DAY 7

DAY 7

TOPICS :

“Khashu O Khazoo paida karne ki tadabeer”
1…Gunaahon sw ijtenaab
2…Haraam se ijtenaab
3…Wazoo mein qalb ko hazir karna
4…Azaan ki taraf dil mutawajoo karna


 

*~Khashou O Khazoo Paida Krny Ki Tadabeer~*

yahan par kuch aisy tareeqy biyaan kiye gay hein jin pr koe sachy dil sy amal krna shru kr dy to isy namaz mein khashou or khazou wali naimat naseeb ho sakti hy…
1. Gunahon sy ijtanaab..
2. Haraam sy ijtanaab
3. Wazoo mein qalb ko hazir kr dy.
4. Azaan ke taraf dil mutawaja kry
5. Manay khashou mahol sy ijtanab
6. Intezar e salaat
7. Ghair Allah sy be altafee
8. Namaz k alfaaz ke taraf tawajhoo
9. Namaz k maani ke taraf ghour
10. Tadeel e arkaan
11. Aakhri nammaz samaj kr parho.
12. Aehly Allah sy muhabat.
13.. Allah sy Hazori wali namazon ke dua krain….

*GUNAHON SY IJTANAAB*

Namaz asal mein Allah Rabul Izat k saamny ijz o inksari or bandgi ka izhaar hy..
jis insan ke zindagi kharij namaz mein is k ulat hoti hy…
yani Allah ke nafarmani or gunahon wali hoti hy..tou isy namaz mein bhe is ke haqeeqat naseeb nahi hoti…
har masiyat mein aik zulmat hoti hy jiska asar insan k qalb pr parta hy..Nabi pak SAWW ny farmarya..
“jb banda koe gunah krta hy to is k dil pr aik daag lag jata hy agar wo toba kr laita hy to wo gunah mit jata hy agar toba nahi krta or mazeed gunah krta rehta hy tou daag barhta rehta hy hat’ta k poora dil kala ho jata hy. jb ham ise kaley dil k sath Allah k darbaar mein jaein gy tou is ke zulmat ke waja sy namaz mein sakon or yaksoe paida nahi ho gi. Jo shakhs kharij namaz mein apny azaa ke kis qadar hifazat krta hy or gunahon ke gandagi sy pak rakhta hy ousi qadar dakhil namaz mein isko Allah ta’ala k sath aik khas hazori or khazou or khashou naseeb hota hy..
jitny bhe ham gunah krty hein….
har har gunah nijasat ke manid hy…
jis azou sy bhe gunah krty hein wo azou gunah krny sy najis ho jata hy..choun k ye gunah insan ko napak kr daity hein…
is leay naa pak insan ko Allah Rab ul Izat ke pak hasti ka wasal hasil nai ho sakta…
Nabi Akram SAWW ny farmaya k,
” jo koe ghair mehram ke taraf dekhny sy apni ankh bachaey gaa … Allah Rab ul Izat isy ibadat ke lazat ata farma dain gy”
Hadees pak sy pata chalta hy k apny azaa ko gunahon ko rokny sy Allah ta’ala Ibadat ka lutf ata farmaty hein..
lehaza ham agar yeh chahty hein k ham zouq o shouq or hazori wali namazain parhen to rozmara zindagi mein hameun apny aap ko Allah Rabul izat ke nafarmani sy bachna chaheay….

HARAM SY IJTANAAB

Insan haraam giza or libas wagera dy bachey..Hadees pak mein hy k, “aik banda ny gulaaf kaba pakr kr kaha Ya Allah Ya Allah!
magar is ka khana peena libas haraam tha is leay is ke dua ko rad kr diya gaya”
to maloom hoa k haraam khany sy or pehnany sy namaz Allah k haan qabool nai hoti…
is baat ko bari sarahat sy dousri hadees mein biyan kia gaya hy k
Nabi Pak S.A.WW ny farmaya hy k,
“jis ny aik luqma haram ka khaya is ke 40 din ke namazen qabool nai ke jati”
lehaza is moamly mein bari ehtiyaat ke zarorat hy haram or mushtaba maal sy apny aap ko bachaya jaey…
is sy na sirf ibadat ghair maqbool hoti hy bal’k dil par aik tarha ke zulmat tari hoti hy jo bandy ko ibadat ke taraf aany sy rokti hy or banda kisi tarha aa bhe jaye to dil ghair hazir rehta hy.
aik shakhs ny Hazrat Abdullah bin Umar r.a sy shikayat ke k main namaz mein aksar bhol jata hon mujy yaad nahi rehta k main ny kitni rakatein parh le hein..
farmarya k apny munh ko haraam or kapron ko nijasat sy paak rakho….

*~Wazoo Mein Qalb Ko Hazir Krna~*

namazi jb namaz k leay wazoo krta hy to chahay ousi waqt dil ghair Allah sy hata kr Sohny Allah ke taraf mutawaja kr ly.
wozo mein qalb hazir ho ga to namaz mein bhe hazir ho ga..
jb wazoo mein shaitan dakhil ho ga to namaz mein bhe waswasy aein gy…

*~Azaan Ki Taraf Dil Matwajoo Krna~*

Momin ko chaheay k jb azaan ke awaaz aaye tou intahai adab k sath azan suny or is k har har kalmy ka jawab dein or dil mein is baat ko bethaein k,
bary Azmat waly Badshah ke taraf sy bulawa aaya hy..
lehaza mujy tamam masrofiat ko tark kr k is ke baargah mein paish hona hy or azaan k baad dil ko namaz ke taraf mutawaja kr lain.
Aap S.A.WW ke sunnat hy Hazrat Ayesha r.a farmati hein k,
Piyary Aaqa S.A.WW ham sy guftagou kia krty thy or ham Aap S.A.WW sy guftagoo kia krty thy
mgr jb namaz ka waqt ho jata to aisa lagta k goya Aap S.A.WW hamein na janty hon or ham sb Aap S.A.WW ko na janty hon.
Hamein bhe isi sunnat pr amal krna chahiye or jb azan ke awaz ho jaey to hamein namaz ke taraf mutawaja ho jana chahiye.
Msg 6


 

EXERCISE

 Short Questions :

Q.1
AAQA saww ny gunah karny py dil k dag ko kis tara saf krny k bary main frmaya hai?

Q.2
AAQA saww ka na-mehram k hawaly sy irshaad tehreer krain?

Q.3
Khushu o khazoo paida kerny ki tadabeer may sy koi sy 5 points kay nam batayen…?

Q.4
Wazu may qalb ko kesy hazir kiya ja sakta hy…?

Q.5
Azan ki awaz sun k momin ko kiya karnaa chahiye…?


 

ANSWER SHEET

Q.1
Ans…..
“AAP S.a.w.w ny fermaya kay jab koe banda koi gunah kerta hy to is kay dill per aik daag lag jata hy agar wo toba kr leita hy to daag mit jata hy”

Q.2
Ans
“AAP S.a.ww ny fermaya
Agar koi ghair mehram ke taraf daikhny sy apni aankh bachaye ga ALLAH Rab ul izzat issy ibadat ke lazzat atta ferma dain gay”

Q.3
Ans..
1…Gunahon sy ijtanab
2…Haram sy ijtanab
3…Wazu may qalb ko hazir ker dy
4…Azaan ki taraf dil mutwaja kry
5…Intazar e salaat

Q.4
Ans…
Namazi wazu kerry huay dill gair Allah sy hata ker SOHNY ALLAH ke taraf mutwajaker ly….

Q.5
Ans…
Momin ko chahiyee kay intahai adab ky saath azaan suny or isky her kalmay ja jawab dy…


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *