Maaf Karo, Ta K Maaf Kar Deay Jaao

Maaf Karo,

Ta K Maaf Kar Deay Jaao

Aaj jaiza lena hy k Kia ham apnay dil mein itni wussat rakhtay hein k kisi aisay shakhs ko maaf kar sakein jis ny zindagi mein bohat bar ham sy ziyaadti ke ho ya kisi tara sy bhe hamara haq mara ho…

Ya kisi bhe khass maokay k hawaly sy os k rawaiye sy aap ka dil paryshan hoa ho…ya koe aik shakhs jo overall aap ke zindagi k leay paryshani ka bais bana raha ho… ya aaj kal koe aap ko tang kar raha ho…??

Agar maaf kar chukay tou bohat acha hy or agar nahi maaf kar saktay tou aaj is ke taraf mil k qadam barrhanay ke koshish kartay hein.

Apne zindagi par asar andaz hoa koe aik shakhs chunein jisay sacahy dil maaf na kar sakay hon.

Aaj osay sachay dil sy maaf kar k os k leay khulay dil dy dhair sari dua karanay ke koshish karein.

Is baray mein agar apna zati experience share karna chahein tou bhe acha hy.

Laikin agar back ground share na karna chahein tou inshort sirf itna zaror batana ho ga k ye shakhs kis had tak asar andaz hoa… yani os ke shiddat kitni hy.

Or ye bhe batana hy k ab kion or kitnay sachay dil sy maof kar k os k leay ab kaisay khulay dil sy dua nikal rahe hy… dua jo jo niklay wo batani hy.

Dua kartay hoay dil ko check kartay rehna…
Pehlay dil dua par aamada he nai ho ga… jab aamada ho geya tou dua sachaai sy khulay dil sy nai niklay ge
Is leay jab tak dil sy aisay barsaat ke tara dua ke bochaarr na ho tab tak koshish kartay rehna hy.
Dil atakta rahay ga arrta rahay ga… par wo shakhs select kar lainay sy ly kar aakhir tak Allah sy madad or power maangtay rehna hy k mujhy himmat atta kar dy k main
*Maaf kar sakon ta maaf kar deya jaoun*

Aakhir mein point ka daira theme line par he mukaml karna k ye isi waja sy mumkin hoa.

Point share karnay k baad is experienc par apna point of view bhe share karna hy har angle sy.

Aaj agar sachy dil sy ye step lay jaein gy tou hamysha k leay maaf kartay rehna aasan ho ga or aisay logon k leay sachaai sy dua kar k ihsan karnay walon mein shamil ho jaein gy jin k leay Quran mein hy k
*Allah Ihsan Karnay Walon Sy Muhabat Rakhta Hy*

Jazba Salamat.

 

About Topic

Piaray workers…
Agar koe ye samjhay k os ny tou sab ko maaf keya hoa or koe aisa nai
Tou mere leay isayaan’na mushkil ho ga
Kion k ham beahuk maaf kar chukay hotay hein

Jab sy haq ke raah par chalna start kartay hein tou baar haaa kae jaga aisay dil ke kafiyat banti k ham oun sab ko maaf kar daitay k kos jis ny bhe saanista ya naadanist ziaadti ke ya haq maara etc…

Kabhe kabhe alag alag sy waqt k waqt bhe maaf karnay k leay dil ke lafiyat ban jaati or ham maaf kar daitay

Par os ko kabhe check nai keha k kia waaqai maaf kar deya or ab sab bhol k dil os ke taraf sy saaf hy…

Aaj yehi jaaiza lain or os kp check karnay k leay sath aap ko aik craiteria bhe day rahay hein k

Jitna dil sy sachaai sy baarish ke tara barsein ge duaein osi hisaab sy pata chalay ga k ab waaqai dil ke haalat badli hy or sacahy dil sy maaf keya hy.

Yahan par jo shakhs chunein maaf karnay k leay
Agar os ny aisay dil par jaisi zarab lagaai hoti na tou jab ham Allah k leay osay apna aap maar k osay maaf kartay hein tou tou phir osi shiddat sy duaein nikalti hein dil ke ounhi gehraaion sy jin tak zarab lagai gae hoti hy or dil k wo saray ko ay barosh ke boucharr sy dhultay hein…

Piaray Hkrs
Dua mein kami hoti hy tou saaf pata lagta hy k abhe dil sy maaaf nai keya
Or agar aap k khiyal mein lar bhe deya tou dil sy nikal nai wo ranjish…
Os ke jarr abhe kahein rehti hy…
Jarr jalay ge osay duaein dainay sy

Jitni ziada duaein daitay hein outna dil sy sab dhulta or nikalta jata duaoun ke barish ke bouchaarrr sy…
Jaisay agar ham ghar ke dewaron or darkhton paoudon ko dhotay bhe rahein pipe laga laga k

Magar jab tak baarish khul k nai barasti wo sahi saaf nai hotay
Aisay he dil mein gand or gardd matti jami reh jaati hy
Kadurat ke surat..
Osay duaoun ke bojhaar barsa k dhona hy aaj…

Agar kisi aik k leay he aisay sachaai sy dil sy os ke kadurat ko dhou deya tou samjho or bhe bohat sy hawaloun ay dil dhul jaey ga inshaAllah or power atta ho ge… Allah ke muhabat ke surat jo hamein or zaat par kaam mein madad dy ge
Or aisay maaf kar k duaein dainay k baad dil ko bohat khushgawar sa ihsas atta hota hy
Khushi ka khila khila…


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *