Ehsas e Namaz (Training) – DAY 1

DAY 1

TOPICS :

1. “Namaz Ki Ehmiyat”
2. “Namaz Ki Fazeelat”


 

*NAMAZ*

*~Namaz ki Ehmiyat~*

Wo amaal jin sy Allah ta’ala ke baargaah mein qurb naseeb hota hy wo faraaiz hein ya nawafil,
farzon k muqably mein naflon ka kuch eitbaar nahi hy…
farzon mein sy kisi aik farz ka is k apny waqt mein ada krna hazaar saal k nawafil ada krny sy behtar hy…
agarchy wo nawafil khalous niyyat k sath ada keay gay hon..
khaw wo nimaz, zakat, roza, or zikr o fikr wagera mein sy koe bhe nafal ho….
Manqool hy k
aik roz Hazrat Umar Farooq r.a ny fajar ki namaz jamat sy farigh hony k baad muqtadeon ke taraf daikha tou apny sathion mein sy aik shakhs ko is waqt mojoud na paya.. farmaya falan shakhs jamaat mein hazir nai hoa?
aik ny jawab diya k wo raat ka aksar hisa wo jagta rehta hy gumaan hy k wo so gya ho ga..
Aap ny farmaya,
agar wo tamam raat sota rehta or wo fajar ke namaz ada krta to ziada achaa hota…
aksar log jo is mani sy by naseeb hein apny faraiz ko kharab kr k nawafil ke tarveej mein koshish krty hein zikr o fikr ko eham tareen zaroriyat jaan kr faraiz or sunaton ke baja aawri mein susti krty hein or chilon or riazton ko ikhtiyaar kr k juma or jamaat ko tark kr daity hein or ye nahi janty k aik farz ka jamaat k sath ada krna in k hazaron chilon sy behtar hy…… lazmi tor pr faraiz ke adaaigi ka ta’aluq alim e Khaliq k munasib hy jo asal k sath mutavaja hy or nawafil ke adaigi Alim amar k munasib hy jis ka chehra zil ke taraf hy..
Tamam faraiz agarchy asal ke taraf qurb bakhshty hein lakin in sb sy afzal o akmal Salaat yani namaz hy.

Ihsas Atta Ho.

*~Nimaz ke Fazeelat~*

Sub sy behtar ibadat or sb sy mutabar ata’at namaz hy jo k deen ka satoon or musalman o kafir mein wazia farq krny wali hy or is k ada krty waqt Allah ka qurb hasil hota hy…
Hadees pak mein hy k, “jb banda namaz k leay khara hota hy to is k leay jannat k darwazy khol deay jaty hein…
or is k or bandy k darmyan hijabat khol deay jaty hen”
Hadees pak mein hy k, “Namaz parhny wala badshah ka darwaza khatkhatata hy or is mein shak nahi k jo shakhs hamysha darwaza khatkhatata rehta hy qareeb hy k wo is k leay khol diya jaey”
Namaz jo k momin ke mairaaj hy asal k zahoor ka maqam or halat e mairaaj ka namouna hy..
Hadees mein hy k
“sajda krny wala Allah ta’ala k dono qadmon par sajda krta hy pas is ke talab or shouq krna chahiye”
Aik or hadees pak mein hy k,
” banda apni namaz mein dakhil hota hy to Allah ta’ala apni Zaat sy is ke taraf mutawaja hota hy or ous bandy sy rukh nahi phairta yahan tk k wo banda apna rukh phair ly…

Quran e pak mein namaz ki taseer i ilfaz mein biyan ki gi hy k,
” Beshak k namaz be hayai or na shaista baton ay rokti hy”
Hazrat Anis r.a biyan krty hein k aik insari Aap S.A.WW ki iqtada mein namaz parha krta tha magar ous k bawjood duniya bhar k gunah bhe kiya krta tha… kisi ny ous ki shikhayat ki tou Aap S.A.WW ny frmaya k, “Aisy mareezon ki sub sy bari dwa namaz hy”
chunachy wo shakhs kuch he dino mein gunahon sy taaib ho kar naik ho gya.
isi tarah Hazrat Umer r.a k zamany ka waqiya hy k aik noujwan kisi mankooha aourat sy najaaiz ta’aluqaat chahta tha. oua ny aourat ko paighaam bheija tou aoura ny kaha k is shart par milny ko tayar hon k tum 40 roz Amir ul Momineen k pichy namaz parho…
noujwan samjha k yeh shart tou bohat aasan hy ous ny yeh shart manzoor kr li… wo har namaz sy pehly he masjid pohanch jata, aath das din mein he ous ki halat mein kafi tabdeeli aa gi. chalis (40) roz guzarny k baad ous aoura ny paigham bheija tou noujwan ny kaha k ab dil chout gya hy or is dil mein tery ishq ki bjaye Allah ki mohabat or ishq rach gya hy.
In waqiyat sy andaza hota hy k namaz par madawat or pabandi kitni mufeed cheeze hy.

Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISE

Namaz 

Exercise Day 1

Short Questions

Q.1..Hazrat Umar Farooq r.a ny namaz se farigh ho kr pocha falan shaks jamat main hazir nhi hua to kya jwab mila r Ap r.a ny kya farmaya?

Q.2..Faraiz r nawafil ki adaigi mai farq wazeha kren?

Q.3..Sb sy afzal o akmal Salaat yani namaz hy wazahat kren?

Q.4..Namaz k mutaliq aik hadees biyan kren?

Q.5..Sajda krny waly k mutaliq Hadees biyan kren?

Q.6..Wo shakhs jo namaz ki niyat se wazu krta ha usy Allah ta’alla kaise khush khabri deta ha?

Q.7..Quran e pak mein namaz ki taseer kin ilfaz mein biyan ki gi hy?

Q.8..Aik insari jo namaz parha krta tha magar ous k bawjood duniya bhar k gunah krta tha is k mutaliq Ap S.A.Ww ny kya farmaya?

Q.9..Noujwan k paigham bhjny pr Mankoha aurat ny noujwan se milny k lye kya shart rakhi?

Q.10…Chalis (40) roz guzarny k baad aourat ny milnay ka paigham bheija to noujwan ny kya kaha?


 

Answer Sheet

Ans 1:
Aik ny jamat mai se jawab diya k wo raat ka aksar hisa wo jagta rehta hy gumaan hy k wo so gya ho ga..
Aap ny farmaya,
agar wo tamam raat sota rehta or wo fajar ke namaz ada krta to ziada achaa hota…

Ans 2:
Faraiz ke adaaigi ka ta’aluq alim e Khaliq k munasib hy jo asal k sath mutavaja hy or nawafil ke adaigi Alim amar k munasib hy jis ka chehra zil ke taraf hy..

Ans 3:
Sub sy behtar ibadat or sb sy mutabar ata’at namaz hy jo k deen ka satoon or musalman o kafir mein wazia farq krny wali hy or is k ada krty waqt Allah ka qurb hasil hota hy…

Ans 4:
Hadees pak mein hy k, “jb banda namaz k leay khara hota hy to is k leay jannat k darwazy khol deay jaty hein…

Ans 5:
Hadees mein hy k
“sajda krny wala Allah ta’ala k dono qadmon par sajda krta hy pas is ke talab or shouq krna chahiye”

Ans 6:
Allah ta’ala is ko aise khush khabri daita hy jaisa k in logon ko jin ka koe aadmi gum ho gaya ho or apny gaib k a jany sy khushi hoti hy.

Ans 7:
Quran e pak mein namaz ki taseer in ilfaz mein biyan ki gi hy k,
” Beshak k namaz be hayai or na shaista baton ay rokti hy”

Ans 8:
Kisi ny ous ki shikhayat ki tou Aap S.A.WW ny frmaya k, “Aisy mareezon ki sub sy bari dwa namaz hy”

Ans 9:
Noujwan ny aourat ko paighaam bheija tou aourat ny kaha k is shart par milny ko tayar hon k tum 40 roz Amir ul Momineen k pichy namaz parho…

Ans 10:
Chalis (40) roz guzarny k baad ous aourat ny paigham bheija tou noujwan ny kaha k ab dil chout gya hy or is dil mein tery ishq ki bjaye Allah ki mohabat or ishq rach gya hy..

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *