Image Break Off

“Image Break Off”

Image… apne saakh ko kehtay hein… agar is k matlab ko zara or wazeeh karein tou ye ho ga k logon ke nazar mein apna aap kae zavion sy or falan falan tara sy barqaraar rehnay ke khwaahish image kehlati hy.

Kion k ham ziada tar apne zaat k kisi bhe pehlu mein phanss kar apna aik khas image logon k samnay maintain rakhna pasand kartay hein.

Or os image ko barqaraar rakhnay k leay hamein har tara k masaail o mushkilaat ka bhe samna karna parrta hy par phir bhe ham apne os saakhh ko bachnay ke sar torr koshish kartay hein.

Aaj apnay banaey images torrnay hein.

Apna jaiza leina hy or jahan jahan hamein hamara koe image samnay aey tou share karen gay k…

Kaisay kaisay apna koe khas image barqaraar rakhtay hoay zaat k qaidi banay rehtay hein or phir

Kaisay is ka ihsas honay par os image ko break off keya

Or image break off karnay k leay kaisay step leya

or step lainay k baad kaisa feel hoa.

Point k end par daira mukaml karna hy k ye image break off karnay ka step lainay ke waja kia hy.

Kam az Kam 2 points share karnay hein

Is topic k hawalay sy apna point of view bhe share karna hy

Sanwartay Raho.


 

About Image Break Off

* Aik hamara kirdar (character) hota hy jo hamaray andar ke asliyat hoti hy…
Aik hamare shakhsiyat (Personality) hoti hy…yani hamara zaahir…
Ab ham ny apne shaksiyat ko kisi khass mahaol mein ya aam taor par logon mein ya kuch khass tara k logon mein kuch khass maokoun ya moaamlaat mein apna aap kisi khass tara show kara k…
Daikhnay walon ke nazar mein apna aik image chorr rakha hota hy.
Aaj os image ko break karna hy jo ham ny khud apna logon ko show karaya hoa hy.

* Kirdaar ko ham amal say lain gay or kirdaar hamaray kisi bhe khass amal sy zaahir hota hy…

Personality hamare khobion or khamion ka majmua hoti hy or ye hamare shakhsiyat ko zaahiri haalat say mansoob hoti hy…

Ham baaz aoqaat apne khobion ko jo ham mein hoti hein ounhein oun k level sy ziada show karnay k chakar mein bhe…
Or kabhe apne khamion ko chupanay k chakar mein bhe…
Or kabhe kisi ko idealise kar laitay tou os jaisa dikhnay k chakar mein bhe…
Or kar bar apne *main* k chakar bhe bhe k dab sy munfarid sa nazar aaein k chakar mein bhe logon ke nazar mein aisay image bana laitay hein.

* Kabhe aisa hota k ham ny apnay bohat he qareebi logon ko bhe apne personality aisay show karaai hoti k oun k andar hamara kisi na kisi hawalay sy aik khass image ban jata…
Or bahir tou bohat diff jagon or logon ko ham diff tara sy apna aap show karatay hein or is tara ham ny apnay kae image chorr rakhay hotay hein.
Aaj jahan jahan aap k samnay apna aisa kuch aisay k
Jis mein aap apne pesonality sy apna koe inage show kara rahay hon tou faorna waheen apna aap pakrrein…
Or step ly k isay torrein…
Kion k ham ny khud ko is tara kr dewaron mein qaid kar rakha hy…
Aaj kamazkam fo jaga sy khud ko aazaad karaein.

Sanwarty Raho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *