DAY 9

DAY 9

TOPICS :

“Khashu O Khazoo paida karne ki tadabeer”
09…Namaz k Maani ke taraf Ghour
10…Tadeel Arkaan
11…Aakhri Namaz samajh kar parhna
12…Allah walon ko
sohbat
13…Allah se Hazoori wali Namazon ki dua Karna


“khushu o khazu paida kerny ki tadabeer”

*~Namaz k Maani ke Taraf Ghour~*

Aik ahsan namaz k leay yeh zarori hy k doran namaz jo alfaz zaban sy ada keay ja rahy hon in k maani ko dil mein hazir kia jaey or is bat ko samjha jaey k bar gaah e khuda wandi mein kia kaha ja raha hy….
is sy na sirf khashou hasil ho ga bal’k namaz ka darja bhe barh jaey ga.
kion k namaz darasal Allah k samny manajaat or niaz mandana arz ka naam hy…
wo kaisi manajat ho gi jis mein kehny waly ko pata he na ho k wo kia keh raha hy….
hamd o sana, tasbeeh o tuamjeed, Dua o astagfar, or Tash’had o Dsroud, in tamam azkar ko samaj or shaour k baghair mehaz Alfaaz ke had tk nikalny sy in ka haqeeqi maqsad poora nahi hota…
maani ke taraf dhiyaan ho ga to manajaat ka haq bhe ada ho ga or khashou bhe hasil ho ga.Imam Shazli r.a ka farman hy k
“Namaz mein agar alfaz or maani ke taraf khiyal jamaya jaey to waswasy band ho jaty hein”
Aik Hadees mein Aap S.A.WW ny farmaya,
“Bandy ko namaz mein itny he hissy ka ajar mily ga jitny ko is ny samjha ho ga”
Namaz k maani samajny k leay koe lambi chori arbi dani ke zarotat nahi hy mamoli qabliyat ka shskhs bhe kisi sy soun kr ya kitab daikh kr chand dino mein namaz k tamam azkaar k maani o matalib ko ba khoubi samaj sakta hy bs thora sa fikr mand hony ke zarorat hy…

*~Tadeel Arkaan~*

Tadeel e arkaan ka matlab hy namaz k tamam arkaan ko thehar thehar kr or poory sakon k sath ada krain.
Aisi namaz jo jald bazi mein adaa ke jaey or rakoo sajda sakon sy ada na kia jaey tou is ko Nabi Akram S.A.WW ny nimaz ke “chori ” sy tabeer farmaya….
Hamein chaheay k ham namaz jesi ibadat mein chori krny sy bachein.
Namaz mein har rukan mein thehar thehar kr sakoon or Aitadaal sy is ke tasbehaat or duaein mukamal krein..
phr aik rukan sy dousry rukan mein muntaqil hoty waqt bhe jald bazi ka muzahira na krein
bal k sabr or waqaar k sath dousry rukan mein jaein….
jb zahiri azaa mein sakon or aitadaal ho ga to is ka lazmi asar dil pr ho ga… or dil mein bhe yaksoue hasil ho gi.

*~Aakhri Namaz Samajh kr Parhna~*

Aik tareeka khashou hasil krny ka yeh hy k
dil mein yeh ihsas paida krein k shayd ye mere zindagi ke aakhri namaz ho….
or waqaee zindagi ka kia pata , k kis waqt ajal a ponchy…
tou jb dil mein ye khiyal ho ga k yeh meri zindagi ke aakhri namaz ho sakti hy to la mahala dil mein paida hony waly dunia k tamam program jin k oupar khiyalat ka tana bana buna jata hy, be maani ho kr reh jaen gy..
or aik yahi khiyal dil mein reh jaey ga k mere ye namaz ziada sy ziada achy tareeky sy ada ho jaey…
Nabi Akram S.A.WW ny aik shakhs ko naseehat farmae k,
“jb too namaz k leay khara ho to rukhsat hony waly ke tarha namaz parh”
aik or Hadees mein farmaeya k,
“jab tum namaz parho to alvidaa hony walon ke tarha parho k phir tumhy shayd namaz ke taraf ana naseeb na ho”

*~Allah Walon ke Sohbat~*

Namaz mein Khashou Khazou, ikhlas, ihsan wali kafiyaat paida krny ka sb sy kamil tareen tareeqa tou yeh hy k insan apna kuch waqt aqeedat o muhabat k sath aisy Allah walon k paas guzary jo k in kafiyaat ko hasil kr chukyu hon…
kutab or risalon sy aisy mazameen or aisi tadabeer parh lainyu sy kuch zahen to zaroor badal jana or batin mein in kafiyaat ka paida hona or phir is par istaqamat ka paida ho jana aik mushkil kaam hy..

*~Allah sy Hazoori Wali Namazon Ke Dua Krna~*

Namaz ka khashou o khazou hasil krny k leay tamam tadabeer ikhtyaar krein or phir Allah k aagy gir giraein k Ya Allah !
Hamen hazori wali namazein atta farma…
jis ko hazoori wali namazein naseeb ho gaein….
lakin yeh naimat mehaz Allah ke tofeeq sy hasil ho sakti hy is leay apni namazon k baad kasrat sy ye dua kia krein k,
Ay Allah…!!
Nimaz ko hamari bhe aankhon ke thandak bana dy.
Ya Allah hamein bhe aisi he nimazen parhny ke tofeeq atta farma k niyat bandhty he dunia or mafiaa sy be khabar ho jaen…
Ay Allah…!!!
hamein bhe namaz mein apny akabar jaisa in’hamak naseeb farma k ain nimaz mein teeron pr teer kha rahy hoty thy lakin namaz torny ka jee nahi chahta tha…
Allah Jb hamari talab or shouq ko daikhy ga tou hamein mehroom nai farmay ga.
inshAllah.

Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISE

Short Questions :

Q.1
Namaz ko samjh ker perhny ky hawalay say *PIYARAY NABI S.A.WW* ka koi sa aik ferman tehreer kren…?

Q.2
Tadeel e Arkaan sy kaya murad hy…?
Mukhtasiran biyan kren…

Q.3
Jo namaz jald bazi may adaa ki jaye usko *NABI KAREEM S.A WW* ny kis cheez say tabeer kiya hy…?

Q.4
ALLAH walon ki sohbat may bethna, namaz may k khashu o khazu paida kerny may kesy madad kerta hy…?

Q.5
“Akhri namaz samjh ker perhana”
Ye ehsas dill may lanay say kesy Namaz ki taraf dhaiyan lagaya ja sakta hy…?


 

ANSWER SHEET

Q.1
?Ans…
AAP s.a ww ny fermaya:-
“Bandy ko namaz main itnay he hissy ka ajar milay ga jitnay ko is ny samjha hoga”

Q.2
?Ans…
Tadeel e arkan sy murad hy ky namaz kay her rukan ko theher thehr ker or pury sakoon ky saath adda kerna….

Q.3
?Ans….
Us ko NABI PAAK S.A.WW ny namaz ki chori sy tabeer kiyaa hy….
Q.4
?Ans…
Wo essy ky ALLAH walon ki sohbat may bethna aapko power dy ga kiun kay her insan k jism sy raiz nikalti hen positive bhe negative bhe…
To agar ham positive or ALLAH ky piyaray logon sath rahen gy ro wesi he amal ki power atta hogi jo kay kam koi bhe kitaab rasala ye kch perh ker hasil nahi ker sakty hen…..
Yahan sy maloomat to hasil ki jaa sakti hen laikin amal ki power nahi mill sakti …

Q.5
?Ans…
Jab namazi ky dill may ye ehsas hoga ky ye meri akhri namaz hy to wo tarap ker or khashu o khazu ky sath namaz adda kary ga kay aagy to moqa nahi milna to may kiun na issi akhri namaz ko apny liye nijaat ka sabab bana dun…


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *