DAY 1~ Mayusi

*”MAYUSI AUR USKI WAJOHAAT*”
Msg 1…

“Mayoysi”

ALLAH pa yaqeen ma kami aur hamary eeman ki kamzori hamain mayousi mein la jati ha .
hamin us waqat ya ahsas nhi hota k ALLAH hum sa bhut piayar karta ha aur WO Hamaray lia jo bhi karta ha …bhatreen karta hy .
Jb dunyia ma hamri khwishat pori nhi hotin tu hum mayous ho jaty hein ..agar hm apni soch waseee karin k jo cheez hmain nhi milti wo hamary haq ma bhtar hoti hy aur ALLAH ki raza mein razi rahny ma hi hmari bhalai ha tu is sa mayousi k chchy hoy badal chathnay lagaty hein aur hmain umeed ki kiranaain nazaer aanay lagti hein-
Jb hmara ya yaqeen nhi hota k ALLAH na mumkin ko mumkin karnay Wala ha’WO bhatreen karsazz hy aur har shay ko karana ya na karnay
ki Qudart o Taqat bhi USI k pas hy .. to iss yaqeen ma kami hmain mayousi ki janib la jati ha..


Msg 2

Aur ya janty howy bhi k mayousi kuffar ha hm US Zaat Pak sa na umeed ho jaty hein – Asay mein ALLAH k shah ragg sa qareeb hony k yaqeen o eeman hmein mayousi sa nikal leta hy –
kun k dar haqeeqat dil mein ALLAH k piyar aur yaqeen k level is had tak nhi hota jo humein ya ahsas atta kary k mera ALLAH mujh sa 70 maaon sa zayda piayar karny Wala hy aur WO mera bura chah hi nhi skta – Hum US k piayar ko aik maa k barabar hi mahsos karny k qabil nhi hoty is lia mayousi k dahahany pa phonch jaty hein…


Msg 3…

Mayousi ki bhut si wajoohat ma sa aik ya bhi ha k hum ALLAH pa yaqeen sa zyda khud pa yaqeen rakhty hein –
Humain ALLAH sa khain zayda apni salahyation’ mansooba bandi’ gur aur tadbaeer pa yaqeen hota ha-
Hum kisi kam ko ALLAH pa bhroosa o yaqeen rakh k karny k bajay khud pa yaqeen rakhty howy karty hein- Aur is kam ma jb nakai k samana hota ha tu mayous ho jaty hein- Isu thrah sa jb hum ALLAH k bajay bandon sa umeedain wabasta kar laty hein aur log hmari umeedon pa pora nhi uutarty aur tawaqayat k bar’akass amal k muzahira karty hein tu tab bhi hum mayousi k shakar ho jaty hein –
zindgai k nashaaib o faraz bhi humein mayousi mein la jaty hein- Jb humain zindgai mein kisi kami paashi ya nuqsan k samanaa hota ha tu us waqat hum ALLAH ki ba bhaahaaa namaton ko faramosh kar daty hein aur wawalaa karny lagty hein-


Msg 4..

Tb hum ya bhi bhulaa daty hein k dana ya atta kara ALLAH ki sifat hy. Aur humain US ki dany wali sifat pur har haal ma mukaml yaqeen rakhna chayia k US ki sifat k nazool hum pa har lamhaa ho raha hy – WO har waqar humain kisu na kisi surat kuch na kuch atta kar rha hy. Ya aur baat ha k humain is ki smajh na aay k wo atta kis tharh sy ho rahi ha- Magar ya amar yaqeeni a k WO har lamha humain da raha hy- Ya zaroorai nhi k WO humain wohi sb kuch wasay hi atta kar raha ho jasay hamari merzi o chchat hoti ha –
ALLAH hmaraa bhtrren chahnay Wala Dost aur madad gar hy aur WO hamain wo hi sb kuch atta karta ha jo hmaray lia bhatreen hota hy….
End…
شاه جی❤

? حق بات


“Topic: Mayoosi”

Exercise
Day 1
Q1:-
Fill in the blanks:
(i): Jb dunyia ma hamri khuwishat pori nhi hotin tu hum _________ ho jaty hein.

(ii):________ ma kami hmain mayousi ki janib la jati ha

Q2 :- MCQ’s
(i): Asay mein ALLAH k _________ se qareeb hony k yaqeen o eeman hmein mayousi sa nikal leta hy.
(a) Khud se
(b) Shahrug se
(c) dono

(ii): ALLAH pa yaqeen ma kami aur hamary eeman ki kamzori hamain _______ mein la jati ha
(a) mayoosi
(b) humdardi
(c) gussay

Q3: short Question
Sawal:
Jb hmara ya yaqeen nhi hota k ALLAH na mumkin ko mumkin karnay Wala ha’WO bhatreen karsazz hy aur har shay ko karana ya na karnay ki Qudart o Taqat bhi USI k pas hy .. to iss yaqeen ma kami hmain mayousi ki janib la jati ha. Is ehsas k hawalay se apna personal experience share krain.


Topic  (Mayousi)
Answer key
Day 1

Blanks
1: Mayousi
2: Yaqeen

Mcqs
1: b
2: a
Question:

Ye sabka apna
jawab hoga.

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *