Dua ki Ehmiyat

*Dua ki Ehmiyat*

1. Dua, dil mein Allah ki yaad zinda rakhti hai..

Dua yanii dil kaa Allah k saath rabta ; dil ki Apnay Rab k saath guftagoo….
Hum jitna Dua mein dil ko paish krty hain utna he Dil ehsas sy bharaa rehta hai …
Kyun k duaa mein humein ehsas rehtaa haii k Allah dekh raha haii Wo mujhe sun raha hai to aisayy dua se humaara dil duaa k baad bhii Allah k Samee o Baseer honaay k ehsaas meiin bandhaa rehtaa hai aur Allah ki yaad dil mein bassti jati hai , jo k humaare soch o amal ki tabdeeli k liayy bohat faidamand haii…


2. Dua duniaa mein rehtay Allah sy nazdeek kernay wala rabta hai…

Jab humara kisi sy rabta, baat cheet barhti hai to uskay qareeb honay lagtay hain , ek apnaiyat feel honay lagti hai …
aisay hii humara dil jitnaa duaa kay zariye apnay Allah sy hamkalam hotaa hai , utna US sy pyaar aur aitamaad ka rishta banta hai aur aapnay Maalik sy ye rishta jitna mazbut hota jata hai utna hi hum USKI qurbat paa sktay hain…


3. Dua ek Behtareen Source Of Power haii……

Jab hum dua mein dil ko jhukaye Allah se taanka lagaty hain tou dil ko power wasool hoti hai, US se jo tamam Taqaton Wala hai…
Dua ki halat mein Allah k saamne paish honay se Dil mein Allah Sohnay ki Sifaat aur Uski taqat ka yaqeen utarta hai jo dil ko ek power ataa karta hai aur Allah ki madad ka ehsas deta hai….
Jese aik switch ko jab power source se connect karain tou usmein bhi wo power aati hai…
Aise hi dil dua mein Allah se jurr kay aik power aur jazba wasool karta hai, jis se hamary mamlaat aur mamoolaat mein Uski Ataa ke gayi power se madad aur asaaniyan hoti jati hain…
Kyun kay ham bebas hain aur tamam tarr taqat sirf Us MALIK ke hai..


4. Dua mushkil mein Asani ka zariya hai…

Dua mushkil ko asani mein badal deti hai.. Dua mein apny Allah syy apni mushkil ko samny rakhty huye jhukao kay sath jub madad talab karty hain to asanii ho jati hai.
Allah musabab ul asbab Zaat haii , Allah Saabab banata hai aur waseelon k zariye mushkil sy niklny ki raah khoul deta hai.
Mushkilat ko aarzi samjhty huye dill syy Allah sy talab syy madad mangty huye paish hoty hain to ye fanii mushkilat aasan ho jati hain aur agy ki kamiabi kay liye rahein khul jati hain.


 

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *