Musafir ki Namaz Ka Biyan

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

*Musafir ki Namaz Ka Biyan*

1. Musafir ko zohar, asar or ishaa in teen namazon mein qasar ka hukm hy baqi do mein nai…. agar koe in namazo mein qasar nai kry ga tou gunahgaar ho ga.

2. Jab tak apni basti ki aabadi sy bahir na nikal jaye ous waqt tak namaz mein qasar na ho gi.
Agar kisi shehar ka station aabadi k andr ho tou jab tak aabadi sy bahir safar krty huy na pohanch jaye qasar nakry.

3. Agar chaar rak’at wali namaz mein qasar nai kiya or darmiyanein qa’ada kr liya tou aakhir mein sajda e sehv krain warna namaz nai ho gi.

4. Drya, kashti ya jahaz mein safar kr rahy hon tou khary ho kr namaz parhny mein chakar aaein tou baith kr parh lain.

5. Rail ya jahaz mein namaz parhny ki halat mein agar qibla badal jaye tou namaz parhty parhty qibla ki taraf munh phair ly warna namaz na ho gi.

6. Jo namaz safar mein qaza ho jaye wo muqeem ho jany k baad bhe qasar he parhi jaye gi.

7. Jab kisi jagah 15 din sy kam theharny ka irada ho tou qasar namaz parhein.

8. Kisi jaga do chaar din k leay kaam k leay gy lakin wo kaam nai hua tou phir mazeed do chaar din rehny ki niyyat kr li phir bhe kaam na hua tou is tarah khaw jitni bhe mudat safar mein rahein qasar he namaz parhe jaye gi.

9. Raasty mei kai jagah theharny ka irada hy or har jaga 15 din sy kam theharny ki niyyat ho tou har jagah qasar parhein.

10. Jo aourat apny shohar k sath safar par jaye tou choun k wo apny shohar k tabeh hy tou aisi halat mein shohar ki niyyat ka aitbaar hy agar ous ki niyyat 15 din kam k qayaam ki hy tou bivi bhe sath musafir hy or agar 15 din sy ziada qayam ki niyyat hy tou muqeem hein.

11. Doran e safar sirf zohar, asar or isha in teen namazon mein qasar hy lakin fajar ki namaz pouri ada krna ho gi isi tarah namaz e vitar mein bhe qasar nai hy.

12. kisi ny aabaai ghar or shehar chour diya ab ous sy koe matlab nai tou agar safar krty huy raasty mein pehla shehar pary or wahan 5, 10 din rahy tou bhe qasar namaz he parhna ho gi.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *