen kamil karnay k lia bhi istimal kar skty hein – Aur yun na sirf hum na sirf ALLAH ki qurbat mein bhut agay bhar jaty hein balkay US ki raza ki hasool ki rah bhi aasan hoti hy-
End
شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)


Topic: Mayousi
Exercise
Day 7
Q1:-
Fill in the blanks:
(i): Mayouse aik —– hai jis mein kisi k sath ka ehsas roshni ki kiran ban jata hai.

(ii): Jab ham kisi rishty ,kaam yah khawish ko Apni zindagi mein itna a’aham kar laity hein k wo hmaray leay —— ban jay tou is ka wazeeh matlab hy k hm Allah ko nazar andaz kar rhy hn.

Q2 :- MCQ’s
(i): Jab sachy rishty ko chor k aur rishtoun k pechy dorty hein tou har rishta jo arzi hai hamy —— mein dhakail daita hai.
(a) mayousi
(b) mazlomiyat
(c) dono

(ii): Yah dhuk dard tou dar’asal Allah ka —– hein k Inki wajah at ham Allah ki janib wapis palat’ty hein.
(a) Piaar
(b) Ehsas
(c) yaqeen

Q3: short Question
Sawal:
Apna experience share karien k jab jab duniavi rishtoun ki janib sy koi dhuk mila tw kia ehsas ap k dil mn outra kia in rishtoun k arzi aur Allah k hamesha sy sath hony ka ehsas hoa ?


Answer key
Day 7

Blanks
1: andehra
2: markaz e nigaah

Mcqs
1: a
2: a

Question:

Ye sabka apna
jawab hoga


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *